मैं
जब हवा की तरह
दृश्यों के बीच से गुज़रता हुआ
अकेला होता हूँ
तो क्षण भर के लिए
मुझे कहीं भी देखा जा सकता है
किसी भी दिशा से
किसी भी मोड़ पर
किसी भी भाषा के अज्ञात
शब्दकोश में
पर मैं
जब कहीं नहीं होता
सिर्फ़ कहीं होने की लगातार कोशिश में
सामने की भीड़ को
दूर से पहचानता हुआ
हवा के आर-पार
एक प्रश्न उछालता हूँ
और हँसता हूँ
तो न जाने क्यों
मुझे लगता है
कि गूँज-हीन शब्दों के इस घने अंधकार में
मैं—
अर्थ-परिवर्तन की
एक अबूझ प्रक्रिया हूँ
जिसके भीतर
ये लोग
झाड़ियाँ
बत्तख़ें और भविष्य
हर चीज़ एक-दूसरे में
घुली-मिली है
जड़ें रोशनी में हैं
रोशनी गंध में,
गंध विचारों में
विचार स्मृतियों में,
स्मृतियाँ रंगों में...
और मैं चुपचाप
इस संपूर्ण व्यतिक्रम को
भीतर सँभाले हुए
चलते-चलते
झुककर
रास्ते की धूल से
एक शब्द उठाता हूँ
और पाता हूँ कि अरे
गुलाब!
main
jab hawa ki tarah
drishyon ke beech se guzarta hua
akela hota hoon
to kshan bhar ke liye
mujhe kahin bhi dekha ja sakta hai
kisi bhi disha se
kisi bhi moD par
kisi bhi bhasha ke agyat
shabdkosh mein
par main
jab kahin nahin hota
sirf kahin hone ki lagatar koshish mein
samne ki bheeD ko
door se pahchanta hua
hawa ke aar par
ek parashn uchhalta hoon
aur hansta hoon
to na jane kyon
mujhe lagta hai
ki goonj heen shabdon ke is ghane andhkar mein
main—
arth pariwartan ki
ek abujh prakriya hoon
jiske bhitar
ye log
jhaDiyan
battkhen aur bhawishya
har cheez ek dusre mein
ghuli mili hai
jaDen roshni mein hain
roshni gandh mein,
gandh wicharon mein
wichar smritiyon mein,
smritiyan rangon mein
aur main chupchap
is sampurn wyatikram ko
bhitar sambhale hue
chalte chalte
jhukkar
raste ki dhool se
ek shabd uthata hoon
aur pata hoon ki are
gulab!
main
jab hawa ki tarah
drishyon ke beech se guzarta hua
akela hota hoon
to kshan bhar ke liye
mujhe kahin bhi dekha ja sakta hai
kisi bhi disha se
kisi bhi moD par
kisi bhi bhasha ke agyat
shabdkosh mein
par main
jab kahin nahin hota
sirf kahin hone ki lagatar koshish mein
samne ki bheeD ko
door se pahchanta hua
hawa ke aar par
ek parashn uchhalta hoon
aur hansta hoon
to na jane kyon
mujhe lagta hai
ki goonj heen shabdon ke is ghane andhkar mein
main—
arth pariwartan ki
ek abujh prakriya hoon
jiske bhitar
ye log
jhaDiyan
battkhen aur bhawishya
har cheez ek dusre mein
ghuli mili hai
jaDen roshni mein hain
roshni gandh mein,
gandh wicharon mein
wichar smritiyon mein,
smritiyan rangon mein
aur main chupchap
is sampurn wyatikram ko
bhitar sambhale hue
chalte chalte
jhukkar
raste ki dhool se
ek shabd uthata hoon
aur pata hoon ki are
gulab!
स्रोत :
पुस्तक : प्रतिनिधि कविताएँ (पृष्ठ 54)
संपादक : परमानंद श्रीवास्तव
रचनाकार : केदारनाथ सिंह
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.