चले जाना महज़ शब्द भर नहीं है
उसके साथ चला जाता है बहुत कुछ
अतीत की कुछ पुरानी यादें
तो भविष्य में जुड़ने वाली कुछ नई कहानियाँ भी
इसलिए तो जाना हिंदी की सबसे ख़ौफ़नाक क्रिया है
कवि केदारनाथ सिंह
तुम गए थे वहाँ से
जहाँ से स्मृतियाँ जुड़ी हैं तुम्हारे पुरखों की
तुम्हारे पूर्वजों ने बहुत कठिनाई से
कुछ धूर ज़मीन पर घर बनावाए थे
जिसे तुम बेचकर शहरों की चकाचौंध पर फ़िदा हो गए
अब जब तुम लौट रहे हो
तुम्हारे माथे पर कलंक की पट्टी बँधी है
तुम्हारी आँखें पश्चाताप के आँसुओं से डबाडब हैं
यहाँ तक कि तुम्हारे क़दमों के निशान भी मिट गए हैं
जिस रास्ते से तुम गए थे
वह पगडंडियाँ भी भूल गई हैं
लेकिन अब जब लौट रहे हो
तो कभी भी बहिष्कार मत करना
अपनी पुरखों की यादों का
अपने पूर्वजों के पसीने की गंध
तलाशना वहाँ की सोंधी मिट्टी में।
chale jana mahz shabd bhar nahin hai
uske sath chala jata hai bahut kuch
atit ki kuch purani yaden
to bhawishya mein juDne wali kuch nai kahaniyan bhi
isliye to jana hindi ki sabse khaufnak kriya hai
kawi kedaranath sinh
tum gaye the wahan se
jahan se smritiyan juDi hain tumhare purkhon ki
tumhare purwjon ne bahut kathinai se
kuch dhoor zamin par ghar banawaye the
jise tum bechkar shahron ki chakachaundh par fida ho gaye
ab jab tum laut rahe ho
tumhare mathe par kalank ki patti bandhi hai
tumhari ankhen pashchatap ke ansuon se DabaDab hain
yahan tak ki tumhare qadmon ke nishan bhi mit gaye hain
jis raste se tum gaye the
wo pagDanDiyan bhi bhool gai hain
lekin ab jab laut rahe ho
to kabhi bhi bahishkar mat karna
apni purkhon ki yadon ka
apne purwjon ke pasine ki gandh
talashna wahan ki sondhi mitti mein
chale jana mahz shabd bhar nahin hai
uske sath chala jata hai bahut kuch
atit ki kuch purani yaden
to bhawishya mein juDne wali kuch nai kahaniyan bhi
isliye to jana hindi ki sabse khaufnak kriya hai
kawi kedaranath sinh
tum gaye the wahan se
jahan se smritiyan juDi hain tumhare purkhon ki
tumhare purwjon ne bahut kathinai se
kuch dhoor zamin par ghar banawaye the
jise tum bechkar shahron ki chakachaundh par fida ho gaye
ab jab tum laut rahe ho
tumhare mathe par kalank ki patti bandhi hai
tumhari ankhen pashchatap ke ansuon se DabaDab hain
yahan tak ki tumhare qadmon ke nishan bhi mit gaye hain
jis raste se tum gaye the
wo pagDanDiyan bhi bhool gai hain
lekin ab jab laut rahe ho
to kabhi bhi bahishkar mat karna
apni purkhon ki yadon ka
apne purwjon ke pasine ki gandh
talashna wahan ki sondhi mitti mein
स्रोत :
रचनाकार : दिव्या श्री
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.