मैं कोई खेत हूँ...
मैं कोई युद्ध भूमि हूँ
मैं कोई सीमा रेखा हूँ
मैं कोई ज़मीन हूँ
मैं कोई पुश्तैनी जायदाद हूँ
कि मुझे चीरा जाए
फाड़ा जाए, लकीर खींचकर
तेरा मेरा किया जाए
पासे फैंककर मेरा भविष्य निर्धारित किया जाए
मेरे ही जन्मने से धरा पर
अजन्मे से बुद्धि-विवेकहीन
भीड़ बन जुटे रहे
लक्ष्मण रेखा खींचते
सीमा रेखा बनाते
पासे पर दाँव लगाते
हे वीर पुरुष
मेरी ही गलती थी कि
तुम्हे जन्म देते वक्त बल के संग जो वीर्य भी तुम्हें सौंपा था
उसे जल बना क्यों न दिया!!
ग़लत निगाह उठते ही तुम्हारी पुष्ट भुजाएँ
लिथड़ कर अवश हो जातीं और
वीर्य का नाचन
ख़ून बन तुम्हारी ही देह से झरे
और देह नारी की अपने नाख़ूनों में इतना बल भर ले कि
तुम्हारी देह से उस अंग को नोच ले
चील-कौओं को खिलाने के लिए
हे नारी तुम उनकी देवी नहीं
ख़ुद की देवी बनो
तुम पुरुषों को जन्म देना ही निरस्त कर दो
तुम बाँझ बन जाओ
तुम बाँझ बन जाओ
तुम यक़ीनन बाँझ बन जाओ...!!
main koi khet hoon. . .
main koi yuddh bhumi hoon
main koi sima rekha hoon
main koi zamin hoon
main koi pushtaini jayadad hoon
ki mujhe chira jaye
phaDa jaye, lakir khinchkar
tera mera kiya jaye
pase phainkkar mera bhavishya nirdharit kiya jaye
mere hi janmne se dhara par
ajanme se buddhi vivekhin
bheeD ban jute rahe
lakshman rekha khinchte
sima rekha banate
pase par daanv lagate
he veer purush
meri hi galti thi ki
tumhe janm dete vakt bal ke sang jo virya bhi tumhein saumpa tha
use jal bana kyon na diya!!
ghalat nigah uthte hi tumhari pusht bhujayen
lithaD kar avash ho jatin aur
virya ka nachan
khoon ban tumhari hi deh se jhare
aur deh nari ki apne nakhunon mein itna bal bhar le ki
tumhari deh se us ang ko noch le
cheel kauon ko khilane ke liye
he nari tum unki devi nahin
khud ki devi bano
tum purushon ko janm dena hi nirast kar do
tum baanjh ban jao
tum baanjh ban jao
tum yaqinan baanjh ban jao. . . !!
main koi khet hoon. . .
main koi yuddh bhumi hoon
main koi sima rekha hoon
main koi zamin hoon
main koi pushtaini jayadad hoon
ki mujhe chira jaye
phaDa jaye, lakir khinchkar
tera mera kiya jaye
pase phainkkar mera bhavishya nirdharit kiya jaye
mere hi janmne se dhara par
ajanme se buddhi vivekhin
bheeD ban jute rahe
lakshman rekha khinchte
sima rekha banate
pase par daanv lagate
he veer purush
meri hi galti thi ki
tumhe janm dete vakt bal ke sang jo virya bhi tumhein saumpa tha
use jal bana kyon na diya!!
ghalat nigah uthte hi tumhari pusht bhujayen
lithaD kar avash ho jatin aur
virya ka nachan
khoon ban tumhari hi deh se jhare
aur deh nari ki apne nakhunon mein itna bal bhar le ki
tumhari deh se us ang ko noch le
cheel kauon ko khilane ke liye
he nari tum unki devi nahin
khud ki devi bano
tum purushon ko janm dena hi nirast kar do
tum baanjh ban jao
tum baanjh ban jao
tum yaqinan baanjh ban jao. . . !!
स्रोत :
रचनाकार : मीता दास
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.