नेता आकर्षित करते हैं
जब वे चूम लेना चाहते हैं सारी चौखटें
लोगों की बातें सुनने के लिए
जाते हैं उनके दरवाज़े पर
उनकी ज़िम्मेदारियाँ सबसे बड़ी होती हैं
उनकी रैलियों और वायदों की तरह
जब वे संसद और विधानसभाओं में चीख़ते हैं
जनता और देश की बदहाली के लिए
करते हैं अनशन और देशबंदी
ले आते हैं भूखे देश को सड़कों पर
पुलिस की लाठी और गोली खाने के लिए
फिर ग़ायब हो जाते हैं
बड़ी-बड़ी कारों से
गुप्त सुरंगों में
निर्लज्जता की बात कितने ही मधुर ढंग से सुनाई जाए
उससे घृणा ही उपजती है
उम्मीद जगाते हैं समाजसेवी और पत्रकार
जब वे दलित बस्तियों में साफ़-सफ़ाई और शौच
रेडलाइट एरिया में वेश्याओं की जीवन-दशा
जानने के लिए घुस जाते हैं
गंदगी और बदबू से भरी सँकरी बस्तियों में
रिपोर्टें बनाकर सेमिनार हॉल में
करते हैं ज्ञान वर्द्धन
टीवी की बहसों में सूट-बूट पहनकर
कोसते हैं समाज और सरकार को
फिर डूब जाते हैं
प्रेस क्लब और कॉफ़ी हाउस के
प्यालों और जामों में
गंदगी की स्मृतियों से निज़ात पाने के लिए
काम की तलाश में
सड़कों और दफ़्तरों की ख़ाक छानते लोग
उजले भविष्य की तस्वीर के
निगेटिव की तरह लगते है
धूल में सने उनके पुराने जूते
जिन पर वे रोज़ सुबह पॉलिश करते हैं
उनकी देह की तरह लगते हैं
jab ve choom lena chahte hain sari chaukhten
logon ki baten sunne ke liye
jate hain unke darvaze par
unki zimmedariyan sabse baDi hoti hain
unki railiyon aur vaydon ki tarah
jab ve sansad aur vidhanasbhaon mein chikhte hain
janta aur desh ki badhali ke liye
karte hain anshan aur deshbandi
le aate hain bhukhe desh ko saDkon par
police ki lathi aur goli khane ke liye
phir ghayab ho jate hain
baDi baDi karon se
gupt surangon mein
nirlajjata ki baat kitne hi madhur Dhang se sunai jaye
usse ghrinaa hi upajti hai
ummid jagate hain samajasevi aur patrakar
jab ve dalit bastiyon mein saaf safai aur shaunch
reDlait area mein veshyaon ki jivan dasha
janne ke liye ghus jate hain
gandgi aur badbu se bhari sankari bastiyon men
riporten banakar seminar hall mein
karte hain gyaan varddhan
tivi ki bahson mein soot boot pahankar
koste hain samaj aur sarkar ko
phir Doob jate hain
press club aur coffe house ke
pyalon aur jamon men
gandgi ki smritiyon se nizat pane ke liye
kaam ki talash mein
saDkon aur daftaron ki ख़aak chhante log
ujle bhavishya ki tasvir ke
negative ki tarah lagte hai
dhool mein sane unke purane jute
jin par ve roz subah polish karte hain
unki deh ki tarah lagte hain
jab ve choom lena chahte hain sari chaukhten
logon ki baten sunne ke liye
jate hain unke darvaze par
unki zimmedariyan sabse baDi hoti hain
unki railiyon aur vaydon ki tarah
jab ve sansad aur vidhanasbhaon mein chikhte hain
janta aur desh ki badhali ke liye
karte hain anshan aur deshbandi
le aate hain bhukhe desh ko saDkon par
police ki lathi aur goli khane ke liye
phir ghayab ho jate hain
baDi baDi karon se
gupt surangon mein
nirlajjata ki baat kitne hi madhur Dhang se sunai jaye
usse ghrinaa hi upajti hai
ummid jagate hain samajasevi aur patrakar
jab ve dalit bastiyon mein saaf safai aur shaunch
reDlait area mein veshyaon ki jivan dasha
janne ke liye ghus jate hain
gandgi aur badbu se bhari sankari bastiyon men
riporten banakar seminar hall mein
karte hain gyaan varddhan
tivi ki bahson mein soot boot pahankar
koste hain samaj aur sarkar ko
phir Doob jate hain
press club aur coffe house ke
pyalon aur jamon men
gandgi ki smritiyon se nizat pane ke liye
kaam ki talash mein
saDkon aur daftaron ki ख़aak chhante log
ujle bhavishya ki tasvir ke
negative ki tarah lagte hai
dhool mein sane unke purane jute
jin par ve roz subah polish karte hain
unki deh ki tarah lagte hain
स्रोत :
रचनाकार : सुशीलनाथ कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.