मेरा मन बसता है
नइहर में
मैं सो नहीं सकी हूँ
कई-कई साल
ससुराल में
मुझे दो-चार दिन के लिए ही सही
मगर ले चलो
ख़ूब गाढ़ी नींद आएगी
सोऊँगी भर पेट
मुझे धूप नहीं मिली है
पीया नहीं पानी भी
छककर कभी
मैं सबेरे-साँझ घूमूँगी
अपने बाबा के बगीचे में
एक-एक बिरिछ को सहलाऊँगी
चूमूँगी उन्हें
मुझे नइहर ले चलो
जहाँ बहती है गाँव के पूरब
एक छोटी-पतली धार वाली नदी
कुम्हरी
नहाऊँगी उसमें
छपक-छपककर
मेरे नइहर की माटी में उगे अन्न का
स्वाद ही कुछ और है
मुझे ले चलो कि मैं चूम लूँ
नइहर की माटी
और भर लूँ अँकवार में
अपनी माँ को
कुँवारी बहनों से मिल लूँ
भाइयों की कलाइयों पर
बाँधू राखी
मना लूँ
भइया दूज का पर्व
घूम लूँ गाँव के मेले में
क्या पता हो जाए भेंट
अचानक
सखियों से!
mera man basta hai
naihar men
main so nahin saki hoon
kai kai saal
sasural men
mujhe do chaar din ke liye hi sahi
magar le chalo
khoob gaDhi neend ayegi
soungi bhar pet
mujhe dhoop nahin mili hai
piya nahin pani bhi
chhakkar kabhi
main sabere saanjh ghumungi
apne baba ke bagiche men
ek ek birichh ko sahlaungi
chumungi unhen
mujhe naihar le chalo
jahan bahti hai gaanv ke purab
ek chhoti patli dhaar vali nadi
kumhri
nahaungi usmen
chhapak chhapakkar
mere naihar ki mati mein uge ann ka
svaad hi kuch aur hai
mujhe le chalo ki main choom loon
naihar ki mati
aur bhar loon ankavar men
apni maan ko
kunvari bahnon se mil loon
bhaiyon ki kalaiyon par
bandhu rakhi
mana loon
bhaiya dooj ka parv
ghoom loon gaanv ke mele men
kya pata ho jaye bhent
achanak
sakhiyon se!
mera man basta hai
naihar men
main so nahin saki hoon
kai kai saal
sasural men
mujhe do chaar din ke liye hi sahi
magar le chalo
khoob gaDhi neend ayegi
soungi bhar pet
mujhe dhoop nahin mili hai
piya nahin pani bhi
chhakkar kabhi
main sabere saanjh ghumungi
apne baba ke bagiche men
ek ek birichh ko sahlaungi
chumungi unhen
mujhe naihar le chalo
jahan bahti hai gaanv ke purab
ek chhoti patli dhaar vali nadi
kumhri
nahaungi usmen
chhapak chhapakkar
mere naihar ki mati mein uge ann ka
svaad hi kuch aur hai
mujhe le chalo ki main choom loon
naihar ki mati
aur bhar loon ankavar men
apni maan ko
kunvari bahnon se mil loon
bhaiyon ki kalaiyon par
bandhu rakhi
mana loon
bhaiya dooj ka parv
ghoom loon gaanv ke mele men
kya pata ho jaye bhent
achanak
sakhiyon se!
स्रोत :
रचनाकार : चंद्रेश्वर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.