लिखा केवल अनुवाद मौलिक मानकर
आँख खुली कोई और थामे था मेरा हाथ लिखवाता अपने शब्दों को
कोरे काग़ज़ बेहतर बने नहीं कविता का मक़सद
कहने का चुना रास्ता समझाना भी नहीं उसका मक़सद,
शब्द बता सकते हैं पहचान केवल किसी मौसम की
किसी ज़मीन कहीं दर-ओ-दीवार की
आत्मा की दरार में उगे दुख की
लिखा केवल एक अनुवाद है जो पढ़ा अब तक,
बेसब्र है पेड़ों परे छुपी छायाएँ कुछ कहने को
देर हो गई, पतझर भी सो चुका अपलक जागकर
घिसे शब्दों के रास्ते मैं गिरा हूँ कितनी बार समझने
समझाने की ज़िद में,
मुझे तो अब
मौन को लिखना है पहले मन को कोरा कर-करके
likha kewal anuwad maulik mankar
ankh khuli koi aur thame tha mera hath likhwata apne shabdon ko
kore kaghaz behtar bane nahin kawita ka maqsad
kahne ka chuna rasta samjhana bhi nahin uska maqsad,
shabd bata sakte hain pahchan kewal kisi mausam ki
kisi zamin kahin dar o diwar ki
atma ki darar mein uge dukh ki
likha kewal ek anuwad hai jo paDha ab tak,
besabr hai peDon pare chhupi chhayayen kuch kahne ko
der ho gai, patjhar bhi so chuka aplak jagkar
ghise shabdon ke raste main gira hoon kitni bar samajhne
samjhane ki zid mein,
mujhe to ab
maun ko likhna hai pahle man ko kora kar karke

स्रोत :
रचनाकार : मोहन राणा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.