तुम्हारे साथ रहकर
अक्सर मुझे ऐसा महसूस हुआ है
कि दिशाएँ पास आ गई हैं,
हर रास्ता छोटा हो गया है,
दुनिया सिमटकर
एक आँगन-सी बन गई है
जो खचाखच भरा है,
कहीं भी एकांत नहीं
न बाहर, न भीतर।
हर चीज़ का आकार घट गया है,
पेड़ इतने छोटे हो गए हैं
कि मैं उनके शीश पर हाथ रख
आशीष दे सकता हूँ,
आकाश छाती से टकराता है,
मैं जब चाहूँ बादलों में मुँह छिपा सकता हूँ।
तुम्हारे साथ रहकर
अक्सर मुझे महसूस हुआ है
कि हर बात का एक मतलब होता है,
यहाँ तक कि घास के हिलने का भी,
हवा का खिड़की से आने का,
और धूप का दीवार पर
चढ़कर चले जाने का।
तुम्हारे साथ रहकर
अक्सर मुझे लगा है
कि हम असमर्थताओं से नहीं
संभावनाओं से घिरे हैं,
हर दीवार में द्वार बन सकता है
और हर द्वार से पूरा का पूरा
पहाड़ गुज़र सकता है।
शक्ति अगर सीमित है
तो हर चीज़ अशक्त भी है,
भुजाएँ अगर छोटी हैं,
तो सागर भी सिमटा हुआ है,
सामर्थ्य केवल इच्छा का दूसरा नाम है,
जीवन और मृत्यु के बीच जो भूमि है
वह नियति की नहीं मेरी है।
tumhare sath rahkar
aksar mujhe aisa mahsus hua hai
ki dishayen pas aa gai hain,
har rasta chhota ho gaya hai,
duniya simatkar
ek angan si ban gai hai
jo khachakhach bhara hai,
kahin bhi ekant nahin
na bahar, na bhitar
har cheez ka akar ghat gaya hai,
peD itne chhote ho gaye hain
ki main unke sheesh par hath rakh
ashish de sakta hoon,
akash chhati se takrata hai,
main jab chahun badlon mein munh chhipa sakta hoon
tumhare sath rahkar
aksar mujhe mahsus hua hai
ki har baat ka ek matlab hota hai,
yahan tak ki ghas ke hilne ka bhi,
hawa ka khiDki se aane ka,
aur dhoop ka diwar par
chaDhkar chale jane ka
tumhare sath rahkar
aksar mujhe laga hai
ki hum asmarthtaon se nahin
sambhawnaon se ghire hain,
har diwar mein dwar ban sakta hai
aur har dwar se pura ka pura
pahaD guzar sakta hai
shakti agar simit hai
to har cheez ashakt bhi hai,
bhujayen agar chhoti hain,
to sagar bhi simta hua hai,
samarthy kewal ichha ka dusra nam hai,
jiwan aur mirtyu ke beech jo bhumi hai
wo niyti ki nahin meri hai
tumhare sath rahkar
aksar mujhe aisa mahsus hua hai
ki dishayen pas aa gai hain,
har rasta chhota ho gaya hai,
duniya simatkar
ek angan si ban gai hai
jo khachakhach bhara hai,
kahin bhi ekant nahin
na bahar, na bhitar
har cheez ka akar ghat gaya hai,
peD itne chhote ho gaye hain
ki main unke sheesh par hath rakh
ashish de sakta hoon,
akash chhati se takrata hai,
main jab chahun badlon mein munh chhipa sakta hoon
tumhare sath rahkar
aksar mujhe mahsus hua hai
ki har baat ka ek matlab hota hai,
yahan tak ki ghas ke hilne ka bhi,
hawa ka khiDki se aane ka,
aur dhoop ka diwar par
chaDhkar chale jane ka
tumhare sath rahkar
aksar mujhe laga hai
ki hum asmarthtaon se nahin
sambhawnaon se ghire hain,
har diwar mein dwar ban sakta hai
aur har dwar se pura ka pura
pahaD guzar sakta hai
shakti agar simit hai
to har cheez ashakt bhi hai,
bhujayen agar chhoti hain,
to sagar bhi simta hua hai,
samarthy kewal ichha ka dusra nam hai,
jiwan aur mirtyu ke beech jo bhumi hai
wo niyti ki nahin meri hai
Videos This video is playing from YouTube
मानव कौल
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 16)
रचनाकार : सर्वेश्वरदयाल सक्सेना
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.