गाँव में था अपना
पुश्तैनी कच्चा मकान
झाड़ियों से घिरी डगर पर
बढ़ता जाता था आगे
उम्र के ढलान पर
अतिरिक्त सावधान यात्री
की तरह
बारिश के दिनों में
भीगे बैल-सा सहमा
दुबका रहता था
किसी अनहोनी की आशंका में
आसमान की तरफ़ देखने से
चुराता आँखें
उसकी गोद में
आँखें बंद कर छिपे
बहुत बाद पता चलता था हमें
वरुण और पवन के गुंडों का
हाहाकार
अधिक छूट दे देने के अपराध-बोध में
कभी-कभी लगा देता था
अनावश्यक चपत
सीधी मुंडी हमेशा रखने की
करता हुआ ताक़ीद
ग्रीष्म में तपती दोपहर-सा
जब भी आ धमकता सुबह-सुबह
वसूलने मालगुज़ारी
तहसीलदार का चपरासी
दौड़कर अंदर से लाते हम
उसके लिए गुड़ और पानी
इधर-उधर झाँकते
करने लगता घर
दुर्गा सप्तशती का पाठ
अछूत समझकर
लगातार बख़्शते
सेंधमार चोरों के
शुक्रगुज़ार हैं हम
दुनिया की नज़र में
बने रहे फ़िलहाल
एक खाते-पीते घर
वैशाख और जेठ में
महुए की लप्सी
सावन में बनते ठोकवे उसी के
काट देते काठ के दिन
काले पहाड़-सी भादों की रातों में
पकती घनी नींद की कोदों
और नीम के गिरते फलों के बीच
पधारते दिल्ली-लखनऊ से
बड़े-बड़े नेता
बैठे-बैठे चारपाई पर तय करते
रुस और अमेरिका का भविष्य
देश और दुनिया की
बड़ी-बड़ी बातों के रस में डूबा
भूल जाता
गृहस्थी के टाट में
जगह-जगह हुए छेद
अजगर सी लपेटी दुश्वारियों को
प्राणों की सारी शक्ति से छुड़ाता
बीच कहीं सबके-सार्वजनिक
देखने लगता घर
मुंगेरी लाल के हसीन सपने
gaanv mein tha apna
pushtaini kachcha makan
jhaDiyon se ghiri Dagar par
baDhta jata tha aage
umr ke Dhalan par
atirikt savdhan yatri
ki tarah
barish ke dinon mein
bhige bail sa sahma
dubka rahta tha
kisi anhoni ki ashanka mein
asman ki taraf dekhne se
churata ankhen
uski god mein
ankhen band kar chhipe
bahut baad pata chalta tha hamein
varun aur pavan ke gunDon ka
hahakar
adhik chhoot de dene ke apradh bodh men
kabhi kabhi laga deta tha
anavashyak chapat
sidhi munDi hamesha rakhne ki
karta hua takid
greeshm mein tapti dopahar sa
jab bhi aa dhamakta subah subah
vasulne malaguzari
tahsildar ka chaprasi
dauDkar andar se late hum
uske liye guD aur pani
idhar udhar jhankte
karne lagta ghar
durga saptashti ka paath
achhut samajhkar
lagatar bakhshte
sendhmar choron ke
shukraguzar hain hum
duniya ki nazar mein
bane rahe filhal
ek khate pite ghar
vaishakh aur jeth mein
mahue ki lapsi
savan mein bante thokve usi ke
kaat dete kaath ke din
kale pahaD si bhadon ki raton men
pakti ghani neend ki kodon
aur neem ke girte phalon ke beech
padharte dilli lakhanuu se
baDe baDe neta
baithe baithe charpai par tay karte
rus aur amerika ka bhavishya
desh aur duniya ki
baDi baDi baton ke ras mein Duba
bhool jata
grihasthi ke taat mein
jagah jagah hue chhed
ajgar si lapeti dushvariyon ko
pranon ki sari shakti se chhuData
beech kahin sabke sarvajnik
dekhne lagta ghar
mungeri laal ke hasin sapne
gaanv mein tha apna
pushtaini kachcha makan
jhaDiyon se ghiri Dagar par
baDhta jata tha aage
umr ke Dhalan par
atirikt savdhan yatri
ki tarah
barish ke dinon mein
bhige bail sa sahma
dubka rahta tha
kisi anhoni ki ashanka mein
asman ki taraf dekhne se
churata ankhen
uski god mein
ankhen band kar chhipe
bahut baad pata chalta tha hamein
varun aur pavan ke gunDon ka
hahakar
adhik chhoot de dene ke apradh bodh men
kabhi kabhi laga deta tha
anavashyak chapat
sidhi munDi hamesha rakhne ki
karta hua takid
greeshm mein tapti dopahar sa
jab bhi aa dhamakta subah subah
vasulne malaguzari
tahsildar ka chaprasi
dauDkar andar se late hum
uske liye guD aur pani
idhar udhar jhankte
karne lagta ghar
durga saptashti ka paath
achhut samajhkar
lagatar bakhshte
sendhmar choron ke
shukraguzar hain hum
duniya ki nazar mein
bane rahe filhal
ek khate pite ghar
vaishakh aur jeth mein
mahue ki lapsi
savan mein bante thokve usi ke
kaat dete kaath ke din
kale pahaD si bhadon ki raton men
pakti ghani neend ki kodon
aur neem ke girte phalon ke beech
padharte dilli lakhanuu se
baDe baDe neta
baithe baithe charpai par tay karte
rus aur amerika ka bhavishya
desh aur duniya ki
baDi baDi baton ke ras mein Duba
bhool jata
grihasthi ke taat mein
jagah jagah hue chhed
ajgar si lapeti dushvariyon ko
pranon ki sari shakti se chhuData
beech kahin sabke sarvajnik
dekhne lagta ghar
mungeri laal ke hasin sapne
स्रोत :
रचनाकार : अनिल मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.