शांति
बहुत बड़ी चीज़ है...
चाहिए, जैसी हो, सभी को...
अपने यहाँ
जितने हैं डेरे
बाँटते हैं ठेके पे
शांति!
बहुत पहले
गुरु दिया करते थे
शांति के उपदेश
जो मुझे आज तक समझ नहीं आए
ता-उम्र बना रहा अशांत
और तलाशता रहा, शांति...
जैसे अमरीका तलाशता है हर जगह
जीवन-शैली में... न
सरकारी कामकाज में... न
तो फिर उदाहरणों में ही...
नहीं, यह भी पूरी तरह सही नहीं
चलें! अख़बारी कतरनों में ही...
शांति!
ऐसी रसभरी होगी
जिसे अर्सा पहले
तोल्स्तोय ने तोड़ा
तथा सालों बाद
‘युद्ध और शांति’ लिखने से
रात भर पहले
पाश ने चखा...
मैंने जिस दिन शिद्दत से
शांति चाही
मेरे पिता लगने लगे मुझे
गांधी जैसे...
वे मेरे सपनों में भी
उसी चेहरे-मोहरे में आते
मैं उन सर्द रातों में
पसीने से तर-बतर रहता
पिता
सिखाते थे छिपकर शराब पीना
पड़ोसी की सीनाज़ोरी पे
गिरेबान पकड़ना
छूट गए कहीं
उन रातों में मुझे
न चाँद नज़र आता, न तारे
दिखती केवल गांधी की लाठी
बेशक, बड़ी चीज़ रही है
शांति!
वैसे हमारे यहाँ जिसे कहा जाता है
‘सरदार’
देखा जाए तो...
वह भी चढ़ा
फाँसी
इसी शांति के लिए ही...!
shanti
bahut baDi cheez hai
chahiye, jaisi ho, sabhi ko
apne yahan
jitne hain Dere
bantte hain theke pe
shanti!
bahut pahle
guru diya karte the
shanti ke updesh
jo mujhe aaj tak samajh nahin aaye
ta umr bana raha ashant
aur talashta raha, shanti
jaise america talashta hai har jagah
jiwan shaili mein na
sarkari kamakaj mein na
to phir udaharnon mein hi
nahin, ye bhi puri tarah sahi nahin
chalen! akhbari katarnon mein hi
shanti!
aisi rasabhri hogi
jise arsa pahle
talastaye ne toDa
tatha salon baad
‘yudh aur shanti’ likhne se
raat bhar pahle
pash ne chakha
mainne jis din shiddat se
shanti chahi
mere pita lagne lage mujhe
gandhi jaise
we, mere sapnon mein bhi
usi chehre mohre mein aate
main
un sard raton mein
pasine se tar batar rahta
pita
sikhate the chhipkar sharab pina
paDonsi ki sinajori pe
gireban pakaDna
chhoot gaye kahin
un raton mein mujhe
na chand nazar aata, na tare
dikhti kewal gandhi ki lathi
beshak, baDi cheez rahi hai
shanti!
waise hamare yahan jise kaha jata hai
‘sardar’
dekha jaye to
wo bhi chaDha
phansi
isi shanti ke liye hi !
shanti
bahut baDi cheez hai
chahiye, jaisi ho, sabhi ko
apne yahan
jitne hain Dere
bantte hain theke pe
shanti!
bahut pahle
guru diya karte the
shanti ke updesh
jo mujhe aaj tak samajh nahin aaye
ta umr bana raha ashant
aur talashta raha, shanti
jaise america talashta hai har jagah
jiwan shaili mein na
sarkari kamakaj mein na
to phir udaharnon mein hi
nahin, ye bhi puri tarah sahi nahin
chalen! akhbari katarnon mein hi
shanti!
aisi rasabhri hogi
jise arsa pahle
talastaye ne toDa
tatha salon baad
‘yudh aur shanti’ likhne se
raat bhar pahle
pash ne chakha
mainne jis din shiddat se
shanti chahi
mere pita lagne lage mujhe
gandhi jaise
we, mere sapnon mein bhi
usi chehre mohre mein aate
main
un sard raton mein
pasine se tar batar rahta
pita
sikhate the chhipkar sharab pina
paDonsi ki sinajori pe
gireban pakaDna
chhoot gaye kahin
un raton mein mujhe
na chand nazar aata, na tare
dikhti kewal gandhi ki lathi
beshak, baDi cheez rahi hai
shanti!
waise hamare yahan jise kaha jata hai
‘sardar’
dekha jaye to
wo bhi chaDha
phansi
isi shanti ke liye hi !
स्रोत :
पुस्तक : मुझे आई. डी. कार्ड दिलाओ (पृष्ठ 59)
संपादक : कमल जीत चौधरी
रचनाकार : मनोज शर्मा
प्रकाशन : रश्मि प्रकाशन
संस्करण : 2018
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.