गड़गड़ाती आवाज़ को सुनते ही
चूल्हे का आँच तेज़ करती हूँ
अब पकती हुई रोटी के साथ
रिश्तों से जलन की बू आ रही है
तुम्हारे पड़े हर तमाचों पर
मेरा पश्चाताप मुझे सोचने पर विवश करता है—
अपने आत्मसम्मान को कितना निगलोगी?
किसी दिन पिता को बोल देना चाहती हूँ
फ़ोन पर बतियाते समय—
कि मेरी देह के चीरे से अधिक
उसके दिए मन के चीरों से मिला संताप
मुझे हर क्षण व्याकुल करता है
पिता सुनो
अब तुम लौट आओ
मुझे अपने कँधे पर बिठाओ
ले चलो मुझे अपने घर मेरे बचपन की ओर!
क्योंकि मुझे डर है
मेरा आत्मसम्मान
किसी दिन मुझे कुएँ मे ना धकेल दे॥
gaDagDati avaz ko sunte hi
chulhe ka anch tez karti hoon
ab pakti hui roti ke saath
rishton se jalan ki bu aa rahi hai
tumhare paDe har tamachon par
mera pashchatap mujhe sochne par vivash karta hai—
apne atmasamman ko kitna niglogi?
kisi din pita ko bol dena chahti hoon
phone par batiyate samay—
ki meri deh ke chire se adhik
uske diye man ke chiron se mila santap
mujhe har kshan vyakul karta hai
pita suno
ab tum laut aao
mujhe apne kandhe par bithao
le chalo mujhe apne ghar mere bachpan ki or!
kyonki mujhe Dar hai
mera atmasamman
kisi din mujhe kuen mae na dhakel de॥
gaDagDati avaz ko sunte hi
chulhe ka anch tez karti hoon
ab pakti hui roti ke saath
rishton se jalan ki bu aa rahi hai
tumhare paDe har tamachon par
mera pashchatap mujhe sochne par vivash karta hai—
apne atmasamman ko kitna niglogi?
kisi din pita ko bol dena chahti hoon
phone par batiyate samay—
ki meri deh ke chire se adhik
uske diye man ke chiron se mila santap
mujhe har kshan vyakul karta hai
pita suno
ab tum laut aao
mujhe apne kandhe par bithao
le chalo mujhe apne ghar mere bachpan ki or!
kyonki mujhe Dar hai
mera atmasamman
kisi din mujhe kuen mae na dhakel de॥
स्रोत :
रचनाकार : मनीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.