माँ का नाम
सहवाजपुरवाली है
मँझली काकी का भद्रेश्वरवाली
छोटकी चाची को चाचा
बेलावाली के नाम से पुकारते हैं
मैंने पूछा तो बताया कि
मेरी दादी का नाम भरफोड़ीवाली था
शुरू-शुरू में पिता ने माँ को
उनके नाम ही से पुकारा था
लेकिन पिता पुकारते थे माँ को
ठहर पूरा आँगन जाता था
असहज होकर पिता को
तब माँ का नाम भूल जाना पड़ा
तभी लौट पाई सहजता
और तभी आँगन ने ठिठकना बंद किया
कुरेदने पर पता चलता है
कि माँ काकी चाची
और दादी के पास
अपना एक सुंदर-सा नाम है
जैसे उषा, मनोरमा
सरिता और तुलकनामा देवी
जिसकी गूँज नैहर में क़दम रखते ही
उनके कानों में सुनाई देने लगती हैं
लेकिन ससुराल की ओर निकलने से पहले
इन्हें अपने-अपने नामों को
वहीं कहीं रख देना पड़ता है
यहाँ परिचय के लिए
समूचे गाँव को
ये साथ लिए चलती हैं।
man ka nam
sahwajapurwali hai
manjhali kaki ka bhadreshwarwali
chhotki chachi ko chacha
belawali ke nam se pukarte hain
mainne puchha to bataya ki
meri dadi ka nam bharphoDiwali tha
shuru shuru mein pita ne man ko
unke nam hi se pukara tha
lekin pita pukarte the man ko
thahar pura angan jata tha
ashaj hokar pita ko
tab man ka nam bhool jana paDa
tabhi laut pai sahajta
aur tabhi angan ne thithakna band kiya
kuredne par pata chalta hai
ki man kaki chachi
aur dadi ke pas
apna ek sundar sa nam hai
jaise usha, manorama
sarita aur tulaknama dewi
jiski goonj naihar mein qadam rakhte hi
unke kanon mein sunai dene lagti hain
lekin sasural ki or nikalne se pahle
inhen apne apne namon ko
wahin kahin rakh dena paDta hai
yahan parichai ke liye
samuche ganw ko
ye sath liye chalti hain
man ka nam
sahwajapurwali hai
manjhali kaki ka bhadreshwarwali
chhotki chachi ko chacha
belawali ke nam se pukarte hain
mainne puchha to bataya ki
meri dadi ka nam bharphoDiwali tha
shuru shuru mein pita ne man ko
unke nam hi se pukara tha
lekin pita pukarte the man ko
thahar pura angan jata tha
ashaj hokar pita ko
tab man ka nam bhool jana paDa
tabhi laut pai sahajta
aur tabhi angan ne thithakna band kiya
kuredne par pata chalta hai
ki man kaki chachi
aur dadi ke pas
apna ek sundar sa nam hai
jaise usha, manorama
sarita aur tulaknama dewi
jiski goonj naihar mein qadam rakhte hi
unke kanon mein sunai dene lagti hain
lekin sasural ki or nikalne se pahle
inhen apne apne namon ko
wahin kahin rakh dena paDta hai
yahan parichai ke liye
samuche ganw ko
ye sath liye chalti hain
स्रोत :
रचनाकार : मिथिलेश कुमार राय
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.