(हाथरस,  उत्तर  प्रदेश  की  गैंग  रेप  की  घटना  पर)  
कई  दिनों  से  बेटी  ग़ायब  थी  
उसके  होने  की  हर  जगह  ढूँढ़  आया  
थाने  भी  गया  
और  थानेदार  का  वही  बना  बनाया  जवाब  
कि  भाग  गई  होगी  किसी  प्रेमी  के  साथ  
मुहल्ले  के  नेता  लगा  विधायक  जी  
सबसे  मिल  आया  
सब  ने  नसीहत  दी,  ग़लती  हमारी  ही  निकाली  गई  
कि  हमने  ही  सँभाल  कर  नहीं  रखी  बेटी  को  
उन्हें  क्या  जवाब  देता,  क्या  कहता  
बेटी  कोई  सामान  तो  नहीं  कि  कोई  चुरा  ले  
इस  डर  से  बंद  कर  दूँ  बक्से  में  
पर  वक्त  ऐसा  है  कि  हमें  ही  सुनना  है  
बेटी  का  दुखी  बाप  जो  ठहरा  
कई  दिनों  के  बाद  मिली  
गनीमत  कि  वह  ज़िंदा  मिली  
पर  कोई  अंग  सलामत  नहीं  
जीभ  भी  उसकी  काट  ली  गई  
कि  बता  न  सके  दरिंदगी  की  कथा,  अपनी  व्यथा  
नीम  बेहोशी  में  वह  छटपटाहटती  रही  
उसकी  छटपटाहट  बताती  है  
कि  वह  योद्धा  की  तरह  लड़ी  
वहाँ  भी  और  यहाँ  भी  
उसके  साथ  जो  हुआ  
और  वह  मारी  गई  
इसलिए  कि  औरत  थी,  ग़रीब  थी  
सबसे  बढ़कर  एक  जाति  थी  
और  यही,  सदियों  से  चली  आ  रही  ज़िंदगी  की  हक़ीक़त  थी  
उसका  मृत  शरीर  सरकार  के  क़ब्ज़े  में  है  
मतलब  वह  क़ैद  में  है  और  हम  भी  क़ैद  में  हैं  
वह  जल  रही  है  हमसे  दूर  अँधेरी  रात  में  धू-धू  
और  जल  रही  हैं  हमारी  आँखें  भी  
यह  जलना  कैसा  है?  
कैसी  है  यह  रोशनी  जो  फैल  रही  है  दूर  तक?  
ज़िंदा  में  वह  बलत्कृत  हुई,  मरने  पर  अपहृत  हुई  
उसका  जो  अंतिम  संस्कार  है,  वह  भी  बलात्कार  है।  
             
                (hathras,  uttar  pardesh  ki  gaing  rep  ki  ghatna  par)  
kai  dinon  se  beti  ghayab  thi  
uske  hone  ki  har  jagah  DhoonDh  aaya  
thane  bhi  gaya  
aur  thanedar  ka  vahi  bana  banaya  javab  
ki  bhaag  gayi  hogi  kisi  premi  ke  saath  
muhalle  ke  neta  laga  vidhayak  ji  
sabse  mil  aaya  
sab  ne  nasihat  di,  ghalati  hamari  hi  nikali  gai  
ki  hamne  hi  sanbhal  kar  nahin  rakhi  beti  ko  
unhen  kya  javab  deta,  kya  kahta  
beti  koi  saman  to  nahin  ki  koi  chura  le  
is  Dar  se  band  kar  doon  bakse  men  
par  vakt  aisa  hai  ki  hamein  hi  sunna  hai  
beti  ka  dukhi  baap  jo  thahra  
kai  dinon  ke  baad  mili  
ganimat  ki  wo  zinda  mili  
par  koi  ang  salamat  nahin  
jeebh  bhi  uski  kaat  li  gai  
ki  bata  na  sake  darindgi  ki  katha,  apni  vyatha  
neem  behoshi  mein  wo  chhataptahatti  rahi  
uski  chhatpatahat  batati  hai  
ki  wo  yoddha  ki  tarah  laDi  
vahan  bhi  aur  yahan  bhi  
uske  saath  jo  hua  
aur  wo  mari  gai  
isliye  ki  aurat  thi,  gharib  thi  
sabse  baDhkar  ek  jati  thi  
aur  yahi,  sadiyon  se  chali  aa  rahi  zindagi  ki  haqiqat  thi  
uska  mrit  sharir  sarkar  ke  qabze  mein  hai  
matlab  wo  qaid  mein  hai  aur  hum  bhi  qaid  mein  hain  
wo  jal  rahi  hai  hamse  door  andheri  raat  mein  dhu  dhu  
aur  jal  rahi  hain  hamari  ankhen  bhi  
ye  jalna  kaisa  hai?  
kaisi  hai  ye  roshni  jo  phail  rahi  hai  door  tak?  
zinda  mein  wo  balatkrit  hui,  marne  par  aphrit  hui  
uska  jo  antim  sanskar  hai,  wo  bhi  balatkar  hai.  
(hathras,  uttar  pardesh  ki  gaing  rep  ki  ghatna  par)  
kai  dinon  se  beti  ghayab  thi  
uske  hone  ki  har  jagah  DhoonDh  aaya  
thane  bhi  gaya  
aur  thanedar  ka  vahi  bana  banaya  javab  
ki  bhaag  gayi  hogi  kisi  premi  ke  saath  
muhalle  ke  neta  laga  vidhayak  ji  
sabse  mil  aaya  
sab  ne  nasihat  di,  ghalati  hamari  hi  nikali  gai  
ki  hamne  hi  sanbhal  kar  nahin  rakhi  beti  ko  
unhen  kya  javab  deta,  kya  kahta  
beti  koi  saman  to  nahin  ki  koi  chura  le  
is  Dar  se  band  kar  doon  bakse  men  
par  vakt  aisa  hai  ki  hamein  hi  sunna  hai  
beti  ka  dukhi  baap  jo  thahra  
kai  dinon  ke  baad  mili  
ganimat  ki  wo  zinda  mili  
par  koi  ang  salamat  nahin  
jeebh  bhi  uski  kaat  li  gai  
ki  bata  na  sake  darindgi  ki  katha,  apni  vyatha  
neem  behoshi  mein  wo  chhataptahatti  rahi  
uski  chhatpatahat  batati  hai  
ki  wo  yoddha  ki  tarah  laDi  
vahan  bhi  aur  yahan  bhi  
uske  saath  jo  hua  
aur  wo  mari  gai  
isliye  ki  aurat  thi,  gharib  thi  
sabse  baDhkar  ek  jati  thi  
aur  yahi,  sadiyon  se  chali  aa  rahi  zindagi  ki  haqiqat  thi  
uska  mrit  sharir  sarkar  ke  qabze  mein  hai  
matlab  wo  qaid  mein  hai  aur  hum  bhi  qaid  mein  hain  
wo  jal  rahi  hai  hamse  door  andheri  raat  mein  dhu  dhu  
aur  jal  rahi  hain  hamari  ankhen  bhi  
ye  jalna  kaisa  hai?  
kaisi  hai  ye  roshni  jo  phail  rahi  hai  door  tak?  
zinda  mein  wo  balatkrit  hui,  marne  par  aphrit  hui  
uska  jo  antim  sanskar  hai,  wo  bhi  balatkar  hai.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : कौशल किशोर  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.