परदेश की खिड़की से
देश दिखता है
दृष्टि के ध्रुवाँत पर
झिल-मिलाते एक नक्षत्र-सा
मन अतीत से
संयुक्त रहता है इस तरह
कि लगभग भंग रहती है
वर्तमान से अंविती उसकी
मन जहाँ होता है
उससे इतर
कहीं और होना
होने की विवशता होती है
और कुछ नहीं
परदेश में हो कर भी
देश में होता है आदमी
मन के देश में
स्मृति के देश में
उदासी अकेलापन
घुल मिल न सकने की विवशता
भीड़ चकाचौंध व्यस्तता सफलता
के वावजूद
दिख ही जाता है चेहरे पे लिखा
देश जहाँ
तन नहीं मन छूटा होता है
मन जिसमें
जीवन रचा-वसा होता है
पीछे आता है रह-रह कर
सफ़ेद उदासी में लिपटा दिन
घुँटते अँधेरे में गुँथी रात
आती है चली जाती है
ध्यान बीते पलों की गलियों में
कहीं अटका रहता है।
pardesh ki khiDki se
desh dikhta hai
drishti ke dhruvant par
jhil milate ek nakshatr sa
man atit se
sanyukt rahta hai is tarah
ki lagbhag bhang rahti hai
vartaman se anviti uski
man jahan hota hai
usse itar
kahin aur hona
hone ki vivashta hoti hai
aur kuch nahin
pardesh mein ho kar bhi
desh mein hota hai adami
man ke desh men
smriti ke desh mein
udasi akelapan
ghul mil na sakne ki vivashta
bheeD chakachaundh vyastata saphalta
ke vavjud
dikh hi jata hai chehre pe likha
desh jahan
tan nahin man chhuta hota hai
man jismen
jivan racha vasa hota hai
pichhe aata hai rah rah kar
safed udasi mein lipta din
ghuntate andhere mein gunthi raat
aati hai chali jati hai
dhyaan bite palon ki galiyon mein
kahin atka rahta hai.
pardesh ki khiDki se
desh dikhta hai
drishti ke dhruvant par
jhil milate ek nakshatr sa
man atit se
sanyukt rahta hai is tarah
ki lagbhag bhang rahti hai
vartaman se anviti uski
man jahan hota hai
usse itar
kahin aur hona
hone ki vivashta hoti hai
aur kuch nahin
pardesh mein ho kar bhi
desh mein hota hai adami
man ke desh men
smriti ke desh mein
udasi akelapan
ghul mil na sakne ki vivashta
bheeD chakachaundh vyastata saphalta
ke vavjud
dikh hi jata hai chehre pe likha
desh jahan
tan nahin man chhuta hota hai
man jismen
jivan racha vasa hota hai
pichhe aata hai rah rah kar
safed udasi mein lipta din
ghuntate andhere mein gunthi raat
aati hai chali jati hai
dhyaan bite palon ki galiyon mein
kahin atka rahta hai.
स्रोत :
रचनाकार : राजीव कुमार तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.