कहते  हैं  कि  
राजा  हरिश्चंद्र  के  पूर्वज  त्रिशंकु  ने  
सशरीर  स्वर्ग  जाने  की  ज़िद  की  थी  
और  राजर्षि  विश्वामित्र  ने  
चुनौती  दे  दी  थी  इंद्रादि  देवताओं  को  
और  इस  तरह  से  त्रिशंकु  बढ़ने  लगे  थे  स्वर्ग  की  ओर  
देवसभा  स्तब्ध  थी  
कि  यह  कैसी  चुनौती  है  
और  फिर  रचा  जाने  लगा  षड्यंत्र  
मानवों  के  विरुद्ध  
एक  भीषण  षड्यंत्र  
और  त्रिशंकु  लटक  गए  अधर  में  
त्रिशंकु  की  लार  से  बनी  एक  नदी  
जिसे  कर्मनाशा  कहते  हैं  
और  यूँ  नदी  लांछित  हुई  
और  शापित  भी  
उसे  स्पर्श  करने  मात्र  से  
सभी  पुण्यों  का  नाश  हो  जाता  है  
क्या  कभी  कोई  नदी  शापित  हो  सकती  है  
अथवा  क्या  कभी  कोई  स्त्री  लांछित  
यह  देवताओं  का  षड्यंत्र  था  मनुष्यों  के  विरुद्ध  
मैं  इसी  कर्मनाशा  नदी  के  किनारे  रहने  वाला  
एक  अदना  कवि  हूँ  
तुलसी  बहुत  दूर  थे  तुमसे  
हे  कर्मनाशा!  
तुम्हें  जान  नहीं  पाए  
नहीं  तो  क्योंकर  लिखते  
'कासी  मग  सुरसरि  क्रमनासा'  
उनके  आराध्य  की  आराध्या  तो  गंगा  ही  थीं  
लेकिन  मैं  जानता  हूँ  
इसी  नदी  का  पानी  पीकर  
मेरे  पूर्वजों  ने  अपनी  प्यास  बुझाई  है  
और  इसी  नदी  के  पानी  से  
हमारी  फ़सलें  लहलहाई  हैं  
जिन्हें  खाकर  मेरी  ही  नहीं  
कई  शहरों  की  भूख  मिटी  है  
तो  अब  बताएँ  हे  देव!  
कर्मनाशा  कैसे  शापित  हुई?  
क्योंकि  उसके  पानी  से  उपजे  अन्न  का  
प्रसाद  तो  आपने  भी  खाया  है  
आज  मैं  नदी  को  शापमुक्त  करता  हूँ  
और  देवताओं  के  षड्यंत्र  को  धता  बताते  हुए  
कर्मनाशा  के  पानी  से  उपजे  अन्न  को  खाने  के  जुर्म  में  
आपको  अपराधी  पाता  हूँ  
यह  एक  नदी  से  ही  संभव  है  
कि  वह  आपसे  आपका  देवत्व  छीन  ले!  
                kahte  hain  ki  
raja  harishchandr  ke  purvaj  trishanku  ne  
sashrir  svarg  jane  ki  zid  ki  thi  
aur  rajarshi  vishvamitr  ne  
chunauti  de  di  thi  indradi  devtaon  ko  
aur  is  tarah  se  trishanku  baDhne  lage  the  svarg  ki  or  
devasbha  stabdh  thi  
ki  ye  kaisi  chunauti  hai  
aur  phir  racha  jane  laga  shaDyantr  
manvon  ke  diruddh  
ek  bhishan  shaDyantr  
aur  trishanku  latak  ge  adhar  men  
trishanku  ki  laar  se  bani  ek  nadi  
jise  karmanasha  kahte  hain  
aur  yoon  nadi  lanchhit  hui  
aur  shapit  bhi  
use  sparsh  karne  maatr  se  
sabhi  punyon  ka  naash  ho  jata  hai  
kya  kabhi  koi  nadi  shapit  ho  sakti  hai  
athva  
kya  kabhi  koi  stri  lanchhit  
ye  devtaon  ka  shaDyantr  tha  manushyon  ke  viruddh  
main  isi  karmanasha  nadi  ke  kinare  rahne  vala  
ek  adna  kavi  hoon  
tulsi  bahut  door  the  tumse  he  karmanasha  
tumhein  jaan  nahin  pae  
nahin  to  kyonkar  likhte  
kasi  mag  surasari  kramnasa  
unke  aradhya  ki  aradhya  to  ganga  hi  theen  
lekin  main  janta  hoon  
isi  nadi  ka  pani  pikar  
mere  purvjon  ne  apni  pyaas  bujhai  hai.  
