आज की रात तुझे आख़िरी ख़त और लिख दूँ
कौन जाने यह दिया सुबह तक जले न जले?
बम बारूद के इस दौर में मालूम नहीं
ऐसी रंगीन हवा फिर कभी चले न चले।
ज़िंदगी सिर्फ़ है ख़ुराक टैंक तोपों की
और इंसान है एक कारतूस गोली का
सभ्यता घूमती लाशों की इक नुमाइश है
और है रंग नया ख़ून नई होली का।
कौन जाने कि तेरी नर्गिसी आँखों में कल
स्वप्न सोए कि किसी स्वप्न का मरण सोए
और शैतान तेरे रेशमी आँचल से लिपट
चाँद रोए कि किसी चाँद का कफ़न रोए।
कुछ नहीं ठीक है कल मौत की इस घाटी में
किस समय किसके सबेरे की शाम हो जाए
डोली तू द्वार सितारों के सजाए ही रहे
और ये बारात अँधेरे में कहीं खो जाए।
मुफ़लिसी भूख ग़रीबी से दबे देश का दुख
डर है कल मुझको कहीं ख़ुद से न बाग़ी कर दे
ज़ुल्म की छाँह में दम तोड़ती साँसों का लहू
स्वर में मेरे न कहीं आग अंगारे भर दे।
चूड़ियाँ टूटी हुई नंगी सड़क की शायद
कल तेरे वास्ते कंगन न मुझे लाने दे
झुलसे बाग़ों का धुआँ खोए हुए पात कुसुम
गोरे हाथों में न मेहँदी का रंग आने दें।
यह भी मुमकिन है कि कल उजड़े हुए गाँव गली
मुझको फ़ुर्सत ही न दें तेरे निकट आने की
तेरी मदहोश नज़र की शराब पीने की
और उलझी हुई अलकें तेरी सुलझाने की।
फिर अगर सूने पेड़ द्वार सिसकते आँगन
क्या करूँगा जो मेरे फ़र्ज़ को ललकार उठे?
जाना होगा ही अगर अपने सफ़र से थक कर
मेरी हमराह मेरे गीत को पुकार उठे।
इसलिए आज तुझे आख़िरी ख़त और लिख दूँ
आज मैं आग के दरिया में उतर जाऊँगा
गोरी-गोरी-सी तेरी संदली बाँहों की क़सम
लौट आया तो तुझे चाँद नया लाऊँगा।
aaj ki raat tujhe akhiri khat aur likh doon
kaun jane ye diya subah tak jale na jale?
bam barud ke is daur mein malum nahin
aisi rangin hawa phir kabhi chale na chale
zindagi sirf hai khurak taink topon ki
aur insan hai ek kartoos goli ka
sabhyata ghumti lashon ki ek numaish hai
aur hai rang naya khoon nai holi ka
kaun jane ki teri nargisi ankhon mein kal
swapn soe ki kisi swapn ka marn soe
aur shaitan tere reshmi anchal se lipat
chand roe ki kisi chand ka kafan roe
kuch nahin theek hai kal maut ki is ghati mein
kis samay kiske sabere ki sham ho jaye
Doli tu dwar sitaron ke sajaye hi rahe
aur ye barat andhere mein kahin kho jaye
mufalisi bhookh gharib se dabe desh ka dukh
Dar hai kal mujhko kahin khu se na baghi kar de
zulm ki chhanh mein dam toDti sanson ka lahu
swar mein mere na kahin aag angare bhar de
chuDiyan tuti hui nangi saDak ki shayad
kal tere waste kangan na mujhe lane de
jhulse baghon ka dhuan khoe hue pat kusum
gore hathon mein na mehandi ka rang aane den
ye bhi mumkin hai ki kal ujDe hue ganw gali
mujhko fursat hi na den tere nikat aane ki
teri madhosh nazar ki sharab pine ki
aur uljhi hui alken teri suljhane ki
phir agar sune peD dwar sisakte angan
kya karunga jo mere farz ko lalkar uthe?
jana hoga hi agar apne safar se thak kar
meri hamrah mere geet ko pukar uthe
isliye aaj tujhe akhiri khat aur likh doon
aj main aag ke dariya mein utar jaunga
gori gori si teri sandli banhon ki qas
laut aaya to tujhe chand naya launga

स्रोत :
पुस्तक : नीरज की पाती (पृष्ठ 57)
रचनाकार : गोपालदास नीरज
प्रकाशन : आत्माराम एंड संस
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.