मेहनत  की  लूट  सबसे  ख़तरनाक  नहीं  होती  
पुलिस  की  मार  सबसे  ख़तरनाक  नहीं  होती  
गद्दारी-लोभ  की  मुट्ठी  सबसे  ख़तरनाक  नहीं  होती  
बैठे-बिठाए  पकड़े  जाना—बुरा  तो  है  
सहमी-सी  चुप  में  जकड़े  जाना—बुरा  तो  है  
सबसे  ख़तरनाक  नहीं  होता  
कपट  के  शोर  में  
सही  होते  हुए  भी  दब  जाना—बुरा  तो  है  
किसी  जुगनू  की  लौ  में  पढ़ना—बुरा  तो  है  
मुट्ठियाँ  भींचकर  बस  वक़्त  निकाल  लेना—बुरा  तो  है  
सबसे  ख़तरनाक  नहीं  होता  
सबसे  ख़तरनाक  होता  है  
मुर्दा  शांति  से  भर  जाना  
न  होना  तड़प  का  सब  सहन  कर  जाना  
घर  से  निकलना  काम  पर  
और  काम  से  लौटकर  घर  जाना  
सबसे  ख़तरनाक  होता  है  
हमारे  सपनों  का  मर  जाना  
सबसे  ख़तरनाक  वह  घड़ी  होती  है  
आपकी  कलाई  पर  चलती  हुई  भी  जो  
आपकी  निगाह  में  रुकी  होती  है  
सबसे  ख़तरनाक  वह  आँख  होती  है  
जो  सब  कुछ  देखती  हुई  भी  जमी  बर्फ़  होती  है  
जिसकी  नज़र  दुनिया  को  मुहब्बत  से  चूमना  भूल  जाती  है  
जो  चीज़ों  से  उठती  अंधेपन  की  भाप  पर  ढुलक  जाती  है  
जो  रोज़मर्रा  के  क्रम  को  पीती  हुई  
एक  लक्ष्यहीन  दुहराव  के  उलटफेर  में  खो  जाती  है  
सबसे  ख़तरनाक  वह  चाँद  होता  है  
जो  हर  हत्याकांड  के  बाद  
वीरान  हुए  आँगनों  में  चढ़ता  है  
पर  आपकी  आँखों  को  मिर्चों  की  तरह  नहीं  गड़ता  है  
सबसे  ख़तरनाक  वह  गीत  होता  है  
आपके  कानों  तक  पहुँचने  के  लिए  
जो  मरसिये  पढ़ता  है  
आतंकित  लोगों  के  दरवाज़ों  पर  
जो  ग़ुंडे  की  तरह  अकड़ता  है  
सबसे  ख़तरनाक  वह  रात  होती  है  
जो  ज़िंदा  रूह  के  आसमानों  पर  ढलती  है  
जिसमें  सिर्फ़  उल्लू  बोलते  और  हुआँ-हुआँ  करते  गीदड़  
हमेशा  के  अँधेरे-बंद  दरवाज़ों-चौगाठों  पर  चिपक  जाते  हैं  
सबसे  ख़तरनाक  वह  दिशा  होती  है  
जिसमें  आत्मा  का  सूरज  डूब  जाए  
और  उसकी  मुर्दा  धूप  का  कोई  टुकड़ा  
आपके  जिस्म  के  पूरब  में  चुभ  जाए  
मेहनत  की  लूट  सबसे  ख़तरनाक  नहीं  होती  
पुलिस  की  मार  सबसे  ख़तरनाक  नहीं  होती  
गद्दारी-लोभ  की  मुट्ठी  सबसे  ख़तरनाक  नहीं  होती।  
                mehnat  ki  loot  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
police  ki  mar  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
gaddari  lobh  ki  mutthi  sabasse  khatarnak  nahin  hoti  
baithe  bithaye  pakDe  jana—bura  to  hai  
sahmi  si  chup  mein  jakDe  jana—bura  to  hai  
par  sabse  khatarnak  nahin  hota  
kapat  ke  shor  mein  
sahi  hote  hue  bhi  dab  jana—bura  to  hai  
kisi  jugnu  ki  lau  mein  paDhna—bura  to  hai  
mutthiyan  bhinchkar  bus  waqt  nikal  lena—bura  to  hai  
sabse  khatarnak  nahin  hota  
sabse  khatarnak  hota  hai  
murda  shanti  se  bhar  jana  
na  hona  taDap  ka  sab  sahn  kar  jana  
ghar  se  nikalna  kaam  par  
aur  kaam  se  lautkar  ghar  jana  
sabse  khatarnak  hota  hai  
hamare  sapnon  ka  mar  jana  
sabse  khatarnak  wo  ghaDi  hoti  hai  
apaki  kalai  par  chalti  hui  bhi  jo  
apaki  nigah  mein  ruki  hoti  hai  
sabse  khatarnak  wo  ankh  hoti  hai  
jo  sabkuchh  dekhti  hui  bhi  jami  barf  hoti  hai  
jiski  nazar  duniya  ko  muhabbat  se  chumna  bhool  jati  hai  
jo  chizon  se  uthti  andhepan  ki  bhap  par  Dhulak  jati  hai  
jo  rozmarra  ke  kram  ko  piti  hui  
ek  lakshyhin  duhraw  ke  ulatpher  mein  kho  jati  hai  
sabse  khatarnak  wo  chand  hota  hai  
jo  har  hatyakanD  ke  baad  
wiran  hue  anganon  mein  chaDhta  hai  
par  apaki  ankhon  ko  mirchon  ki  tarah  nahin  gaDta  hai  
