पंख कर रहे वमन ज्वाल
पर पक्षी उड़ता जाए
उसकी देख उड़ान
शिकारी लालायित है।
संग विहग के उड़ती जाए।
उर में उतरी कोटि कटार।
धीरे-धीरे पंख हिले
ज्यों समीर के निश्वासों पर
हँसकर पुष्प खिले।
उसके अंतस् से बहता जो
साहस-रक्त-प्रवाह
आगामी युग को प्रदान
करना अनुपम आलोक।
पावक जाल प्रबलतर शायद
उसकी अग्नि बुझाय,
प्रेम-ज्वाल जब धधक उठे
तब कौन शमन कर पाय
चपलाओं का नीड़ जिधर
उस ओर विहग मुड़ जाए
पंख कर रहे वमन ज्वाल
पर पक्षी उड़ता जाए।
अगणित पिंजरे तोड़ चुका वह
दिवस निशा सम बीते उसका
प्रात रात-सी उसकी
प्रतिपल, घडी, दिवस, प्रतिमास
ऋतुओं की जड़ता पर उसने
अपने गीत बिखेरे
किंतु समय के ऊसर चाहे गीत न ये उग पाए
कौन, भला, जो दहक रहे
अंगार चुगे, खा जाएँ
नव अरुणोदय से रंग लेकर
धूमिल, बुझते, तारक के
उर से लगता जाए।
पंख कर रहे वमन ज्वाल
पर पक्षी उड़ता जाए।
लपट उठ रही है पखों से
पंख झुलस झड़ जाएँ,
छू जाते है जिनको, सत्वर
वे तारक सड़ जाएँ।
प्रीति-दीप्ति को सहन कर सके
अनुपम साहस वाला,
नित्य मरण बनता तारक का
अरुणोदय उजियाला।
उसके उर में उबल रहे हैं
अगणित गीत, अगीत,
किंतु इन्हीं गीतों से है
अनुप्राणित उसका जीवन।
कौन देख पाया प्रत्यक्ष को
कौन जान पाया परोक्ष को
अपनी-अपनी क्षमता के अनुरूप
सभी को पीड़ा का वरदान।
क्यों यह महा प्रसार
विहग को लघुतर होता जाए।
पंख कर रहे वमन ज्वाल
पर पक्षी उड़ता जाए।
pankh kar rahe vaman jvaal
par pakshi uDta jaye
uski dekh uDaan
shikari lalayit hai.
sang vihag ke uDti jaye.
ur mein utri koti katar.
dhire dhire pankh hile
jyon samir ke nishvason par
hansakar pushp khile.
uske antas se bahta jo
sahas rakt pravah
agami yug ko pradan
karna anupam aalok.
pavak jaal prabaltar shayad
uski agni bujhay,
prem jvaal jab dhadhak uthe
tab kaun shaman kar paay
chaplaon ka neeD jidhar
us or vihag muD jaye
pankh kar rahe vaman jvaal
par pakshi uDta jaye.
agnit pinjre toD chuka wo
divas nisha sam bite
uska praat raat si uski
pratipal, ghaDi, divas, pratimas
ritu ki jaDta par usne
apne geet bikhere
kintu samay ke usar chahe geet na ye ug pae
kaun, bhala, jo dahak rahe
angar chuge, kha jaye
mav arunaoday se rang lekar
dhumil, bujhne, tarak ke
ur se lagta jaye.
pankh kar rahe vaman jvaal
par pakshi uDta jaye.
lapat uth rahi hai pakhon
se pankh jhulas jhaD jayen,
chhu jate hai jinko, satvar
ve tarak saD jayen.
priti dipti ko sahn kar sake
anupam sahas vala,
nity marn banta tarak ka
arunaoday ujiyala.
uske ur mein ubal rahe hain
agnit geet, agit, kintu inhin giton se hai
anupranait uska jivan.
kaun dekh paya pratyaksh ko
kaun jaan paya paroksh ko
apni apni kshamata ke anurup
sabhi ko piDa ka vardan.
kyon ye maha prasar
vihag ko laghutar hota jaye.
pankh kar rahe vaman jvaal
par pakshi uDta jaye.
pankh kar rahe vaman jvaal
par pakshi uDta jaye
uski dekh uDaan
shikari lalayit hai.
sang vihag ke uDti jaye.
ur mein utri koti katar.
dhire dhire pankh hile
jyon samir ke nishvason par
hansakar pushp khile.
uske antas se bahta jo
sahas rakt pravah
agami yug ko pradan
karna anupam aalok.
pavak jaal prabaltar shayad
uski agni bujhay,
prem jvaal jab dhadhak uthe
tab kaun shaman kar paay
chaplaon ka neeD jidhar
us or vihag muD jaye
pankh kar rahe vaman jvaal
par pakshi uDta jaye.
agnit pinjre toD chuka wo
divas nisha sam bite
uska praat raat si uski
pratipal, ghaDi, divas, pratimas
ritu ki jaDta par usne
apne geet bikhere
kintu samay ke usar chahe geet na ye ug pae
kaun, bhala, jo dahak rahe
angar chuge, kha jaye
mav arunaoday se rang lekar
dhumil, bujhne, tarak ke
ur se lagta jaye.
pankh kar rahe vaman jvaal
par pakshi uDta jaye.
lapat uth rahi hai pakhon
se pankh jhulas jhaD jayen,
chhu jate hai jinko, satvar
ve tarak saD jayen.
priti dipti ko sahn kar sake
anupam sahas vala,
nity marn banta tarak ka
arunaoday ujiyala.
uske ur mein ubal rahe hain
agnit geet, agit, kintu inhin giton se hai
anupranait uska jivan.
kaun dekh paya pratyaksh ko
kaun jaan paya paroksh ko
apni apni kshamata ke anurup
sabhi ko piDa ka vardan.
kyon ye maha prasar
vihag ko laghutar hota jaye.
pankh kar rahe vaman jvaal
par pakshi uDta jaye.
स्रोत :
पुस्तक : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 446)
रचनाकार : ईश्वर सिंह
प्रकाशन : साहित्य अकादेमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.