कोई कसर नहीं छोड़ी है
मुझको देने में जीवन ने
इसकी उदारता ने किंचित् भी
द्वेष न पाला मुझसे
हर चीज़ मिली बहुतायत से
यह सफ़र कटेगा बड़े मज़े से
मातृ-भूमि के गीत मिले गाने को
कथा-कहानी भाव-भरी यादों को
त्यौहार पुराने पादरियों वाले
और नए फिर एक दूसरे राग ढले
दूरस्थल के
बहुत पुराने मौसम वे सरदी वाले
जहाँ पार जंगल से आतीं मधुर स्लेज़-आवाज़ें
चौंका करता जो दुनिया की
नयी-नयी ईजादों से
सरिता सागर जल के सोते
द्वारों के बाहर आ फूटे
बिना बताए
दादुर ने दल-दल में आ अंडे दे डाले
रिसती राल चीड़ तरुओं से
गरमी का तूफ़ान कुकुरमुत्ते औ’ बेरी
ओससनी घसियायी वह पगडंडी...
आनंद और अनुभव वे चरवाहे के
प्यारी पुस्तक के पन्नों पर भरे अश्रु वे
दर्द और कड़वाहट जीवन के प्रभात के
प्रतिशोधों के बचकाने वे सपने
धूल भरे कपड़े पैरों से नंगे
विद्यालय को छोड़ भागने के दिन
हर चीज़ बहुत थी
पिता-गेह के अँधकार में
एक भयानक निर्धनता भी शामिल थी...
कोई कसर नहीं छोड़ी है
मुझको देने में जीवन ने
इसकी उदारता ने किंचित् भी
द्वेष न पाला मुझसे
अच्छा स्वास्थ्य दिया है
दीर्घ समय के लिए शक्ति का स्रोत दिया है।
प्रथम बार ही मिली मित्रता ऐसी
ऐसा प्रेम मिला है
नहीं किसी को कभी
दूसरी बार मिला है
एक मूर्ख के मंसूबे यश के
मीठे ज़हर वाक्य-शब्दों के
घर पर खिंची हुई मदिरा का
पात्र बड़ा-सा
गायक विज्ञजनों के बीच उड़ेला
भूतकाल की या मौजूदा सरकारों पर
पाप-पुण्य पर
भाषण देते बहसें करते गंभीर बने
उत्तेजित हो कटु हो जाते जो...
मैं साथ रहूँ हरदम जनता के
उसको जानूँ समझूँ जो कुछ उस पर बीता
सन् तीस या कि फिर इकतालिस
या अन्य वर्ष ने
नहीं दिया है ऐसा मौक़ा
जो मुझको कुछ रहे परेखा...
मेरे उर के भीतर सब कुछ इतना संचित
शीत-ताप के चरम बिंदु को
सह सकने में मैं समर्थ हूँ
जीवन-पथ पर
छोटी-मोटी विपदाओं का
आघातों का
कोई ख़ास महत्त्व नहीं मुझको लगता है
मुझे पता जब
ख़ुश हो लेने से ही कोई
जीवन पार नहीं होता है
बिना किए संघर्ष
बैठकर दूर
देखने से ही काम नहीं चलता है
जीवन में तो सारा बोझा
अपनी स्वयं पीठ पर होता
अपनी मेहनत के निशान पड़ते हैं
अपना तीखा स्वेद बहा होता है
जिन चीज़ों की आई तुम पर ज़िम्मेवारी
जिनका निर्माण तुम्हें करना
किंचित् क़र्ज़ा मानवता का निपटाने को
केवल तरुणों के लिए नहीं
श्रम सबके लिए ज़रूरी है
अभी सामने समय कठिन है
किंतु न मैं भयभीत।
koi kasar nahin chhoDi hai
mujhko dene mein jivan ne
iski udarta ne kinchit bhi
dvesh na pala mujhse
har cheez mili bahutayat se
ye safar katega baDe maze se
matri bhumi ke geet mile gane ko
katha kahani bhaav bhari yadon ko
tyauhar purane padariyon vale
aur ne phir ek dusre raag Dhale
durasthal ke
bahut purane mausam ve sardi vale
jahan paar jangal se atin madhur slez avazen
chaunka karta jo duniya ki
nayi nayi iijadon se
sarita sagar jal ke sote
dvaron ke bahar aa phute
bina bataye
dadur ne dal dal mein aa anDe de Dale
risti raal cheeD taruon se
garmi ka tufan kukurmutte au’ beri
osasni ghasiyayi wo pagDanDi. .
anand aur anubhav ve charvahe ke
pyari pustak ke pannon par bhare ashru ve
dard aur kaDvahat jivan ke parbhat ke
pratishodhon ke bachkane ve sapne
dhool bhare kapDe pairon se nange
vidyalay ko chhoD bhagne ke din
har cheez bahut thi
pita geh ke andhakar men
ek bhayanak nirdhanta bhi shamil thi. . .
