लिखकर फाड़ी गई कविताओं में ढूँढ़ना मुझे
मैं तुम्हें तुम्हारी स्मृतियों की गुफाओं में मिलूँगा
तुम्हारी साइकिल के गुच्छे से लटका हुआ
तुम्हारे रास्ते में पेड़ की तरह खड़ा हुआ
किसी कुम्हार की ज़रूरी नींद में जागता हुआ मैं
सो जाऊँगा एक दिन
तुम्हारे नाम लिखी किसी कविता में
ऐसे भी जिया जा सकता है जीवन
जैसे तुम्हारे बालों में सजता है गजरा
ऐसे भी मिला जा सकता है
जैसे मिलता है शरीर पंचतत्त्वों में
ऐसे भी बिछड़ा जा सकता है
जैसे बिछड़ती है आँसू की बूँद आँखों से
ऐसे भी याद रखा जा सकता है
जैसे याद रखते हैं हम अपना नाम
ऐसे भी भुलाया जा सकता है
जैसे भूल जाते हैं हम कि हमें मरना भी है
प्रेम के पाँव में चुभे हुए काँटों से बनाया ईश्वर
और हृदय में धँसी हुई फाँस ने कवि
प्रेमी किसी चीज़ से बनते हैं
ये ठीक-ठीक न ईश्वर जानता है
और न कवि।
likhkar phaDi gai kawitaon mein DhunDh़na mujhe
main tumhein tumhari smritiyon ki guphaon mein milunga
tumhari cycle ke guchchhe se latka hua
tumhare raste mein peD ki tarah khaDa hua
kisi kumhar ki zaruri neend mein jagata hua main
so jaunga ek din
tumhare nam likhi kisi kawita mein
aise bhi jiya ja sakta hai jiwan
jaise tumhare balon mein sajta hai gajra
aise bhi mila ja sakta hai
jaise milta hai sharir panchtattwon mein
aise bhi bichhDa ja sakta hai
jaise bichhaDti hai ansu ki boond ankhon se
aise bhi yaad rakha ja sakta hai
jaise yaad rakhte hain hum apna nam
aise bhi bhulaya ja sakta hai
jaise bhool jate hain hum ki hamein marna bhi hai
prem ke panw mein chubhe hue kanton se banaya ishwar
aur hirdai mein dhansi hui phans ne kawi
premi kisi cheez se bante hain
ye theek theek na ishwar janta hai
aur na kawi

स्रोत :
रचनाकार : अनुराग अनंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.