पिता एक अशेष आलिंगन हैं
जिनकी ओट में
मैं अपनी असमर्थता छिपाए बैठा रहा
एक-चौथाई उम्र
पिता नदी में देखते हुए
मेरे भविष्य के बारे में सोचते हैं
पर मैं बस नदी की
अठखेलियाँ ही देख पाता हूँ
नदी को देखते हुए
नदी हुआ जा सकता है
पर पिता को देखते हुए
पिता हो पाना लगभग असंभव है
लगभग असंभावनाओं ने घेर रखा है मुझे
मैं असंभावनाओं का समुच्चय हूँ
या अपने पिता जैसा न हो पाने के
अंतरद्वंद्वों का अतिरेक?
पिता कहते थे—
''प्रौढ़ नदियाँ ज़्यादा मिट्टी काटती हैं
और परिमार्जन करके कछार बनाती हैं''
पुल बन जाने से सबसे ज़्यादा उदासी
नावों को हुई
और नदियों का पानी लौट जाने पर
कछारों को
नदियों के सूखने का एक मौसम होता है
और उफान का भी
पिता एक-चौथाई उम्र तक रहे
और तीन-चौथाई रहीं उनकी स्मृतियाँ
स्मृतियाँ जब बहुत कचोटतीं
तब बुरा स्वप्न लगने लगतीं
लेकिन बादल बनकर बरसने पर भी
बारिश नहीं लगतीं
मैं एक काटी गई उम्र हूँ
जिसे नदी द्वारा काटी गई
मिट्टी का पर्याय
हो जाना चाहिए था!
pita ek ashesh alingan hain
jinki ot mein
main apni asmarthata chhipaye baitha raha
ek chauthai umr
pita nadi mein dekhte hue
mere bhawishya ke bare mein sochte hain
par main bus nadi ki
athkheliyan hi dekh pata hoon
pita lagbhag nadi hote hain
nadi ko dekhte hue
nadi hua ja sakta hai
par pita ko dekhte hue
pita ho pana lagbhag asambhaw hai
lagbhag asambhawnaon ne gher rakha hai mujhe
main asambhawnaon ka samuchchay hoon
ya apne pita jaisa na ho pane ke
antradwandwon ka atirek?
pita kahte the—
prauDh nadiyan zyada mitti katti hain
aur parimarjan karke kachhar banati hain
pul ban jane se sabse zyada udasi
nawon ko hui
aur nadiyon ka pani laut jane par
kachharon ko
nadiyon ke sukhne ka ek mausam hota hai
aur uphan ka bhi
pita ek chauthai umr tak rahe
aur teen chauthai rahin unki smritiyan
smritiyan jab bahut kachottin
tab bura swapn lagne lagtin
lekin badal bankar barasne par bhi
barish nahin lagtin
main ek kati gai umr hoon
jise nadi dwara kati gai
mitti ka paryay
ho jana chahiye tha!
pita ek ashesh alingan hain
jinki ot mein
main apni asmarthata chhipaye baitha raha
ek chauthai umr
pita nadi mein dekhte hue
mere bhawishya ke bare mein sochte hain
par main bus nadi ki
athkheliyan hi dekh pata hoon
pita lagbhag nadi hote hain
nadi ko dekhte hue
nadi hua ja sakta hai
par pita ko dekhte hue
pita ho pana lagbhag asambhaw hai
lagbhag asambhawnaon ne gher rakha hai mujhe
main asambhawnaon ka samuchchay hoon
ya apne pita jaisa na ho pane ke
antradwandwon ka atirek?
pita kahte the—
prauDh nadiyan zyada mitti katti hain
aur parimarjan karke kachhar banati hain
pul ban jane se sabse zyada udasi
nawon ko hui
aur nadiyon ka pani laut jane par
kachharon ko
nadiyon ke sukhne ka ek mausam hota hai
aur uphan ka bhi
pita ek chauthai umr tak rahe
aur teen chauthai rahin unki smritiyan
smritiyan jab bahut kachottin
tab bura swapn lagne lagtin
lekin badal bankar barasne par bhi
barish nahin lagtin
main ek kati gai umr hoon
jise nadi dwara kati gai
mitti ka paryay
ho jana chahiye tha!
स्रोत :
रचनाकार : मनीष कुमार यादव
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.