यह लोहार की भट्ठियों में काम कहाँ से आया
यह शमशीरों के खनकने की आवाज़ कैसी है
जो बूढ़े किसान सरकार की गोली खाकर मरे
आख़िर कहाँ गए एक साथ उनके जवान लड़के
वह अधेड़ आदमी
अपनी बूढ़ी बंदूक़ को तेल क्यों पिला रहा
प्रदर्शन के लिए रखी तोपों का बदन
आख़िर टूटता है क्योंकर
तीरों पर लगा ज़ंग क्यों छूटता है आज की शाम
ये कुछ औरतें क्यों ख़रीद रही हैं एक साथ
कफ़न और शौर्य के सामान
जाने तो क्या हुआ है आज कि
सभी हलों के फाल
पिघल कर खंजरों में ढल रहे हैं
इस दौर में मैं एक साथ
उत्साह और भय से भरा हुआ हूँ
कोई बताएगा
सभी हिनहिनाते हुए घोड़ों का मुँह
देश की राजधानी की तरफ़ क्यों है?
ye lohar ki bhatthiyon mein kaam kahan se aaya
ye shamshiron ke khanakne ki awaz kaisi hai
jo buDhe kisan sarkar ki goli khakar mare
akhir kahan gaye ek sath unke jawan laDke
wo adheD adami
apni buDhi banduq ko tel kyon pila raha
pradarshan ke liye rakhi topon ka badan
akhir tutta hai kyonkar
tiron par laga zang kyon chhutta hai aaj ki sham
ye kuch aurten kyon kharid rahi hain ek sath
kafan aur shaury ke saman
jane to kya hua hai aaj ki
sabhi halon ke phaal
pighal kar khanjron mein Dhal rahe hain
is daur mein main ek sath
utsah aur bhay se bhara hua hoon
koi batayega
sabhi hinhinate hue ghoDon ka munh
desh ki rajdhani ki taraf kyon hai?
ye lohar ki bhatthiyon mein kaam kahan se aaya
ye shamshiron ke khanakne ki awaz kaisi hai
jo buDhe kisan sarkar ki goli khakar mare
akhir kahan gaye ek sath unke jawan laDke
wo adheD adami
apni buDhi banduq ko tel kyon pila raha
pradarshan ke liye rakhi topon ka badan
akhir tutta hai kyonkar
tiron par laga zang kyon chhutta hai aaj ki sham
ye kuch aurten kyon kharid rahi hain ek sath
kafan aur shaury ke saman
jane to kya hua hai aaj ki
sabhi halon ke phaal
pighal kar khanjron mein Dhal rahe hain
is daur mein main ek sath
utsah aur bhay se bhara hua hoon
koi batayega
sabhi hinhinate hue ghoDon ka munh
desh ki rajdhani ki taraf kyon hai?
स्रोत :
रचनाकार : विहाग वैभव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.