यह कविता नहीं
मेरे एकांत का प्रवेश-द्वार है
यहीं आकर सुस्ताती हूँ मैं
टिकाती हूँ यहीं अपना सिर
ज़िंदगी की भाग-दौड़ से थक-हारकर
जब लौटती हूँ यहाँ
आहिस्ता से खुलता है
इसके भीतर एक द्वार
जिसमें धीरे से प्रवेश करती मैं
तलाशती हूँ अपना निजी एकांत
यहीं मैं वह होती हूँ
जिसे होने के लिए मुझे
कोई प्रयास नहीं करना पड़ता
पूरी दुनिया से छिटककर
अपनी नाभि से जुड़ती हूँ यहीं!
मेरे एकांत में देवता नहीं होते
न ही उनके लिए
कोई प्रार्थना होती है मेरे पास
दूर तक पसरी रेत
जीवन की बाधाएँ
कुछ स्वप्न और
प्राचीन कथाएँ होती हैं
होती है—
एक धुँधली-सी धुन
हर देश-काल में जिसे
अपनी-अपनी तरह से पकड़ती
स्त्रियाँ बाहर आती हैं अपने आपसे
मैं कविता नहीं
शब्दों में ख़ुद को रचते देखती हूँ
अपनी काया से बाहर खड़ी होकर
अपना होना!
ye kawita nahin
mere ekant ka prawesh dwar hai
yahin aakar sustati hoon main
tikati hoon yahin apna sir
zindagi ki bhag dauD se thak harkar
jab lautti hoon yahan
ahista se khulta hai
iske bhitar ek dwar
jismen dhire se prawesh karti main
talashti hoon apna niji ekant
yahin main wo hoti hoon
jise hone ke liye mujhe
koi prayas nahin karna paDta
puri duniya se chhitakkar
apni nabhi se juDti hoon yahin!
mere ekant mein dewta nahin hote
na hi unke liye
koi pararthna hoti hai mere pas
door tak pasri ret
jiwan ki badhayen
kuch swapn aur
prachin kathayen hoti hain
hoti hai—
ek dhundhli si dhun
har desh kal mein jise
apni apni tarah se pakaDti
striyan bahar aati hain apne aapse
main kawita nahin
shabdon mein khu ko rachte dekhti hoon
apni kaya se bahar khaDi hokar
apna hona!
ye kawita nahin
mere ekant ka prawesh dwar hai
yahin aakar sustati hoon main
tikati hoon yahin apna sir
zindagi ki bhag dauD se thak harkar
jab lautti hoon yahan
ahista se khulta hai
iske bhitar ek dwar
jismen dhire se prawesh karti main
talashti hoon apna niji ekant
yahin main wo hoti hoon
jise hone ke liye mujhe
koi prayas nahin karna paDta
puri duniya se chhitakkar
apni nabhi se juDti hoon yahin!
mere ekant mein dewta nahin hote
na hi unke liye
koi pararthna hoti hai mere pas
door tak pasri ret
jiwan ki badhayen
kuch swapn aur
prachin kathayen hoti hain
hoti hai—
ek dhundhli si dhun
har desh kal mein jise
apni apni tarah se pakaDti
striyan bahar aati hain apne aapse
main kawita nahin
shabdon mein khu ko rachte dekhti hoon
apni kaya se bahar khaDi hokar
apna hona!
स्रोत :
पुस्तक : नगाड़े की तरह बजते शब्द (पृष्ठ 88)
रचनाकार : निर्मला पुतुल
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.