मुझे एक सिक्के की तरह उछालो
मैं चित और पट
दोनों स्थितियों में एक साथ गिर सकती हूँ
मैं गिर सकती हूँ बेआवाज़
मैं बिना किसी सुनवाई के
लौट जाने वाली फ़रियाद को
दे आऊँगी अपना कंधा
उन भटके हुए लोगों में से नहीं हूँ
जो लौट आएँगे शाम तक घर
मुझसे कहीं जाना ही नहीं हो सका
और मैंने ख़ुद को खो दिया
एक जुगनू से पूछो मेरा पता
वह सारी रात अँधेरे में मुझे ढूँढ़ने निकलता है
और रोशनी की चिट्ठियाँ बाँटकर लौट आता है
एक ख़ाली टिन के पिचके हुए डिब्बे की तरह
मुझे फ़ुटपाथ पर रख दो
मैं लोगों के पदचाप गिनती रहूँगी देर तक
सवा नौ से पहले निकल गई क़स्बे की आख़िरी बस
शहर से हड्डियों का पिंजर लिए तड़के पहुँचती है
मैं पूछती हूँ
इसका मतलब क्या है
मैं पूछती हूँ
उसका मतलब क्या है
मैं पूछती हूँ
इस सारे ड्रामे का मतलब क्या है
मेरी अँतड़ियों को पाजेब की तरह पैर में पहनो
खाल को सुखा दो धूप में
मुझे मेढक की तरह बनी-बनाई दुनिया में
बेमतलब कूदने का शौक़ नहीं है
mujhe ek sikke ki tarah uchhalo
main chit aur pat
donon sthitiyon mein ek sath gir sakti hoon
main gir sakti hoon beawaz
main bina kisi sunwai ke
laut jane wali fariyad ko
de aungi apna kandha
un bhatke hue logon mein se nahin hoon
jo laut ayenge sham tak ghar
mujhse kahin jana hi nahin ho saka
aur mainne khu ko kho diya
ek jugnu se puchho mera pata
wo sari raat andhere mein mujhe DhunDhane nikalta hai
aur roshni ki chitthiyan bantakar laut aata hai
ek khali tin ke pichke hue Dibbe ki tarah
mujhe footpath par rakh do
main logon ke padchap ginti rahungi der tak
sawa nau se pahle nikal gai qasbe ki akhiri bus
shahr se haDDiyon ka pinjar liye taDke pahunchti hai
main puchhti hoon
iska matlab kya hai
main puchhti hoon
uska matlab kya hai
main puchhti hoon
is sare Drame ka matlab kya hai
meri antDiyon ko pajeb ki tarah pair mein pahno
khaal ko sukha do dhoop mein
mujhe meDhak ki tarah bani banai duniya mein
bematlab kudne ka shauq nahin hai
mujhe ek sikke ki tarah uchhalo
main chit aur pat
donon sthitiyon mein ek sath gir sakti hoon
main gir sakti hoon beawaz
main bina kisi sunwai ke
laut jane wali fariyad ko
de aungi apna kandha
un bhatke hue logon mein se nahin hoon
jo laut ayenge sham tak ghar
mujhse kahin jana hi nahin ho saka
aur mainne khu ko kho diya
ek jugnu se puchho mera pata
wo sari raat andhere mein mujhe DhunDhane nikalta hai
aur roshni ki chitthiyan bantakar laut aata hai
ek khali tin ke pichke hue Dibbe ki tarah
mujhe footpath par rakh do
main logon ke padchap ginti rahungi der tak
sawa nau se pahle nikal gai qasbe ki akhiri bus
shahr se haDDiyon ka pinjar liye taDke pahunchti hai
main puchhti hoon
iska matlab kya hai
main puchhti hoon
uska matlab kya hai
main puchhti hoon
is sare Drame ka matlab kya hai
meri antDiyon ko pajeb ki tarah pair mein pahno
khaal ko sukha do dhoop mein
mujhe meDhak ki tarah bani banai duniya mein
bematlab kudne ka shauq nahin hai
स्रोत :
रचनाकार : प्रज्ञा सिंह
प्रकाशन : सदानीरा वेब पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.