प्रेम,
दरवाज़े के रास्ते नहीं लौटता
वह लौटता है
किसी याद के सहारे
धीमे-धीमे नंगे पाँव
जैसे बिल्ली घुस आती है
खिड़की से
या छत की सीढ़ियों से
अचानक
रसोई से बर्तन गिरने की आवाज़
या किसी काँच के टूट जाने पर
होता है उसकी मौजूदगी का एहसास
ठीक वैसे ही
प्रेम
लौटता है
धीमे से
कभी-कभी
खिड़की के पर्दे बदलते वक़्त
या कपड़ों का रंग चुनते वक़्त
या किसी शांत दुपहर
चाय सुड़कते वक़्त
या किसी गाने के बज जाने पर अचानक
कभी कभी वह लौटता है
किसी पसंदीदा फ़िल्म के बीच में
नायक और नायिका के मधुर संवाद बनकर
न दिन
न तारीख़
न कोई घोषणा
वह चुपके से आ बैठता है कंधे पर
किसी छुअन की तरह
सिहरन बन दौड़ जाता है पूरे शरीर में
वह किसी नीरस शाम के सबसे अकेले समय में
उपन्यास की पंक्तियों के बीच उँगली रख देता है
और ले जाता है अपने साथ
स्मृतियों की पगडंडी पर उल्टे पाँव
किसी की आवाज़ से टूटती है तंद्रा
और किताब औंधी पड़ी रहती है उतनी देर
बुकमार्क किए पन्नों के बल
प्रेम लौटता है
किसी जाने-पहचाने इत्र की ख़ुशबू में
किसी पुरानी फ़ाइल के बीच छुपे ख़त में
बरसात के मौसम में
खिड़की से आते तेज़ झोंकों के बीच
वह छू जाता है चेहरा
एक बूँद बनकर...
प्रेम लौटता है
बिस्तर की चादर बदलते वक़्त
आसमानी या स्याह रंगों के बीच के चुनाव में
जब उलझे थे दो लोग पूरी रात
प्रेम लौटता है
किसी रोज़
उसी मधुर रात की याद बनकर...
prem,
darwaze ke raste nahin lautta
wo lautta hai
kisi yaad ke sahare
dhime dhime nange panw
jaise billi ghus aati hai
khiDki se
ya chhat ki siDhiyon se
achanak
rasoi se bartan girne ki awaz
ya kisi kanch ke toot jane par
hota hai uski maujudgi ka ehsas
theek waise hi
prem
lautta hai
dhime se
kabhi kabhi
khiDki ke parde badalte waqt
ya kapDon ka rang chunte waqt
ya kisi shant duphar
chay suDakte waqt
ya kisi gane ke baj jane par achanak
kabhi kabhi wo lautta hai
kisi pasandida film ke beech mein
nayak aur nayika ke madhur sanwad bankar
na din
na tarikh
na koi ghoshana
wo chupke se aa baithta hai kandhe par
kisi chhuan ki tarah
siharan ban dauD jata hai pure sharir mein
wo kisi niras sham ke sabse akele samay mein
upanyas ki panktiyon ke beech ungli rakh deta hai
aur le jata hai apne sath
smritiyon ki pagDanDi par ulte panw
kisi ki awaz se tutti hai tandra
aur kitab aundhi paDi rahti hai utni der
bukmark kiye pannon ke bal
prem lautta hai
kisi jane pahchane itr ki khushbu mein
kisi purani file ke beech chhupe khat mein
barsat ke mausam mein
khiDki se aate tez jhonkon ke beech
wo chhu jata hai chehra
ek boond bankar
prem lautta hai
bistar ki chadar badalte waqt
asmani ya syah rangon ke beech ke chunaw mein
jab uljhe the do log puri raat
prem lautta hai
kisi roz
usi madhur raat ki yaad bankar
prem,
darwaze ke raste nahin lautta
wo lautta hai
kisi yaad ke sahare
dhime dhime nange panw
jaise billi ghus aati hai
khiDki se
ya chhat ki siDhiyon se
achanak
rasoi se bartan girne ki awaz
ya kisi kanch ke toot jane par
hota hai uski maujudgi ka ehsas
theek waise hi
prem
lautta hai
dhime se
kabhi kabhi
khiDki ke parde badalte waqt
ya kapDon ka rang chunte waqt
ya kisi shant duphar
chay suDakte waqt
ya kisi gane ke baj jane par achanak
kabhi kabhi wo lautta hai
kisi pasandida film ke beech mein
nayak aur nayika ke madhur sanwad bankar
na din
na tarikh
na koi ghoshana
wo chupke se aa baithta hai kandhe par
kisi chhuan ki tarah
siharan ban dauD jata hai pure sharir mein
wo kisi niras sham ke sabse akele samay mein
upanyas ki panktiyon ke beech ungli rakh deta hai
aur le jata hai apne sath
smritiyon ki pagDanDi par ulte panw
kisi ki awaz se tutti hai tandra
aur kitab aundhi paDi rahti hai utni der
bukmark kiye pannon ke bal
prem lautta hai
kisi jane pahchane itr ki khushbu mein
kisi purani file ke beech chhupe khat mein
barsat ke mausam mein
khiDki se aate tez jhonkon ke beech
wo chhu jata hai chehra
ek boond bankar
prem lautta hai
bistar ki chadar badalte waqt
asmani ya syah rangon ke beech ke chunaw mein
jab uljhe the do log puri raat
prem lautta hai
kisi roz
usi madhur raat ki yaad bankar
स्रोत :
रचनाकार : गौरव गुप्ता
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.