कल मानसून की पहली बरसात हुई
और आज यह दरवाज़ा ख़ुशी से फूल गया है
खिड़की दरवाज़े महज़ लकड़ी नहीं हैं
विस्थापित जंगल होते हैं
मुझे लगा, मैं पेड़ों के बीच से आता-जाता हूँ,
टहनियों पर बैठता हूँ
पेड़ों की खोखल में रहता हूँ किताबें
मैं, जंगल में घिरा हूँ
किंवदंतियों में रहने वाला
आदिम ख़ुशबू से भरा जंगल
कल मौसम की पहली बारिश हुई
और आज यह दरवाज़ा
चौखट में फँसने लगा है
वह बंद होना नहीं चाहता
ठीक दरख़्तों की तरह
एक कटे हुए जिस्म में
पेड़ का ख़ून फिर दौड़ने लगा है
और यह दरवाज़ा बचपन की स्मृतियों में खो गया है
याद आने लगा है
किस तरह वह बाँहें फैलाकर
हज़ारों हथेलियों में समेटा करता था
बारिश को
और झूमने लगता था
वह स्मृतियों में फिर हरा हुआ है।
kal mansun ki pahli barsat hui
aur aaj ye darwaza khushi se phool gaya hai
khiDki darwaze mahz lakDi nahin hain
wisthapit jangal hote hain
mujhe laga, main peDon ke beech se aata jata hoon,
tahaniyon par baithta hoon
peDon ki khokhal mein rahta hoon kitaben
main, jangal mein ghira hoon
kinwdantiyon mein rahne wala
adim khushbu se bhara jangal
kal mausam ki pahli barish hui
aur aaj ye darwaza
chaukhat mein phansne laga hai
wo band hona nahin chahta
theek darakhton ki tarah
ek kate hue jism mein
peD ka khoon phir dauDne laga hai
aur ye darwaza bachpan ki smritiyon mein kho gaya hai
yaad aane laga hai
kis tarah wo banhen phailakar
hazaron hatheliyon mein sameta karta tha
barish ko
aur jhumne lagta tha
wo smritiyon mein phir hara hua hai
kal mansun ki pahli barsat hui
aur aaj ye darwaza khushi se phool gaya hai
khiDki darwaze mahz lakDi nahin hain
wisthapit jangal hote hain
mujhe laga, main peDon ke beech se aata jata hoon,
tahaniyon par baithta hoon
peDon ki khokhal mein rahta hoon kitaben
main, jangal mein ghira hoon
kinwdantiyon mein rahne wala
adim khushbu se bhara jangal
kal mausam ki pahli barish hui
aur aaj ye darwaza
chaukhat mein phansne laga hai
wo band hona nahin chahta
theek darakhton ki tarah
ek kate hue jism mein
peD ka khoon phir dauDne laga hai
aur ye darwaza bachpan ki smritiyon mein kho gaya hai
yaad aane laga hai
kis tarah wo banhen phailakar
hazaron hatheliyon mein sameta karta tha
barish ko
aur jhumne lagta tha
wo smritiyon mein phir hara hua hai
स्रोत :
रचनाकार : हेमंत देवलेकर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.