ओ मेरी रूठी हुई प्रेयसी,
शिकायतें करो मुझसे
लड़ो और कोसो उस लम्हे को
जब गिर पड़ी थीं तुम मेरे प्यार में
उलाहना दो मेरी नौकरी को
मेरी व्यस्तता को दो कौड़ी का कहो
मेरी वाहियात आदतों और कमीनगी की
पूरी लिस्ट तुम्हें मुँहज़बानी याद है
दुहराओ
तिहराओ
मुझे बारहा छोड़ देने की आतुरता दिखाओ
जताओ कि इस रिश्ते में रस्सी का ज़्यादा हिस्सा
तुम्हारी पकड़ में है
ताक़त भी तुमने ही ज़्यादा लगा रखी है
कहो प्रिय,
जैसे कहती रही हो अब तक
तुम नहीं जानतीं
किसी लम्हे में दुहराए गए तीन लफ़्ज़ नहीं
ये उलाहनाएँ हमारे रिश्ते का ऑक्सीजन हैं
लड़ो मुझसे
कहो कुछ प्लीज़!
कहने-लड़ने में दरअस्ल होती है एक उम्मीद
उस गुंजाइश की
जिसमें प्रेम की संभावना बनी रहती है
बनी रहने दो यह संभावना
और बचा रहने दो यह भ्रम भी कि
तुम अब भी करती हो मुझसे प्रेम
एक संवेदनहीन पति के लिए यह सज़ा ही बहुत है
कि प्रेम के नाम पर सिर्फ़ भ्रम बचा रहे!
o meri ruthi hui preyasi,
shikayten karo mujhse
laDo aur koso us lamhe ko
jab gir paDi theen tum mere pyar mein
ulahna do meri naukari ko
meri wyastata ko do kauDi ka kaho
meri wahiyat adton aur kamingi ki
puri list tumhein munhzbani yaad hai
duhrao
tihrao
mujhe barha chhoD dene ki aturta dikhao
jatao ki is rishte mein rassi ka zyada hissa
tumhari pakaD mein hai
taqat bhi tumne hi zyada laga rakhi hai
kaho priy,
jaise kahti rahi ho ab tak
tum nahin jantin
kisi lamhe mein duhraye gaye teen lafz nahin
ye ulahnayen hamare rishte ka oxygen hain
laDo mujhse
kaho kuch pleez!
kahne laDne mein darasl hoti hai ek ummid
us gunjaish ki
jismen prem ki sambhawna bani rahti hai
bani rahne do ye sambhawna
aur bacha rahne do ye bhram bhi ki
tum ab bhi karti ho mujhse prem
ek sanwedanhin pati ke liye ye saza hi bahut hai
ki prem ke nam par sirf bhram bacha rahe!
o meri ruthi hui preyasi,
shikayten karo mujhse
laDo aur koso us lamhe ko
jab gir paDi theen tum mere pyar mein
ulahna do meri naukari ko
meri wyastata ko do kauDi ka kaho
meri wahiyat adton aur kamingi ki
puri list tumhein munhzbani yaad hai
duhrao
tihrao
mujhe barha chhoD dene ki aturta dikhao
jatao ki is rishte mein rassi ka zyada hissa
tumhari pakaD mein hai
taqat bhi tumne hi zyada laga rakhi hai
kaho priy,
jaise kahti rahi ho ab tak
tum nahin jantin
kisi lamhe mein duhraye gaye teen lafz nahin
ye ulahnayen hamare rishte ka oxygen hain
laDo mujhse
kaho kuch pleez!
kahne laDne mein darasl hoti hai ek ummid
us gunjaish ki
jismen prem ki sambhawna bani rahti hai
bani rahne do ye sambhawna
aur bacha rahne do ye bhram bhi ki
tum ab bhi karti ho mujhse prem
ek sanwedanhin pati ke liye ye saza hi bahut hai
ki prem ke nam par sirf bhram bacha rahe!
स्रोत :
रचनाकार : नाज़िश अंसारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.