sabse  khatarnak  wo  geet  hota  hai  
apke  kanon  tak  pahunchne  ke  liye  
jo  marasiye  paDhta  hai  
atankit  logon  ke  darwazon  par  
jo  gunDe  ki  tarah  akaDta  hai  
sabse  khatarnak  wo  raat  hoti  hai  
jo  zinda  rooh  ke  asmanon  par  Dhalti  hai  
jismen  sirf  ullu  bolte  aur  huan  huan  karte  gidaD  
hamesha  ke  andhere  band  darwazon  chaugathon  par  chipak  jate  hain  
sabse  khatarnak  wo  disha  hoti  hai  
jismen  aatma  ka  suraj  Doob  jaye  
aur  uski  murda  dhoop  ka  koi  tukDa  
apke  jism  ke  purab  mein  chubh  jaye  
mehnat  ki  loot  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
police  ki  mar  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
gaddari  lobh  ki  mutthi  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
mehnat  ki  loot  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
police  ki  mar  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
gaddari  lobh  ki  mutthi  sabasse  khatarnak  nahin  hoti  
baithe  bithaye  pakDe  jana—bura  to  hai  
sahmi  si  chup  mein  jakDe  jana—bura  to  hai  
par  sabse  khatarnak  nahin  hota  
kapat  ke  shor  mein  
sahi  hote  hue  bhi  dab  jana—bura  to  hai  
kisi  jugnu  ki  lau  mein  paDhna—bura  to  hai  
mutthiyan  bhinchkar  bus  waqt  nikal  lena—bura  to  hai  
sabse  khatarnak  nahin  hota  
sabse  khatarnak  hota  hai  
murda  shanti  se  bhar  jana  
na  hona  taDap  ka  sab  sahn  kar  jana  
ghar  se  nikalna  kaam  par  
aur  kaam  se  lautkar  ghar  jana  
sabse  khatarnak  hota  hai  
hamare  sapnon  ka  mar  jana  
sabse  khatarnak  wo  ghaDi  hoti  hai  
apaki  kalai  par  chalti  hui  bhi  jo  
apaki  nigah  mein  ruki  hoti  hai  
sabse  khatarnak  wo  ankh  hoti  hai  
jo  sabkuchh  dekhti  hui  bhi  jami  barf  hoti  hai  
jiski  nazar  duniya  ko  muhabbat  se  chumna  bhool  jati  hai  
jo  chizon  se  uthti  andhepan  ki  bhap  par  Dhulak  jati  hai  
jo  rozmarra  ke  kram  ko  piti  hui  
ek  lakshyhin  duhraw  ke  ulatpher  mein  kho  jati  hai  
sabse  khatarnak  wo  chand  hota  hai  
jo  har  hatyakanD  ke  baad  
wiran  hue  anganon  mein  chaDhta  hai  
par  apaki  ankhon  ko  mirchon  ki  tarah  nahin  gaDta  hai  
sabse  khatarnak  wo  geet  hota  hai  
apke  kanon  tak  pahunchne  ke  liye  
jo  marasiye  paDhta  hai  
atankit  logon  ke  darwazon  par  
jo  gunDe  ki  tarah  akaDta  hai  
sabse  khatarnak  wo  raat  hoti  hai  
jo  zinda  rooh  ke  asmanon  par  Dhalti  hai  
jismen  sirf  ullu  bolte  aur  huan  huan  karte  gidaD  
hamesha  ke  andhere  band  darwazon  chaugathon  par  chipak  jate  hain  
sabse  khatarnak  wo  disha  hoti  hai  
jismen  aatma  ka  suraj  Doob  jaye  
aur  uski  murda  dhoop  ka  koi  tukDa  
apke  jism  ke  purab  mein  chubh  jaye  
mehnat  ki  loot  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
police  ki  mar  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
gaddari  lobh  ki  mutthi  sabse  khatarnak  nahin  hoti  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : लहू है कि तब भी गाता है (पृष्ठ 17)संपादक  : चमनलाल, कात्यायनी रचनाकार  : पाश 
                             प्रकाशन  : परिकल्पना प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2004 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.