किसान के बच्चों ने
किताब का पहला पन्ना
खोला
देर तक किताबों में ढूँढ़ा
अपने पिता को
मिस्त्री का बच्चा
ढूँढ़ता रहा
मिस्त्री किताबों में
दुनिया के सबसे बड़े महलों
मीनारों का इतिहास
पढ़ता हुआ
घस्यारिन के बच्चे
घस्यारिने ढूँढ़ते रहे
पहाड़ों के बारे में पढ़ते हुए
किताबों में
नाई की बच्ची
ढूँढ़ती रही
क़ैंची से निकलती
गौरैया-सी आवाज़ के साथ
अपने पिता को
किताबों में
सफ़ाईकर्मी
का बच्चा ढूँढ़ता रहा
एक साफ़-सुथरी बात
कि उसका पिता क्यों नहीं है किताबों में
कौन इन्हें बताए
यह दुनिया केवल
डॉक्टर, इंजीनियर, मास्टर, प्रोफ़ेसरों की है
तहसीलदार, ज़िलाधीशों की है
इसमें मजूरों, किसानों,
नाई और घस्यारिनों की कोई जगह नहीं
मेरे प्यारे बच्चो,
ये किताबें बदलनी हैं तुम्हें!
kisan ke bachchon ne
kitab ka pahla panna
khola
der tak kitabon mein DhunDha
apne pita ko
mistri ka bachcha
DhunDhata raha
mistri kitabon mein
duniya ke sabse baDe mahlon
minaron ka itihas
paDhta hua
ghasyarin ke bachche
ghasyarine DhunDhate rahe
pahaDon ke bare mein paDhte hue
kitabon mein
nai ki bachchi
DhunDhati rahi
qainchi se nikalti
gauraiya si awaz ke sath
apne pita ko
kitabon mein
safaikarmi
ka bachcha DhunDhata raha
ek saf suthari baat
ki uska pita kyon nahin hai kitabon mein
kaun inhen bataye
ye duniya kewal
doctor, injiniyar, master, profesron ki hai
tahsildar, ziladhishon ki hai
ismen majuron, kisanon,
nai aur ghasyarinon ki koi jagah nahin
mere pyare bachcho,
ye kitaben badalni hain tumhein!
kisan ke bachchon ne
kitab ka pahla panna
khola
der tak kitabon mein DhunDha
apne pita ko
mistri ka bachcha
DhunDhata raha
mistri kitabon mein
duniya ke sabse baDe mahlon
minaron ka itihas
paDhta hua
ghasyarin ke bachche
ghasyarine DhunDhate rahe
pahaDon ke bare mein paDhte hue
kitabon mein
nai ki bachchi
DhunDhati rahi
qainchi se nikalti
gauraiya si awaz ke sath
apne pita ko
kitabon mein
safaikarmi
ka bachcha DhunDhata raha
ek saf suthari baat
ki uska pita kyon nahin hai kitabon mein
kaun inhen bataye
ye duniya kewal
doctor, injiniyar, master, profesron ki hai
tahsildar, ziladhishon ki hai
ismen majuron, kisanon,
nai aur ghasyarinon ki koi jagah nahin
mere pyare bachcho,
ye kitaben badalni hain tumhein!
स्रोत :
रचनाकार : अनिल कार्की
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.