वह जो असाधारण स्त्री है
वह तुम्हारे प्रेम में पालतू हो जाएगी
उसे रुचिकर लगेगी वनैले पशुओं-सी तुम्हारी कामना
रात्रि के अंतिम प्रहर में
तुम्हारे स्पर्श से उग आएगी उसकी स्त्री
पर उसे नहीं भाएगा
यह याद दिलाए जाना
सूर्य की प्रतीक्षा के दौरान
तुम्हें प्रेम करते हुए
वह त्याग देगी अपनी आयु
अपनी देह
तुम देख सकोगे
उसकी अनावृत आत्मा
बिना किसी शृंगार के
वह इतनी मुक्त है
कि उसे बाँधना
उसे खो देना है
वह इतनी बँधी हुई है
कि चाहेगी उसकी हर श्वास पर
अंकित हो तुम्हारा नाम
तुम्हारे गठीले बाज़ू
उसे आकर्षित कर सकते हैं
पर उसे रोक रखने की क्षमता
सिर्फ़ तुम्हारे मस्तिष्क के वश में है
तुम्हारे ज्ञान के अहंकार से
उसे वितृष्णा है
वह चाहती है
एक स्नेही, उदार हृदय
जो जानता हो झुकना
उस स्त्री का गर्वोन्नत शीश
नत होगा सिर्फ़ तुम्हारे लिए
जब उसे ज्ञात हो जाएगा
कि उसके प्रेम में
सीख चुके हो तुम
स्त्री होना
wo jo asadharan istri hai
wo tumhare prem mein paltu ho jayegi
use ruchikar lagegi wanaile pashuon si tumhari kamna
ratri ke antim prahar mein
tumhare sparsh se ug ayegi uski istri
par use nahin bhayega
ye yaad dilaye jana
surya ki pratiksha ke dauran
tumhein prem karte hue
wo tyag degi apni aayu
apni deh
tum dekh sakoge
uski anawrit aatma
bina kisi shringar ke
wo itni mukt hai
ki use bandhna
use kho dena hai
wo itni bandhi hui hai
ki chahegi uski har shwas par
ankit ho tumhara nam
tumhare gathile bazu
use akarshait kar sakte hain
par use rok rakhne ki kshamata
sirf tumhare mastishk ke wash mein hai
tumhare gyan ke ahankar se
use witrshna hai
wo chahti hai
ek snehi, udar hirdai
jo janta ho jhukna
us istri ka garwonnat sheesh
nat hoga sirf tumhare liye
jab use gyat ho jayega
ki uske prem mein
seekh chuke ho tum
istri hona
wo jo asadharan istri hai
wo tumhare prem mein paltu ho jayegi
use ruchikar lagegi wanaile pashuon si tumhari kamna
ratri ke antim prahar mein
tumhare sparsh se ug ayegi uski istri
par use nahin bhayega
ye yaad dilaye jana
surya ki pratiksha ke dauran
tumhein prem karte hue
wo tyag degi apni aayu
apni deh
tum dekh sakoge
uski anawrit aatma
bina kisi shringar ke
wo itni mukt hai
ki use bandhna
use kho dena hai
wo itni bandhi hui hai
ki chahegi uski har shwas par
ankit ho tumhara nam
tumhare gathile bazu
use akarshait kar sakte hain
par use rok rakhne ki kshamata
sirf tumhare mastishk ke wash mein hai
tumhare gyan ke ahankar se
use witrshna hai
wo chahti hai
ek snehi, udar hirdai
jo janta ho jhukna
us istri ka garwonnat sheesh
nat hoga sirf tumhare liye
jab use gyat ho jayega
ki uske prem mein
seekh chuke ho tum
istri hona
स्रोत :
रचनाकार : रश्मि भारद्वाज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.