कुछ सुना तुमने
प्यार की हवाओं ने अब रुख़ बदल लिया है
स्नेह की नदी अब अपने चतुष्कोणीय प्रवाह के साथ
हमारी ओर मुड़ चली है
खेतों में प्यार की फसल लहलहा रही है
कुछ सुना तुमने
ज़मीन की तासीर बदल गई है
अब कुछ भी बोओ फसल प्यार की ही उगेगी
स्नेह रक्तबीज बन गया है
अब से वृक्षों की क़िस्में नहीं होंगी
केवल स्नेह के बिरवे ही रोपे जाएँगे
किसी ने हवा-पानी सब में स्नेह घोल दिया है
राजहंस अब स्नेह की लहरों पर ही तैरेंगे
सोनपाखी प्यार में ही उड़ान भरेंगे
और प्यार ही गाया करेंगे
कुछ सुना तुमने
स्नेह की नदी ने मंदिर-मस्जिद-गुरुद्वारे को माँज दिया है
पंचनदों में स्नेह का उफान है गंगोत्री अब स्नेह की गंगोत्री है
और भारत है स्नेह का प्रायद्वीप
कुछ सुना तुमने
सारे अवरोधक बाँध तोड़ चुका है स्नेह
गाँव-गली घर-आँगन चौबारे स्नेह से पगे हैं
प्रेम का ज्वार वृक्ष की सबसे ऊँची फुनगी से होता हुआ
मस्जिद की मीनार और मंदिर के कलश को डुबो चुका है
बुजुर्गों की कहनूत है—
ऐसा ज्वार
पहले कभी नहीं देखा
ये हो क्या रहा है?
सब अचरज में हैं
वातावरण में बारूद की नहीं चंदन की महक है
लालिमा अब रक्त की नहीं गुलाल की है लाज की है
बंदूकें अब स्नेह की बौछार कर रही हैं
बच्चे पिचकारियों और बंदूकों में फ़र्क़ भूल गए हैं
कुछ सुना तुमने
स्नेह की भाषा यौवन पर है
विस्फारित नेत्र विश्वास नहीं करते
स्नेह से सराबोर सब सकते में हैं
स्नेह का वेगवान प्रवाह
तोड़ चुका है छंदों के बंधन
सारे कवि स्तब्ध हैं सुख की अतिशयता से
बह चली है त्रिवेणी
काव्य की स्नेह की सुख की
कुछ सुना तुमने
धरती से स्वर्ग तक सेतु बन गया है
अब मानव स्वर्ग का आकाँक्षी नहीं
देवताओं में मानुष जन्म की होड़ है
कुछ सुना तुमने
अब मैं युगदृष्टा हो गया हूँ
सामान्य जन नहीं, मसीहा हूँ स्नेह का।
kuch suna tumne
pyaar ki havaon ne ab rukh badal liya hai
sneh ki nadi ab apne chatushkoniy pravah ke saath
hamari or muD chali hai
kheton mein pyaar ki phasal lahlaha rahi hai
kuch suna tumne
zamin ki tasir badal gai hai
ab kuch bhi boo phasal pyaar ki hi ugegi
sneh raktabij ban gaya hai
ab se vrikshon ki qismen nahin hongi
keval sneh ke birve hi rope jayenge
kisi ne hava pani sab mein sneh ghol diya hai
rajhans ab sneh ki lahron par hi tairenge
sonpakhi pyaar mein hi uDaan bharenge
aur pyaar hi gaya karenge
kuch suna tumne
sneh ki nadi ne mandir masjid gurudvare ko maanj diya hai
panchandon mein sneh ka uphaan hai gangotri ab sneh ki gangotri hai
aur bharat hai sneh ka prayadvip
kuch suna tumne
sare avrodhak baandh toD chuka hai sneh
gaanv gali ghar angan chaubare sneh se page hain
prem ka jvaar vriksh ki sabse uunchi phungi se hota hua
masjid ki minar aur mandir ke kalash ko Dubo chuka hai
bujurgon ki kahnut hai—
aisa jvaar
pahle kabhi nahin dekha
ye ho kya raha hai?
sab achraj mein hain
vatavran mein barud ki nahin chandan ki mahak hai
lalima ab rakt ki nahin gulal ki hai laaj ki hai
banduken ab sneh ki bauchhar kar rahi hain
bachche pichkariyon aur bandukon mein farq bhool ge hain
kuch suna tumne
sneh ki bhasha yauvan par hai
vispharit netr vishvas nahin karte
sneh se sarabor sab sakte mein hain
sneh ka vegavan pravah
toD chuka hai chhandon ke bandhan
sare kavi stabdh hain sukh ki atishayta se
bah chali hai triveni
kavya ki sneh ki sukh ki
kuch suna tumne
dharti se svarg tak setu ban gaya hai
ab manav svarg ka akankshi nahin
devtaon mein manush janm ki hoD hai
kuch suna tumne
ab main yugdrishta ho gaya hoon
samanya jan nahin, masiha hoon sneh ka.
kuch suna tumne
pyaar ki havaon ne ab rukh badal liya hai
sneh ki nadi ab apne chatushkoniy pravah ke saath
hamari or muD chali hai
kheton mein pyaar ki phasal lahlaha rahi hai
kuch suna tumne
zamin ki tasir badal gai hai
ab kuch bhi boo phasal pyaar ki hi ugegi
sneh raktabij ban gaya hai
ab se vrikshon ki qismen nahin hongi
keval sneh ke birve hi rope jayenge
kisi ne hava pani sab mein sneh ghol diya hai
rajhans ab sneh ki lahron par hi tairenge
sonpakhi pyaar mein hi uDaan bharenge
aur pyaar hi gaya karenge
kuch suna tumne
sneh ki nadi ne mandir masjid gurudvare ko maanj diya hai
panchandon mein sneh ka uphaan hai gangotri ab sneh ki gangotri hai
aur bharat hai sneh ka prayadvip
kuch suna tumne
sare avrodhak baandh toD chuka hai sneh
gaanv gali ghar angan chaubare sneh se page hain
prem ka jvaar vriksh ki sabse uunchi phungi se hota hua
masjid ki minar aur mandir ke kalash ko Dubo chuka hai
bujurgon ki kahnut hai—
aisa jvaar
pahle kabhi nahin dekha
ye ho kya raha hai?
sab achraj mein hain
vatavran mein barud ki nahin chandan ki mahak hai
lalima ab rakt ki nahin gulal ki hai laaj ki hai
banduken ab sneh ki bauchhar kar rahi hain
bachche pichkariyon aur bandukon mein farq bhool ge hain
kuch suna tumne
sneh ki bhasha yauvan par hai
vispharit netr vishvas nahin karte
sneh se sarabor sab sakte mein hain
sneh ka vegavan pravah
toD chuka hai chhandon ke bandhan
sare kavi stabdh hain sukh ki atishayta se
bah chali hai triveni
kavya ki sneh ki sukh ki
kuch suna tumne
dharti se svarg tak setu ban gaya hai
ab manav svarg ka akankshi nahin
devtaon mein manush janm ki hoD hai
kuch suna tumne
ab main yugdrishta ho gaya hoon
samanya jan nahin, masiha hoon sneh ka.
स्रोत :
पुस्तक : दृष्टि-छाया प्रदेश का कवि (पृष्ठ 28)
रचनाकार : प्रियंकर पालीवाल
प्रकाशन : प्रतिश्रुति प्रकाशन
संस्करण : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.