हवा दिशा बदलती है और पानी अपने रास्ते
इन पत्थरों पर बैठकर आसमान अपने कपड़े बदलता है
लाखों वर्षों से निश्चल निर्विकार पड़े
एक विशाल शिलाखंड पर
कभी-कभी आती है एक थकी उड़ान
और छोड़ जाती है कोई टूटा हुआ पंख
अपनी कमर में डलिया बाँधे स्त्रियाँ आती हैं
और आँसुओं से तर कर जाती हैं पहाड़ी की छाती
उनके साथ आते हैं बच्चे
और लगातार कुछ समझाते रहते हैं पत्थरों को
कभी-कभी आता है हारा हुआ प्रेम
और किसी शिला के सीने से लिपट कर बहुत होता है
जिस में घुस नहीं पाती लोहे की नुकीली छेनी
उन्हीं प्रस्तरों को चीरती
घुसती जाती है कोमल पौधे की मुलायम जड़
hava disha badalti hai aur pani apne raste
in patthron par baithkar asman apne kapDe badalta hai
lakhon varshon se nishchal nirvikar paDe
ek vishal shilakhanD par
kabhi kabhi aati hai ek thaki uDaan
aur chhoD jati hai koi tuta hua pankh
apni kamar mein Daliya bandhe striyan aati hain
aur ansuon se tar kar jati hain pahaDi ki chhati
unke saath aate hain bachche
aur lagatar kuch samjhate rahte hain patthron ko
kabhi kabhi aata hai hara hua prem
aur kisi shila ke sine se lipat kar bahut hota hai
jis mein ghus nahin pati lohe ki nukili chheni
unhin prastron ko chirti
ghusti jati hai komal paudhe ki mulayam jaD

स्रोत :
रचनाकार : अनिल मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.