कविता जानती है
कि उसकी जवानी मुट्ठी में बंद रेत है
पिछले पाँच ब्रेकअप में तीन तो नादानी में हो गए
चौथा उससे कम उम्र का था
इसलिए शादी के मूड में नहीं था
और पाँचवाँ
बेहतरी के तलाश में
कुछ और कम उम्र की
और कुछ कम फ़्रस्टेटेड लड़की की तलाश में निकल गया
कविता को शुरुआत में जींस बिलकुल भी पसंद नहीं थी
लेकिन उम्र की ढलान आने लगी है
तो उसने जींस पहनना शुरू कर दिया है
उसे ऐसा महसूस होता है
कि इसमें उसकी उम्र कुछ कम लगती है
नितंबों का उभार कुछ और खिलता है
लड़कों के दिल में
उसके लिए प्यार कुछ और खिलता है
बालों की स्ट्रेटनिंग
और मेकअप ने तीस से छब्बीस तो बना ही दिया है
लेकिन सोच पर उम्र का असर तो आ ही जाता है
अबकी बार जो भी मिलेगा
मज़ा लेकर निकल जाने नहीं देगी कविता
पहले पूछेगी
शादी तो करोगे न
सुनो
मैं उस टाइप की लड़की नहीं हूँ
एक ज़िस्म भर नहीं हूँ मैं
सिर्फ़ फ़िल्में देखने
और साथ घूमने वाली भी नहीं हूँ
मैं सब समझती हूँ
सब जानती हूँ
कविता ने एक लिस्ट बनाई है
वह वो सब पूछेगी
जिसके बिना पर पिछले सारे लड़कों ने
उसे ब्रेकअप दे दिया था
क्योंकि अब उसके पास ग़लतियाँ
करने भर की उम्र नहीं बची है
अब प्यार भी उसी से करेगी जो शादी करेगा
हो तो यह भी सकता है
कि वह पहले शादी कर ले
फिर उसे उसी से प्यार हो जाए
जैसा मम्मी और पापा को हुआ
बुआ और फूफा को हुआ
लेकिन वे सारी बग़ावती बातें
जो हॉस्टल में उसने अपनी सहेलियों को
आलोकधन्वा की कविता पढ़कर सुनाते हुए समझाई थीं
ओह! कैसे मुँह दिखाएगी सहेलियों को
वैसे कहाँ लिखा है कि शादी की ही जाए
लेकिन कविता को दुल्हन बनने का बड़ा शौक़ है
वह अपनी शादी में बिल्कुल वैसा ही लहँगा
बनवाएगी जैसा कटरीना ने फ़िल्म में पहना था
कविता ने 'दिलवाले दुल्हनियाँ...' कई-कई बार देखी है
बचपन में राज-राज चिल्लाती सरसों के खेत में
बावली-सी दौड़ा करती थी
प्यार तो बेहद ज़रूरी चीज़ है
बिना प्यार के कैसे जी पाएगी वह
और सच भी तो है
कोई कैसे किसी से बिना देखे, मिले या जाने शादी कर ले
प्यार होना ज़रूरी होता है
क्या एक बार और प्यार किया जा सकता है
क्या एक बार और कहा जा सकता है
कि मैं बस तुम्हारे लिए बनी हूँ
मैं बस तुम्हारे लिए जीना चाहती हूँ
मैं बस तुम्हारे लिए मरना चाहती हूँ
और वह बस यह कह दे
हाँ, मैं तुमसे शादी करूँगा
कविता ने इसके अलावा
दुनिया का हर लफ़्ज़ सुना है
सिवाय इसके
तीस की उम्र में ब्रेकअप
आपको रोने भी नहीं देता ठीक से
हॉस्टल का पंखा कितना धीमे-धीमे चलता है
उसे अब ख़याल आया है
जून के महीने में ब्रेकअप नहीं करना चाहिए था उसे
गर्मी से वैसे ही सिर फट रहा है
दिल टूटने से या गर्मी से
किससे परेशान होऊँ समझ नहीं आता
पिछले तीन साल से उसने कहाँ ध्यान दिया था
उसके कमरे की खिड़की से
एक लड़कों वाला हॉस्टल दीखता है
दो मैना और एक कबूतर रोज़ उसकी खिड़की पर आते हैं
आजकल वह जब भी हॉस्टल लौटती है
एक बात ग़ौर करती है
जिन लड़कियों के प्रेमी हैं
उनकी खिड़कियों पर शीशे रखे होते हैं ख़ाली उदास-से
और जिनका ब्रेकअप हो चुका होता है
उनकी खिड़कियों पे वो ख़ुद होती हैं
शीशों की तरह
कविता कहीं भाग जाना चाहती है
लेकिन कहाँ
किसके साथ
उसके कानों में आलोकधन्वा की थरथराती हुई आवाज़ गूँजती है :
''लड़की भागती है
तो क्या ज़रूरी है उसके साथ
कोई लड़का भी भागा हो
लड़की भागती है
दर्शकों से भरे जगर-मगर स्टेडियम में...''