aur  isi  nadi  ke  pani  se  
hamari  phaslen  lahlahai  hain.  
jinhen  khakar  meri  hi  nahin  
kai  shahron  ki  bhookh  miti  hai.  
to  ab  batayen  he  dev  
karmanasha  kaise  shapit  hui?  
kyonki  uske  pani  se  upje  ann  ka  
parsad  to  aapne  bhi  khaya  hai.  
aaj  main  nadi  ko  shapmukt  karta  hoon  
aur  devtaon  ke  shaDyantr  ko  dhata  batate  hue  
karmanasha  ke  pani  se  upje  ann  ko  khane  ke  jurm  mein  
aapko  apradhi  pata  hoon  
ye  ek  nadi  se  hi  sambhav  hai  
ki  
wo  aapse  aapka  devatv  chheen  le.  
kahte  hain  ki  
raja  harishchandr  ke  purvaj  trishanku  ne  
sashrir  svarg  jane  ki  zid  ki  thi  
aur  rajarshi  vishvamitr  ne  
chunauti  de  di  thi  indradi  devtaon  ko  
aur  is  tarah  se  trishanku  baDhne  lage  the  svarg  ki  or  
devasbha  stabdh  thi  
ki  ye  kaisi  chunauti  hai  
aur  phir  racha  jane  laga  shaDyantr  
manvon  ke  diruddh  
ek  bhishan  shaDyantr  
aur  trishanku  latak  ge  adhar  men  
trishanku  ki  laar  se  bani  ek  nadi  
jise  karmanasha  kahte  hain  
aur  yoon  nadi  lanchhit  hui  
aur  shapit  bhi  
use  sparsh  karne  maatr  se  
sabhi  punyon  ka  naash  ho  jata  hai  
kya  kabhi  koi  nadi  shapit  ho  sakti  hai  
athva  
kya  kabhi  koi  stri  lanchhit  
ye  devtaon  ka  shaDyantr  tha  manushyon  ke  viruddh  
main  isi  karmanasha  nadi  ke  kinare  rahne  vala  
ek  adna  kavi  hoon  
tulsi  bahut  door  the  tumse  he  karmanasha  
tumhein  jaan  nahin  pae  
nahin  to  kyonkar  likhte  
kasi  mag  surasari  kramnasa  
unke  aradhya  ki  aradhya  to  ganga  hi  theen  
lekin  main  janta  hoon  
isi  nadi  ka  pani  pikar  
mere  purvjon  ne  apni  pyaas  bujhai  hai.  
aur  isi  nadi  ke  pani  se  
hamari  phaslen  lahlahai  hain.  
jinhen  khakar  meri  hi  nahin  
kai  shahron  ki  bhookh  miti  hai.  
to  ab  batayen  he  dev  
karmanasha  kaise  shapit  hui?  
kyonki  uske  pani  se  upje  ann  ka  
parsad  to  aapne  bhi  khaya  hai.  
aaj  main  nadi  ko  shapmukt  karta  hoon  
aur  devtaon  ke  shaDyantr  ko  dhata  batate  hue  
karmanasha  ke  pani  se  upje  ann  ko  khane  ke  jurm  mein  
aapko  apradhi  pata  hoon  
ye  ek  nadi  se  hi  sambhav  hai  
ki  
wo  aapse  aapka  devatv  chheen  le.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : कुमार मंगलम 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.