ग़लती कहाँ पर है
यह पकड़ पाना बहुत मुश्किल है
ग़लत आदमी भी अपने लिए ठीक होता है
मन ने जो बाँध रखे हैं अनुबंध
कपड़ों से, बर्तनों से, घर से
और व्यक्तियों से
जो आदमी को बैल बना देते हैं
और तोड़ने नहीं देते अंधी अर्गलाओं को
तुम्हीं बताओ, यह शासन
कौन-सा न्याय लिए होता है
अपने से बाहर
और बाहर से भीतर
बहुत से जोड़-तोड़ हैं
चीज़ें कब धीरे-धीरे अपने साए बदल लेती हैं
कौन-से मोड़ पर वनपाखी उड़ जाता है
इसका भी तो पता नहीं होता है
कहाँ हैं वे लोग
जो ग़लत और सही में फ़र्क़ करते हैं
कहाँ हैं वे शासक (अधिष्ठाता)
जो ग़लती को ही जीवन मानते हैं
इतिहास साक्षी है
घटनाएँ गवाह है
हर ग़लती को
एक जुर्म कहा जाता है।
ghalati kahan par hai
ye pakaD pana bahut mushkil hai
ghalat adami bhi apne liye theek hota hai
man ne jo bandh rakhe hain anubandh
kapDon se, bartnon se, ghar se
aur wyaktiyon se
jo adami ko bail bana dete hain
aur toDne nahin dete andhi arglaon ko
tumhin batao, ye shasan
kaun sa nyay liye hota hai
apne se bahar
aur bahar se bhitar
bahut se joD toD hain
chizen kab dhire dhire apne saye badal leti hain
kaun se moD par wanpakhi uD jata hai
iska bhi to pata nahin hota hai
kahan hain we log
jo ghalat aur sahi mein farq karte hain
kahan hain we shasak (adhishthata)
jo ghalati ko hi jiwan mante hain
itihas sakshi hai
ghatnayen gawah hai
har ghalati ko
ek jurm kaha jata hai
ghalati kahan par hai
ye pakaD pana bahut mushkil hai
ghalat adami bhi apne liye theek hota hai
man ne jo bandh rakhe hain anubandh
kapDon se, bartnon se, ghar se
aur wyaktiyon se
jo adami ko bail bana dete hain
aur toDne nahin dete andhi arglaon ko
tumhin batao, ye shasan
kaun sa nyay liye hota hai
apne se bahar
aur bahar se bhitar
bahut se joD toD hain
chizen kab dhire dhire apne saye badal leti hain
kaun se moD par wanpakhi uD jata hai
iska bhi to pata nahin hota hai
kahan hain we log
jo ghalat aur sahi mein farq karte hain
kahan hain we shasak (adhishthata)
jo ghalati ko hi jiwan mante hain
itihas sakshi hai
ghatnayen gawah hai
har ghalati ko
ek jurm kaha jata hai
स्रोत :
पुस्तक : निषेध के बाद (पृष्ठ 119)
संपादक : दिविक रमेश
रचनाकार : शैल कुमारी
प्रकाशन : विक्रांत प्रेस
संस्करण : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.