कविता बार-बार सोचती है
अब इस उम्र में
क्या वह स्टेडियम में भाग भी सकती है
उसके भागने का इंतज़ार कर रहे उसके अपने लोग
क्या वाक़ई छुपाएँगे उसका शीशा उसका आबनूस
उसकी सात पालों वाली नाव
उसके दुपट्टे के झुटपुटे में जिसे वह आलमारी में कहीं छोड़ आई है
क्या उसके पास कोई उम्र बची है
तीस की हो गई कविता
सोचती है
कहाँ होगा वह लड़का जो उसे कहीं भगा ले जाए
जिसका इंतज़ार हर समंदर के दरवाज़े पर खड़ी वह कर रही है।
kavita janti hai
ki uski javani mutthi mein band ret hai
pichhle paanch brekap mein teen to nadani mein ho ge
chautha usse kam umr ka tha
isliye shadi ke mooD mein nahin tha
aur panchvan
behtari ke talash men
kuch aur kam umr ki
aur kuch kam frasteteD laDki ki talash mein nikal gaya
kavita ko shuruat mein jeens bilkul bhi pasand nahin thi
lekin umr ki Dhalan aane lagi hai
to usne jeens pahanna shuru kar diya hai
use aisa mahsus hota hai
ki
ismen uski umr kuch kam lagti hai
nitambon ka ubhaar kuch aur khilta hai
laDkon ke dil men
uske liye pyaar kuch aur khilta hai
balon ki stretning aur mekap ne tees se chhabbis to bana hi diya hai
lekin soch par umr ka asar to aa hi jata hai
abki baar jo bhi milega
maza lekar nikal jane nahin degi kavita
pahle puchhegi
shadi to karoge na
suno
main us taip ki laDki nahin hoon
ek zism bhar nahin hoon main
sirf filmen dekhne aur saath ghumne vali bhi nahin hoon
main sab samajhti hoon
sab janti hoon
kavita ne ek list banai hai
wo wo sab puchhegi
jiske bina par use pichhle sare laDkon ne use brekap de diya tha
kyonki ab uske paas ghalatiyan karne bhar ki umr nahin bachi hai
ab pyaar bhi usi se karegi jo shadi karega
ho to ye bhi sakta hai ki wo pahle shadi karle
phir use usi se pyaar ho jaye
jaisa mammi aur papa ko hua
bua aur fufa ko hua
lekin wo sari bagavati baten
jo haustal mein usne apni saheliyon ko alokdhanva ki kavita paDhkar sunate hue samjhai theen
oh
kaise munh dikhayegi saheliyon ko
vaise kahan likha hai ki shadi ki hi jaye
lekin kavita ko dulhan banne ka baDa shauk hai
wo apni shadi mein bilkul vaisa hi lahanga banvayegi jaisa katrina ne film mein pahna tha
kavita ne dilvale dulhniyan kai kai baar dekhi hai
bachpan mein raaj raaj chillati sarson ke khet mein bavli si dauDa karti thi
pyaar to behad jaruri cheez hai
bina pyaar ke kaise ji payegi wo
aur sach bhi to hai
koi kaise kisi se bina dekhe, mile ya jane shadi kar le
pyaar hona zaruri hota hai
kya ek baar aur pyaar kiya ja sakta hai
kya ek baar aur kaha ja sakta hai
ki main bas tumhare liye bani hoon
main bas tumhare liye jina chahti hoon
main bas tumhare liye marna chahti hoon
aur wo bas ye kah de
haan main tumse shadi karunga
kavita ne iske alave duniya ka har lafz suna hai
sivay iske
tees ki umr mein brekap
aapko rone bhi nahin deta theek se
haustal ka pankha kitna dhime dhime chalta hai
use ab khyaal aaya hai
joon ke mahine mein brekap nahi karna chahiye tha use
garmi se vaise hi sar phat raha hai
dil tutne se ya garmi se
kis se pareshan houn samajh nahin aata
pichhle teen saal se usne kahan dhyaan diya tha
uske kamre ki khiDki se ek laDkon vala haustal dikhta hai
do maina aur ek kabutar roz uski khiDki par aate hain
ajkal wo jab bhi haustal lautti hai
ek baat ghaur karti hai
jin laDakiyon ke premi hain
unki khiDakiyon par shishe rakhe hote hain khali udaas se
aur jinka brekap ho chuka hota hai
unki khiDakiyon pe wo khud hoti hain
shishon ki tarah
kavita kahin bhaag jana chahti hai
lekin kahan
kiske saath
uske kanon mein aalok ki thartharati hui avaz gunjti hai
laDki bhagti hai
to kya zaruri hai uske saath
koi laDka bhi bhaga ho
laDki bhagti hai darshkon se bhare jagar magar steDiyam men
kavita baar baar sochti hai
ab is umr men
kya wo steDiyam mein bhaag bhi sakti hai
uske bhagne ka intzaar kar rahe uske apne log
kya vakii chhupayenge uska shisha uska abnus uski saat palon vali naav
uske dupatte ke jhutpute mein jise wo almari mein kahin chhoD aai hai
kya uske paas koi umr bachi hai
tees ki ho gai kavita
sochti hai
kahan hoga wo laDka jo use kahin bhaga le jaye
jiska intzaar har samandar ke darvaze par khaDi wo kar rahi hai.

स्रोत :
रचनाकार : अरमान आनंद
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.