वर्षों बाद
कवि ने फिर एक बार
रखे हैं क़दम प्रेम-से सुंदर
इस गाँव की माटी पर
बार-बार सपने देखता गाँव के
पूछा करता गाँव की बात
इस बार लौटकर देखा
कैसा भी तो ठूँठ-सा
गाँव का जीवन
सूखी-सूखी हँसी
गाँव के बच्चों के चेहरों पर
बहुत ही करुण-सी दृष्टि
बूढ़ों की आँखों में
साँसों की तरह नीरव गाँव का रास्ता
कौन चुरा ले गया कोलाहल
किसने चुराया हास-विलास
गाँव का ऐश्वर्य
अँधेरे में मुँह झुकाए
खड़ा है कवि
कोई पुराने युग का पाखी हो
शायद टिटहरी हो कोई
चक्कर काटती थी
रात के आकाश में
आततायी-सी चीख में
गाँव की नील-आत्मा
कोमल वैभव
थर्रा जाता था
सुनहली साड़ी पहन कोई पुकारती बार-बार
बचपन का नाम लेकर
आकाश में नामहीन ज्योत्स्ना
अदूर उल्लू की भीख,
देहाती जीवन को सहेजता है कवि
अकेला अंधकार में।
warshon baad
kawi ne phir ek bar
rakhe hain qadam prem se sundar
is ganw ki mati par
bar bar sapne dekhta ganw ke
puchha karta ganw ki baat
is bar lautkar dekha
kaisa bhi to thoonth sa
ganw ka jiwan
sukhi sukhi hansi
ganw ke bachchon ke chehron par
bahut hi karun si drishti
buDhon ki ankhon mein
sanson ki tarah niraw ganw ka rasta
kaun chura le gaya kolahal
kisne churaya has wilas
ganw ka aishwary
andhere mein munh jhukaye
khaDa hai kawi
koi purane yug ka pakhi ho
shayad titahri ho koi
chakkar katti thi
raat ke akash mein
atatayi si cheekh mein
ganw ki neel aatma
komal waibhaw
tharra jata tha
sunahli saDi pahan koi pukarti bar bar
bachpan ka nam lekar
akash mein namahin jyotsna
adur ullu ki bheekh,
dehati jiwan ko sahejta hai kawi
akela andhkar mein
warshon baad
kawi ne phir ek bar
rakhe hain qadam prem se sundar
is ganw ki mati par
bar bar sapne dekhta ganw ke
puchha karta ganw ki baat
is bar lautkar dekha
kaisa bhi to thoonth sa
ganw ka jiwan
sukhi sukhi hansi
ganw ke bachchon ke chehron par
bahut hi karun si drishti
buDhon ki ankhon mein
sanson ki tarah niraw ganw ka rasta
kaun chura le gaya kolahal
kisne churaya has wilas
ganw ka aishwary
andhere mein munh jhukaye
khaDa hai kawi
koi purane yug ka pakhi ho
shayad titahri ho koi
chakkar katti thi
raat ke akash mein
atatayi si cheekh mein
ganw ki neel aatma
komal waibhaw
tharra jata tha
sunahli saDi pahan koi pukarti bar bar
bachpan ka nam lekar
akash mein namahin jyotsna
adur ullu ki bheekh,
dehati jiwan ko sahejta hai kawi
akela andhkar mein
स्रोत :
पुस्तक : कभी जीवन कभी मृत्यु (पृष्ठ 25)
रचनाकार : मनोरमा बिश्वाल महापात्र
प्रकाशन : वाणी प्रकाशन
संस्करण : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.