गेरू से बनाओगी तुम फिर
इस साल भी
घर की किसी दीवार पर ढेर-ढेर फूल
और लिखोगी मेरा नाम
चिंता करोगी
कि कहाँ तक जाएँगी शुभकामनाएँ
हज़ारों वर्गमील के जंगल में
कहाँ-कहाँ भटक रहा होऊँगा मैं
एक ख़ानाबदोश शब्द-सा गूँजता हुआ
शब्द-सा गूँजता हुआ
सारी पृथ्वी जिसका घर है
चिंता करोगी
कब तक तुम्हारे पास लौट पाऊँगा मैं
भाटे के जल-सा तुम्हारे बरामदे पर
मैं महसूस करता हूँ
तुलसी चबूतरे पर जलाए तुम्हारे दिए
अपनी आँखों में
जिनमें डालते हैं अनेक-अनेक शहर
अनेक-अनेक बार धूल
थामे-थामे सूरज का हाथ
थामे हुए धूप का हाथ
पशम की तरह मुलायम उजालों से भरा हुआ
मैं आऊँगा चोटों के निशान पहने कभी
geru se banaogi tum phir
is sal bhi
ghar ki kisi diwar par Dher Dher phool
aur likhogi mera nam
chinta karogi
ki kahan tak jayengi shubhkamnayen
hazaron wargmil ke jangal mein
kahan kahan bhatak raha hounga main
ek khanabadosh shabd sa gunjta hua
shabd sa gunjta hua
sari prithwi jiska ghar hai
chinta karogi
kab tak tumhare pas laut paunga main
bhate ke jal sa tumhare baramde par
main mahsus karta hoon
tulsi chabutre par jalaye tumhare diye
apni ankhon mein
jinmen Dalte hain anek anek shahr
anek anek bar dhool
thame thame suraj ka hath
thame hue dhoop ka hath
pasham ki tarah mulayam ujalon se bhara hua
main aunga choton ke nishan pahne kabhi
geru se banaogi tum phir
is sal bhi
ghar ki kisi diwar par Dher Dher phool
aur likhogi mera nam
chinta karogi
ki kahan tak jayengi shubhkamnayen
hazaron wargmil ke jangal mein
kahan kahan bhatak raha hounga main
ek khanabadosh shabd sa gunjta hua
shabd sa gunjta hua
sari prithwi jiska ghar hai
chinta karogi
kab tak tumhare pas laut paunga main
bhate ke jal sa tumhare baramde par
main mahsus karta hoon
tulsi chabutre par jalaye tumhare diye
apni ankhon mein
jinmen Dalte hain anek anek shahr
anek anek bar dhool
thame thame suraj ka hath
thame hue dhoop ka hath
pasham ki tarah mulayam ujalon se bhara hua
main aunga choton ke nishan pahne kabhi
स्रोत :
रचनाकार : पंकज सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.