मुझे शौक हुआ मैं लाल रेशमी लिबास पहनूँ
मैने ख़रीदा वो चमचमाता लाल रेशमी लिबास
मैं उसे पहन यूँ इतरा रही थी मानो उस लिबास के साथ मुझे उजला-सा निखरा रूप मिला हो,
उस लिबास की तारीफ़ और चर्चे होने लगे
मैं और इठलाई
वो लिबास इतना भारी और कसा हुआ था कि मेरे बदन में छाले होने लगे,
अब मैं उस लिबास को उतार फेंकना चाहती थी,
पर वो मेरे बदन के छाले से इस कदर चिपका हुआ कि निकाले नहीं निकलता था।
उस लिबास से इतनी तड़पन होने लगी कि मन किया
अपने शरीर के सारे माँस छीलने भी पड़े तो भी
वो लिबास उतार कर फेंक दूँ
पर हिम्मत न हुई।
धीरे-धीरे वो लिबास सिकुड़ने लगा
उसके अंदर मेरा दम घुटता था,
वो लिबास इतना ख़ूबसूरत था कि किसी से कह भी नहीं पा रही थी
कि घुटन होती है मुझे अब आलम ये है कि वो लिबास
ख़ूबसूरत रहने की शर्तें रख रहा है
वो मेरे ख़ून का एक-एक क़तरा चूस रहा है।
mujhe shauk hua main laal reshmi libas pahnun
maine kharida wo chamachmata laal reshmi libas
main use pahan yoon itra rahi thi mano us libas ke saath mujhe ujla sa nikhra roop mila ho,
us libas ki tarif aur charche hone lage
main aur ithlai
wo libas itna bhari aur kasa hua tha ki mere badan mein chhale hone lage,
ab main us libas ko utaar phenkna chahti thi,
par wo mere badan ke chhale se is kadar chipka hua ki nikale nahin nikalta tha.
us libas se itni taDpan hone lagi ki man kiya
apne sharir ke sare maans chhilne bhi paDe to bhi
wo libas utaar kar phenk doon
par himmat na hui.
dhire dhire wo libas sikuDne laga
uske andar mera dam ghutta tha,
wo libas itna khubsurat tha ki kisi se kah bhi nahin pa rahi thi
ki ghutan hoti hai mujhe ab aalam ye hai ki wo libas
khubsurat rahne ki sharten rakh raha hai
wo mere khoon ka ek ek qatra choos raha hai

स्रोत :
रचनाकार : पूर्णिमा साहू
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.