मौसम  का  यह  बदलाव  
मुझे  चकित  करता  है  
बसंत  के  नव  आगमन  की  मुद्रा  
पतझड़  का  आक्रोश  
मौसम  का  यह  भरा-पूरा  क़दम  
आमूलचूल  परिवर्तन  की  आकांक्षा  रखे  यह  मौसम।  
किसी  ख़ास  दिशा  में  
किसी  स्पष्ट  उद्देश्य  के  साथ  
किसी  सार्थक  यात्रा  में  बढ़ता  मौसम  
मुझे  सचमुच  उत्सवित  करता  है  
ऊर्जस्वित  करता  है  
मौसम  का  यह  बदलाव  
इसका  यह  तेवर,  यह  ताव।  
यह  तो  मौसम  है  
जो  नए  ढंग  से  अब  उतर  रहा  है  
मेरे-तुम्हारे  बीच  
हर  जगह  फैल  रहा  है  
यही  मौसम  इतिहास  को  करेगा  नंगा  
वर्तमान  की  
अनैतिक  नक़ाबी  मुद्रा  को  अस्तव्यस्त  
और  हर  जगह  फैला  देगा  
क्रांति  के  उत्स।  
मुझे  आश्वस्त  करते  हैं  ये  मौसम  
इस  मौसम  के  बिगड़े  तेवर  और  ताव  
सारी  शक्ति  को  अपने  भीतर  
आत्मसात  किए  
अब  नहीं  रुकेगा  कहीं  भी  
संभव  नहीं  है  इसका  ठहराव  
यही  मौसम  करेगा  परिवर्तन  
झूठे  जनतंत्र  को  करेगा  नंगा  
करेगा  रूढिभंजन  
करेगा  यही  मौसम  
अपनी  सारी  ऊर्जा  के  साथ  
जन-उत्सव।  
                mausam  ka  ye  badlav  
mujhe  chakit  karta  hai.  
basant  ke  nav  agaman  ki  mudra  
patjhaD  ka  akrosh  
mausam  ka  ye  bhara  pura  qadam  
amulchul  parivartan  ki  akanksha  rakhe  ka  mausam.  
kisi  khaas  disha  men  
kisi  aspasht  uddeshy  ke  saath  
kisi  sarthak  yatra  mein  baDhta  mausam  
mujhe  sachmuch  utsvit  karta  hai  
urjasvit  karta  hai  
mausam  ka  ye  badlav  
iske  ye  tevar,  ye  taav.  
ye  to  mausam  hai  
jo  nae  Dhang  se  ab  utar  raha  hai  
mere  tumhare  beech  
har  jagah  phail  raha  hai  
yahi  mausam  itihas  ko  karega  nanga  
vartaman  ki  
anaitik  nakabi  mudra  ko  astavyast  
aur  har  jagah  phaila  dega  
kranti  ke  uts.  
mujhe  ashvast  karte  hain,  ye  mausam  
is  mausam  ke  bigDe  tevar  aur  taav  
sari  shakti  ko  apne  bhitar  
atmasat  kiye  
ab  nahin  rukega  kahin  bhi  
sambhav  nahin  hai  iska  thahrav  
yahi  mausam  karega  parivartan  
jhuthe  jantantr  ko  karega  nanga  
karega  ruDhibhanjan  
karega  yahi  mausam  
apni  sari  urja  ke  saath  
jan  utsav.  
mausam  ka  ye  badlav  
mujhe  chakit  karta  hai.  
basant  ke  nav  agaman  ki  mudra  
patjhaD  ka  akrosh  
mausam  ka  ye  bhara  pura  qadam  
amulchul  parivartan  ki  akanksha  rakhe  ka  mausam.  
kisi  khaas  disha  men  
kisi  aspasht  uddeshy  ke  saath  
kisi  sarthak  yatra  mein  baDhta  mausam  
mujhe  sachmuch  utsvit  karta  hai  
urjasvit  karta  hai  
mausam  ka  ye  badlav  
iske  ye  tevar,  ye  taav.  
ye  to  mausam  hai  
jo  nae  Dhang  se  ab  utar  raha  hai  
mere  tumhare  beech  
har  jagah  phail  raha  hai  
yahi  mausam  itihas  ko  karega  nanga  
vartaman  ki  
anaitik  nakabi  mudra  ko  astavyast  
aur  har  jagah  phaila  dega  
kranti  ke  uts.  
mujhe  ashvast  karte  hain,  ye  mausam  
is  mausam  ke  bigDe  tevar  aur  taav  
sari  shakti  ko  apne  bhitar  
atmasat  kiye  
ab  nahin  rukega  kahin  bhi  
sambhav  nahin  hai  iska  thahrav  
yahi  mausam  karega  parivartan  
jhuthe  jantantr  ko  karega  nanga  
karega  ruDhibhanjan  
karega  yahi  mausam  
apni  sari  urja  ke  saath  
jan  utsav.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : मैथिली कविताएँ (पृष्ठ 54)संपादक  : ज्ञानरंजन, कमलाप्रसाद रचनाकार  : केदार कानन 
                             प्रकाशन  : पहल प्रकाशन
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.