कंक्रीट के जंगल में
कई झुटपुटे एकांत हैं
उन झरोखों से झाँकती हैं
झुर्रीदार आँखें
कबूतरों के अस्थायी घोंसलों में
कहीं गुम हो गई हैं
माँ की प्यारी सखियाँ
कभी-कभी खोजने लगती हैं
पापा के साथ आने वाली
दोस्तों के चेहरे में उनको
या कभी मेरे दोस्तों की माँओं में
खोजने लगती हैं पास-पड़ोस की
मुँहबोली चाची, मामी, काकी में
गुम हो गई अपनी सहेलियों को
जो थी नादानियों के दिनों की
उनकी सबसे अच्छी दोस्त
माँ टकटकी लगाए
झुटपुटों से राह तकती
झुर्रियाँ का दायरा बढ़ाती
अंतहीन प्रतीक्षा में है
स्मृतियाँ ख़ुद को बस दुहराती हैं
याद आती है
बस, नहीं आती हैं तो माँ की सहेलियाँ।
concrete ke jangal men
kai jhutpute ekaant hain
un jharokhon se jhankti hain
jhurridar ankhen
kabutaron ke asthayi ghonslon men
kahin gum ho gai hain
maan ki pyari sakhiyan
kabhi kabhi khojne lagti hain
papa ke saath aane vali
doston ke chehre mein unko
ya kabhi mere doston ki manon men
khojne lagti hain paas paDos ki
munhboli chachi, mami, kaki men
gum ho gai apni saheliyon ko
jo thi nadaniyon ke dinon ki
unki sabse achchhi dost
maan takatki lagaye
jhutputon se raah takti
jhurriyan ka dayara baDhati
anthin pratiksha mein hai
smritiyan khu ko bus duhrati hain
yaad aati hai
bus, nahin aati hain to maan ki saheliyan.
concrete ke jangal men
kai jhutpute ekaant hain
un jharokhon se jhankti hain
jhurridar ankhen
kabutaron ke asthayi ghonslon men
kahin gum ho gai hain
maan ki pyari sakhiyan
kabhi kabhi khojne lagti hain
papa ke saath aane vali
doston ke chehre mein unko
ya kabhi mere doston ki manon men
khojne lagti hain paas paDos ki
munhboli chachi, mami, kaki men
gum ho gai apni saheliyon ko
jo thi nadaniyon ke dinon ki
unki sabse achchhi dost
maan takatki lagaye
jhutputon se raah takti
jhurriyan ka dayara baDhati
anthin pratiksha mein hai
smritiyan khu ko bus duhrati hain
yaad aati hai
bus, nahin aati hain to maan ki saheliyan.
स्रोत :
रचनाकार : यतीश कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.