संतति जनने भर से
कोई स्त्री माँ नहीं बन जाती
संतति जनना
एक जैविक क्रिया है
जिसका जुड़ाव सिर्फ़ देह से है
देह की उर्वरता से
माँ बनना
मन की उर्वरता से जुड़ा है
त्याग ममता करुणा
और वात्सल्य भाव से
मन का भर जाना
है माँ बन जाना
देवकी का
यशोदा हो जाना
है माँ बन जाना
संतति को
उसके लक्ष्य तक पहुँचाने के लिए
सड़क बन जाना
पुल बन जाना
है माँ बन जाना
संतति के जीवन के
सब विष पीकर
अमृत से उसे सींच देना
है माँ बन जाना
अपना होना
अपनी संतति में खो देना
है माँ बन जाना
मिट्टी के लोंदे से
एक सुंदर मूरत
गढ़ देने की कला का
निपुण हो जाना
है माँ बन जाना।
santati janne bhar se
koi stri maan nahin ban jati
santati janna
ek jaivik kriya hai
jiska juDav sirf deh se hai
deh ki urvarta se
maan banna
man ki urvarta se juDa hai
tyaag mamta karuna
aur vatsalya bhaav se
man ka bhar jana
hai maan ban jana
devki ka
yashoda ho jana
hai maan ban jana
santati ko
uske lakshya tak pahunchane ke liye
saDak ban jana
pul ban jana
hai maan ban jana
santati ke jivan ke
sab vish pikar
amrit se use seench dena
hai maan ban jana
apna hona
apni santati mein kho dena
hai maan ban jana
mitti ke londe se
ek sundar murat
gaDh dene ki kala ka
nipun ho jana
hai maan ban jana.
santati janne bhar se
koi stri maan nahin ban jati
santati janna
ek jaivik kriya hai
jiska juDav sirf deh se hai
deh ki urvarta se
maan banna
man ki urvarta se juDa hai
tyaag mamta karuna
aur vatsalya bhaav se
man ka bhar jana
hai maan ban jana
devki ka
yashoda ho jana
hai maan ban jana
santati ko
uske lakshya tak pahunchane ke liye
saDak ban jana
pul ban jana
hai maan ban jana
santati ke jivan ke
sab vish pikar
amrit se use seench dena
hai maan ban jana
apna hona
apni santati mein kho dena
hai maan ban jana
mitti ke londe se
ek sundar murat
gaDh dene ki kala ka
nipun ho jana
hai maan ban jana.
स्रोत :
रचनाकार : राजीव कुमार तिवारी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.