koi kasar nahin chhoDi hai
mujhko dene mein jivan ne
iski udarta ne kinchit bhi
dvesh na pala mujhse
achchha svasthya diya hai
deergh samay ke liye shakti ka srot diya hai.
pratham baar hi mili mitrata aisi
aisa prem mila hai
nahin kisi ko kabhi
dusri baar mila hai
ek moorkh ke mansube yash ke
mithe zahr vakya shabdon ke
ghar par khinchi hui madira ka
paatr baDa sa
gayak vigyajnon ke beech uDela
bhutakal ki ya maujuda sarkaron par
paap punya par
bhashan dete bahsen karte gambhir bane
uttejit ho katu ho jate jo. . .
main saath rahun hardam janta ke
usko janun samjhun jo kuch us par bita
san tees ya ki phir iktalis
ya anya varsh ne
nahin diya hai aisa mauqa
jo mujhko kuch rahe parekha. . .
mere ur ke bhitar sab kuch itna sanchit
sheet taap ke charam bindu ko
sah sakne mein main samarth hoon
jivan path par
chhoti moti vipdaon ka
aghaton ka
koi khaas mahattv nahin mujhko lagta hai
mujhe pata jab
khush ho lene se hi koi
jivan paar nahin hota hai
bina kiye sangharsh
baithkar door
dekhne se hi kaam nahin chalta hai
jivan mein to sara bojha
apni svayan peeth par hota
apni mehnat ke nishan paDte hain
apna tikha sved baha hota hai
jin chizon ki aai tum par zimmevari
jinka nirman tumhein karna
kinchit qarza manavta ka niptane ko
keval tarunon ke liye nahin
shram sabke liye zaruri hai
abhi samne samay kathin hai
kintu na main bhaybhit
koi kasar nahin chhoDi hai
mujhko dene mein jivan ne
iski udarta ne kinchit bhi
dvesh na pala mujhse
har cheez mili bahutayat se
ye safar katega baDe maze se
matri bhumi ke geet mile gane ko
katha kahani bhaav bhari yadon ko
tyauhar purane padariyon vale
aur ne phir ek dusre raag Dhale
durasthal ke
bahut purane mausam ve sardi vale
jahan paar jangal se atin madhur slez avazen
chaunka karta jo duniya ki
nayi nayi iijadon se
sarita sagar jal ke sote
dvaron ke bahar aa phute
bina bataye
dadur ne dal dal mein aa anDe de Dale
risti raal cheeD taruon se
garmi ka tufan kukurmutte au’ beri
osasni ghasiyayi wo pagDanDi. .
anand aur anubhav ve charvahe ke
pyari pustak ke pannon par bhare ashru ve
dard aur kaDvahat jivan ke parbhat ke
pratishodhon ke bachkane ve sapne
dhool bhare kapDe pairon se nange
vidyalay ko chhoD bhagne ke din
har cheez bahut thi
pita geh ke andhakar men
ek bhayanak nirdhanta bhi shamil thi. . .
koi kasar nahin chhoDi hai
mujhko dene mein jivan ne
iski udarta ne kinchit bhi
dvesh na pala mujhse
achchha svasthya diya hai
deergh samay ke liye shakti ka srot diya hai.
pratham baar hi mili mitrata aisi
aisa prem mila hai
nahin kisi ko kabhi
dusri baar mila hai
ek moorkh ke mansube yash ke
mithe zahr vakya shabdon ke
ghar par khinchi hui madira ka
paatr baDa sa
gayak vigyajnon ke beech uDela
bhutakal ki ya maujuda sarkaron par
paap punya par
bhashan dete bahsen karte gambhir bane
uttejit ho katu ho jate jo. . .
main saath rahun hardam janta ke
usko janun samjhun jo kuch us par bita
san tees ya ki phir iktalis
ya anya varsh ne
nahin diya hai aisa mauqa
jo mujhko kuch rahe parekha. . .
mere ur ke bhitar sab kuch itna sanchit
sheet taap ke charam bindu ko
sah sakne mein main samarth hoon
jivan path par
chhoti moti vipdaon ka
aghaton ka
koi khaas mahattv nahin mujhko lagta hai
mujhe pata jab
khush ho lene se hi koi
jivan paar nahin hota hai
bina kiye sangharsh
baithkar door
dekhne se hi kaam nahin chalta hai
jivan mein to sara bojha
apni svayan peeth par hota
apni mehnat ke nishan paDte hain
apna tikha sved baha hota hai
jin chizon ki aai tum par zimmevari
jinka nirman tumhein karna
kinchit qarza manavta ka niptane ko
keval tarunon ke liye nahin
shram sabke liye zaruri hai
abhi samne samay kathin hai
kintu na main bhaybhit
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 176)
रचनाकार : अलेक्सांद्र त्वारदोव्स्की
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.