मेरे स्वप्न में मछलियों के पंख हैं
चिड़िया जल में तैर सकती है
मैं दौड़ते हुए निकल जाता हूँ क्षितिज के पार
उँगलियों में नचाता रहता हूँ पृथ्वी
मेरे दाँत पर चमकता रहता है आसमान
आँखें स्वप्न में मनुष्यों में बदल जाती हैं
तुम्हारी आँख मेरे स्वप्न में हरे रिबन वाली बच्ची है
और मेरी आँखें खिलौने के लिए ज़िद करता बच्चा
हमारी इच्छाएँ एक गिद्ध की तरह खुजलाती है पंख
और हम एक ही समय में हँसते-रोते बरामद होते हैं—
अपने-अपने एकांत में
कोई भी असंभव पूरी तरह असंभव नहीं होता
प्रत्येक असंभव लगभग असंभव होता है
स्वप्न असंभव और लगभग असंभव के पार कहीं
संभावना में निवास करते हैं
सारे असंभवों और लगभग असंभवों पर विजय पाते हुए।
mere swapn mein machhaliyon ke pankh hain
chiDiya jal mein tair sakti hai
main dauDte hue nikal jata hoon kshaitij ke par
ungliyon mein nachata rahta hoon prithwi
mere dant par chamakta rahta hai asman
ankhen swapn mein manushyon mein badal jati hain
tumhari ankh mere swapn mein hare ribbon wali bachchi hai
aur meri ankhen khilaune ke liye zid karta bachcha
hamari ichhayen ek giddh ki tarah khujlati hai pankh
aur hum ek hi samay mein hanste rote baramad hote hain—
apne apne ekant mein
koi bhi asambhaw puri tarah asambhaw nahin hota
pratyek asambhaw lagbhag asambhaw hota hai
swapn asambhaw aur lagbhag asambhaw ke par kahin
sambhawna mein niwas karte hain
sare asambhwon aur lagbhag asambhwon par wijay pate hue

स्रोत :
रचनाकार : अनुराग अनंत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.