कंधा सरकता है बच्चे की ओर
जिसका सिर नींद में ऊँघता है
फिर वो बच्चा
और गहरी नींद लेता है
हाथ-हाथ को ढूँढ़ता है
मिलता है
फिर उस पर उठकर रुक जाता है
जकड़ लेता है आलिंगन में
मेले में खोया बच्चा
बस, अबाध ताकता है
नज़रें हमेशा सख़्त होती हैं
हर क़दम, हर हरकत पर निगहबान
दायरे में रखती हैं
घर के बाहर रहकर भी
लक्ष्मण रेखा पर टिकी
दहलीज़ पर रख छोड़ती हैं दो आँखें
हथेली
नन्ही अँजुरी को ढाँपती है
बेटी तन्हाई को अपना साथी बनाती है
किसी कोने को पकड़ना चाहती है
फिर रुक जाती है
किसी के स्पर्श की गर्माहट काम आती है
क़दम साथ चलते हैं
काँटे बुनते,रास्ता दिखाते
उन्हीं क़दमों के नक्श में
रेत पर, बर्फ़ में सँभलकर
नन्हे-नन्हे क़दम भी चलते हैं
दृश्यों से परे
एक और समानांतर दृश्य में
जिसमें पिता नदारद हैं
kandha sarakta hai bachche ki or
jiska sir neend mein uunghata hai
phir wo bachcha
aur gahri neend leta hai
haath haath ko DhunDhata hai
milta hai
phir us par uthkar ruk jata hai
jakaD leta hai alingan mein
mele mein khoya bachcha
bas, abadh takta hai
nazren hamesha sakht hoti hain
har qadam, har harkat par nigahban
dayre mein rakhti hain
ghar ke bahar rahkar bhi
lakshman rekha par tiki
dahliz par rakh chhoDti hain do ankhen
hatheli
nanhi anjuri ko Dhanpti hai
beti tanhai ko apna sathi banati hai
kisi kone ko pakaDna chahti hai
phir ruk jati hai
kisi ke sparsh ki garmahat kaam aati hai
qadam saath chalte hain
kante bunte,rasta dikhate
unhin qadmon ke naksh men
ret par, barf mein sanbhalakar
nanhe nanhe qadam bhi chalte hain
drishyon se pare
ek aur samanantar drishya men
jismen pita nadarad hain
. .
*kavi ki ‘pita’ kendrit kavitayen
kandha sarakta hai bachche ki or
jiska sir neend mein uunghata hai
phir wo bachcha
aur gahri neend leta hai
haath haath ko DhunDhata hai
milta hai
phir us par uthkar ruk jata hai
jakaD leta hai alingan mein
mele mein khoya bachcha
bas, abadh takta hai
nazren hamesha sakht hoti hain
har qadam, har harkat par nigahban
dayre mein rakhti hain
ghar ke bahar rahkar bhi
lakshman rekha par tiki
dahliz par rakh chhoDti hain do ankhen
hatheli
nanhi anjuri ko Dhanpti hai
beti tanhai ko apna sathi banati hai
kisi kone ko pakaDna chahti hai
phir ruk jati hai
kisi ke sparsh ki garmahat kaam aati hai
qadam saath chalte hain
kante bunte,rasta dikhate
unhin qadmon ke naksh men
ret par, barf mein sanbhalakar
nanhe nanhe qadam bhi chalte hain
drishyon se pare
ek aur samanantar drishya men
jismen pita nadarad hain
. .
*kavi ki ‘pita’ kendrit kavitayen
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.