त्यौहार में हार जाने वाले बच्चों की तरफ़ से
यह ख़त तुम्हारे नाम है मेरे गाँव, मेरे घर... बड़का घर।
मैं इस त्यौहार
शहर के किसी किनारे पर बैठकर
तुम्हारे सपने देख रहा
मैं बार-बार तुमको याद कर रहा
मुझे तुमसे मिलना है मेरे घर।
अभी के अभी मिलना है।
मेरे गाँव,
तुम तो शहर भी नहीं आ सकते
शहर ही आ रहा अब तो तुम्हारे पास।
सुबह दस बजे की आख़िरी जीप के पेंग में
लोहे की खट्टी गंध के साथ
जब से शहर आया हूँ,
रोज़ सपने में कभी रेलगाड़ी आ जाती है,
तो कभी सड़क के मोड़ वाला जनरल स्टोर,
जहाँ के पटाख़े हाथ में जला लेता था।
यहाँ शहर में एक नदी है
लेकिन मछलियाँ नही हैं मेरे गाँव।
यहाँ शहर में बैठने की जगह है
लेकिन पैर पसारने का सुकून नहीं है।
यहाँ शहर में कभी भी कहीं भी जा सकते हैं
लेकिन यह शहर कलमुहाँ,
तुम जैसे हाथ पकड़ कर नहीं ले जाता बाज़ार में।
मुझे यहाँ तुम्हारी याद आती है मेरे घर
त्यौहारों में तो रो देने का मन करता है।
सब याद आने लगता है,
कैसे हर बार डाँट पर
तुमने मुझे रोने के लिए सीढ़ियाँ खोल दीं।
मुझे छुपने के लिए दीवारों में अलमारी गढ़ दी।
और तो और मेरी नवीं क्लास के प्यार में,
मेरे ग्रीटिंग्स तक तुमने ऐसे छुपा लिए अपनी छत की गोद में,
जैसे तुम्हारा अपना अनचाहा गर्भ हो।
मुझे इसलिए बस इसलिए तुम्हारे पास आना है
मेरे घर, मेरे गाँव,
कि मैं जो तुम्हारे छत से उन उड़ती जहाज़ों के
जलती-बुझती बत्तियाँ गिन लेता था,
उन जहाज़ो का ठिकाना जान गया हूँ
वो ठीक इसी शहर में आकर उतरती हैं।
मेरे घर,
बस यह त्यौहार तुम मुझ बिन मना लो,
अगले त्यौहार
जहाज़ से आऊँगा।
ठीक तुम्हारे बगल से जहाज़ लाकर धप्पा बोल जाऊँगा
तुम डर जाओगे और मैं वैसे ही हँस दूँगा,
जैसे बिन बात हँसते-हँसते तुम्हारी फ़र्श पर गिरकर
मेरे दाँत टूट गए थे।
मेरे घर,
आज न मालूम क्यों तुम्हारी बहुत याद आ रही
त्योहार में हार जाने वाले बच्चों की तरफ़ से
यह ख़त तुम्हारे नाम है मेरे गाँव मेरे घर... बड़का घर।
tyauhar mein haar jane wale bachchon ki taraf se
ye khat tumhare nam hai mere ganw, mere ghar baDaka ghar
main is tyauhar
shahr ke kisi kinare par baithkar
tumhare sapne dekh raha
main bar bar tumko yaad kar raha
mujhe tumse milna hai mere ghar
abhi ke abhi milna hai
mere ganw,
tum to shahr bhi nahin aa sakte
shahr hi aa raha ab to tumhare pas
subah das baje ki akhiri jeep ke peng mein
lohe ki khatti gandh ke sath
jab se shahr aaya hoon,
roz sapne mein kabhi relgaDi aa jati hai,
to kabhi saDak ke moD wala general store,
jahan ke patakhe hath mein jala leta tha
yahan shahr mein ek nadi hai
lekin machhliyan nahi hain mere ganw
yahan shahr mein baithne ki jagah hai
lekin pair pasarne ka sukun nahin hai
yahan shahr mein kabhi bhi kahin bhi ja sakte hain
lekin ye shahr kalamuhan,
tum jaise hath pakaD kar nahin le jata bazar mein
mujhe yahan tumhari yaad aati hai mere ghar
tyauharon mein to ro dene ka man karta hai
sab yaad aane lagta hai,
kaise har bar Dant par
tumne mujhe rone ke liye siDhiyan khol deen
mujhe chhupne ke liye diwaron mein almari gaDh di
aur to aur meri nawin class ke pyar mein,
mere gritings tak tumne aise chhupa liye apni chhat ki god mein,
jaise tumhara apna anchaha garbh ho
mujhe isliye bus isliye tumhare pas aana hai
mere ghar, mere ganw,
ki main jo tumhare chhat se un uDti jahazon ke
jalti bujhti battiyan gin leta tha,
un jahazo ka thikana jaan gaya hoon
wo theek isi shahr mein aakar utarti hain
mere ghar,
bus ye tyauhar tum mujh bin mana lo,
agle tyauhar
jahaz se aunga
theek tumhare bagal se jahaz lakar dhappa bol jaunga
tum Dar jaoge aur main waise hi hans dunga,
jaise bin baat hanste hanste tumhari farsh par girkar
mere dant toot gaye the
mere ghar,
aj na malum kyon tumhari bahut yaad aa rahi
tyohar mein haar jane wale bachchon ki taraf se
ye khat tumhare nam hai mere ganw mere ghar baDaka ghar

स्रोत :
रचनाकार : शाश्वत
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.