पाँव में लगे आलते को
देह का इंधन बना वह उड़ गई
एक हाथ से अम्मा के साड़ी की कोर पकड़े
खा रही है फिर से दूध-भात
पुष्प के मेघों की कामना उसके समक्ष है...
वृक्ष लताओं से प्रकृति के आलिंगन में लिपटी
खिलखिला रही है सखियों के संग
भाई को सिखला दिया है उसने चलाना साइकिल...
सुनाई देने लगी है उसे
अपने पसंदीदा नृत्य की पार्श्व ध्वनि!
नीले लाइनिंग की सफ़ेद चेक शर्ट में
वैसे ही लौट आया है उसका प्रेमी।
साँझ की तैरती धूप उसके आँखो में जाती है।
और ये क्या?
सहसा चकित होकर उठती है!
सोचती है—
“यह क्या अनाप-शनाप घटित हो रहा मस्तिष्क में”
फुलती साँसो को घोंटते हुए
ऑफ़िस का बैग टेबल पर रखती है
तभी प्रतीत होता है उसे किसी चलचित्र की भाँति
निहारा जा रहा है
बेटी को देख चेहरे पर प्रसन्नता का भाव लाए
रसोईघर की ओर बढ़ती है
पीछे से आवाज़ गूँजती है—माँ क्या हुआ?
वो पलटकर उत्तर देती है—बस बीपी लो हो गया था!
मैं जानता हूँ
यह उत्तर उस माँ का था,
उसके अंदर की स्त्री का नहीं॥
paanv mein lage aalte ko
deh ka indhan bana wo uD gai
ek haath se amma ke saDi ki kor pakDe
kha rahi hai phir se doodh bhaat
pushp ke meghon ki kamna uske samaksh hai. . .
vriksh lataon se prakrti ke alingan mein lipti
khilkhila rahi hai sakhiyon ke sang
bhai ko sikhla diya hai usne chalana cycle. . .
sunai dene lagi hai use
apne pasandida nrity ki paarshv dhvani!
nile laining ki safed check shirt mein
vaise hi laut aaya hai uska premi.
saanjh ki tairti dhoop uske ankho mein jati hai.
aur ye kyaa?
sahsa chakit hokar uthti hai!
sochti hai—
“yah kya anap shanap ghatit ho raha mastishk men”
phulti sanso ko ghontte hue
office ka bag table par rakhti hai
tabhi pratit hota hai use kisi chalchitr ki bhanti
nihara ja raha hai
beti ko dekh chehre par prasannata ka bhaav laye
rasoighar ki or baDhti hai
pichhe se avaz gunjti hai—man kya hua?
wo palatkar uttar deti hai—bus bipi lo ho gaya tha!
main janta hoon
ye uttar us maan ka tha,
uske andar ki istri ka nahin॥
paanv mein lage aalte ko
deh ka indhan bana wo uD gai
ek haath se amma ke saDi ki kor pakDe
kha rahi hai phir se doodh bhaat
pushp ke meghon ki kamna uske samaksh hai. . .
vriksh lataon se prakrti ke alingan mein lipti
khilkhila rahi hai sakhiyon ke sang
bhai ko sikhla diya hai usne chalana cycle. . .
sunai dene lagi hai use
apne pasandida nrity ki paarshv dhvani!
nile laining ki safed check shirt mein
vaise hi laut aaya hai uska premi.
saanjh ki tairti dhoop uske ankho mein jati hai.
aur ye kyaa?
sahsa chakit hokar uthti hai!
sochti hai—
“yah kya anap shanap ghatit ho raha mastishk men”
phulti sanso ko ghontte hue
office ka bag table par rakhti hai
tabhi pratit hota hai use kisi chalchitr ki bhanti
nihara ja raha hai
beti ko dekh chehre par prasannata ka bhaav laye
rasoighar ki or baDhti hai
pichhe se avaz gunjti hai—man kya hua?
wo palatkar uttar deti hai—bus bipi lo ho gaya tha!
main janta hoon
ye uttar us maan ka tha,
uske andar ki istri ka nahin॥
स्रोत :
रचनाकार : मनीष यादव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.