प्रेम  इस  तरह  किया  जाए  
कि  प्रेम  शब्द  का  कभी  ज़िक्र  तक  न  हो  
चूमा  इस  तरह  जाए  
कि  होंठ  हमेशा  ग़फ़लत  में  रहें  
तुमने  चूमा  
या  मेरे  ही  निचले  होंठ  ने  औचक  ऊपरी  को  छू  लिया  
छुआ  इस  तरह  जाए  
कि  मीलों  दूर  तुम्हारी  त्वचा  पर  
हरे-हरे  सपने  उग  आएँ  
तुम्हारी  देह  के  छज्जे  के  नीचे  
मुँहअँधेरे  जलतरंग  बजाएँ  
रहा  इस  तरह  जाए  
कि  नींद  के  भीतर  एक  मुस्कान  
तुम्हारे  चेहरे  पर  रहे  
जब  तुम  आँख  खोलो,  वह  भेस  बदल  ले  
प्रेम  इस  तरह  किया  जाए  
कि  दुनिया  का  कारोबार  चलता  रहे  
किसी  को  ख़बर  तक  न  हो  कि  प्रेम  हो  गया  
ख़ुद  तुम्हें  भी  पता  न  चले  
किसी  को  सुनाना  अपने  प्रेम  की  कहानी  
तो  कोई  यक़ीन  तक  न  करे  
बचना  प्रेमकथाओं  का  किरदार  बनने  से  
वरना  सब  तुम्हारे  प्रेम  पर  तरस  खाएँगे  
                prem  is  tarah  kiya  jaye  
ki  prem  shabd  ka  kabhi  zikr  tak  na  ho  
chuma  is  tarah  jaye  
ki  honth  hamesha  ghaflat  mein  rahen  
tumne  chuma  
ya  mere  hi  nichle  honth  ne  auchak  upri  ko  chhu  liya  
chhua  is  tarah  jaye  
ki  milon  door  tumhari  twacha  par  
hare  hare  sapne  ug  ayen  
tumhari  deh  ke  chhajje  ke  niche  
munhandhere  jalatrang  bajayen  
raha  is  tarah  jaye  
ki  neend  ke  bhitar  ek  muskan  
tumhare  chehre  par  rahe  
jab  tum  ankh  kholo,  wo  bhes  badal  le  
prem  is  tarah  kiya  jaye  
ki  duniya  ka  karobar  chalta  rahe  
kisi  ko  khabar  tak  na  ho  ki  prem  ho  gaya  
khu  tumhein  bhi  pata  na  chale  
kisi  ko  sunana  apne  prem  ki  kahani  
to  koi  yaqin  tak  na  kare  
bachna  premakthaon  ka  kirdar  banne  se  
warna  sab  tumhare  prem  par  taras  khayenge  
prem  is  tarah  kiya  jaye  
ki  prem  shabd  ka  kabhi  zikr  tak  na  ho  
chuma  is  tarah  jaye  
ki  honth  hamesha  ghaflat  mein  rahen  
tumne  chuma  
ya  mere  hi  nichle  honth  ne  auchak  upri  ko  chhu  liya  
chhua  is  tarah  jaye  
ki  milon  door  tumhari  twacha  par  
hare  hare  sapne  ug  ayen  
tumhari  deh  ke  chhajje  ke  niche  
munhandhere  jalatrang  bajayen  
raha  is  tarah  jaye  
ki  neend  ke  bhitar  ek  muskan  
tumhare  chehre  par  rahe  
jab  tum  ankh  kholo,  wo  bhes  badal  le  
prem  is  tarah  kiya  jaye  
ki  duniya  ka  karobar  chalta  rahe  
kisi  ko  khabar  tak  na  ho  ki  prem  ho  gaya  
khu  tumhein  bhi  pata  na  chale  
kisi  ko  sunana  apne  prem  ki  kahani  
to  koi  yaqin  tak  na  kare  
bachna  premakthaon  ka  kirdar  banne  se  
warna  sab  tumhare  prem  par  taras  khayenge  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : गीत चतुर्वेदी 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.