जब तुम अँधेरों से डरकर भाग रहे थे
छुपने के लिए एक कोना तलाश रहे थे
मैं पेशानी पर अपनी उंगलियों को
माचिस की तीली की तरह रगड़ रहा था,
छाती में साँस रोक रहा था
उस आसन्न आग को हवा देने के लिए
जब तुम
मेरी लाश पर
अपनी अकर्मण्यता का मातम मना रहे थे
छद्म करूणा से अपना चेहरा सजा रहे थे,
मैं तुम्हारी ख़ातिर
दोबारा जन्म लेने के लिए
ईश्वर से दो-दो हाथ कर रहा था
नहीं
मेरे नायकत्व से
तुम्हारी मुक्ति संभव नहीं
मैं बार-बार मरता हूँ और जनमता हूँ
ताकि तुम स्वयं एक दिन
अपने नायक बनकर खड़े हो जाओ
मेरे मोक्ष का दारोमदार भी तुम पर ही है।
jab tum andheron se Darkar bhaag rahe the
chhupne ke liye ek kona talash rahe the
main peshani par apni ungaliyon ko
machis ki tili ki tarah ragaD raha tha,
chhati mein saans rok raha tha
us asann aag ko hava dene ke liye
jab tum
meri laash par
apni akarmanyta ka matam mana rahe the
chhadm karuna se apna chehra saja rahe the,
main tumhari khatir
dobara janm lene ke liye
iishvar se do do haath kar raha tha
nahin
mere nayakatv se
tumhari mukti sambhav nahin
main baar baar marta hoon aur janamta hoon
taki tum svayan ek din
apne nayak bankar khaDe ho jao
mere moksh ka daromadar bhi tum par hi hai.
jab tum andheron se Darkar bhaag rahe the
chhupne ke liye ek kona talash rahe the
main peshani par apni ungaliyon ko
machis ki tili ki tarah ragaD raha tha,
chhati mein saans rok raha tha
us asann aag ko hava dene ke liye
jab tum
meri laash par
apni akarmanyta ka matam mana rahe the
chhadm karuna se apna chehra saja rahe the,
main tumhari khatir
dobara janm lene ke liye
iishvar se do do haath kar raha tha
nahin
mere nayakatv se
tumhari mukti sambhav nahin
main baar baar marta hoon aur janamta hoon
taki tum svayan ek din
apne nayak bankar khaDe ho jao
mere moksh ka daromadar bhi tum par hi hai.
स्रोत :
रचनाकार : अनादि सूफ़ी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.