मैंने कबूतरों से सब कुछ छीन लिया
उनका जंगल
उनके पेड़
उनके घोंसले
उनके वंशज
यह आसमान जहाँ खड़ी होकर
आँजती हूँ आँख
टाँकती हूँ आकाश-कुसुम बालों में
तोलती हूँ अपने पंख
यह पंद्रहवाँ माला मेरा नहीं उनका था
फिर भी बालकनी में रखने नहीं देती उन्हें अंडे
मैंने बाघों से शौर्य छीना
छीना पुरुषार्थ
लूट ली वह नदी
जहाँ घात लगाते वे तृष्णा पर
तब पीते थे कलेजे तक पानी
उन्हें नरभक्षी कहा
और भूसा भर दिया उनकी खाल में
वे क्या कहते होंगे मुझे अपनी बाघ-भाषा में
धरती से सब छीन मैंने तुम्हें दे दिया
कबूतर के वात्सल्य से अधिक दुलराया
बाघ के अस्तित्व से अधिक संरक्षित किया
प्रेम के इस बेतरतीब जंगल को सींचने के लिए
एक नदी चुराई, बाँध रखी आँखों में
फिर भी नहीं बचा पाई कुछ कभी हमारे बीच
क्या सोचती होगी पृथ्वी
औरत के व्यर्थ गए अपराधों के बारे में।
mainne kabutron se sab kuch chheen liya
unka jangal
unke peD
unke ghonsle
unke wanshaj
ye asman jahan khaDi hokar
anjati hoon ankh
tankti hoon akash kusum balon mein
tolti hoon apne pankh
ye pandrahwan mala mera nahin unka tha
phir bhi balakni mein rakhne nahin deti unhen anDe
mainne baghon se shaury chhina
chhina purusharth
loot li wo nadi
jahan ghat lagate we tirishna par
tab pite the kaleje tak pani
unhen narbhakshai kaha
aur bhusa bhar diya unki khaal mein
we kya kahte honge mujhe apni bagh bhasha mein
dharti se sab chheen mainne tumhein de diya
kabutar ke watsaly se adhik dulraya
bagh ke astitw se adhik sanrakshit kiya
prem ke is betartib jangal ko sinchne ke liye
ek nadi churai, bandh rakhi ankhon mein
phir bhi nahin bacha pai kuch kabhi hamare beech
kya sochti hogi prithwi
aurat ke byarth gaye apradhon ke bare mein
mainne kabutron se sab kuch chheen liya
unka jangal
unke peD
unke ghonsle
unke wanshaj
ye asman jahan khaDi hokar
anjati hoon ankh
tankti hoon akash kusum balon mein
tolti hoon apne pankh
ye pandrahwan mala mera nahin unka tha
phir bhi balakni mein rakhne nahin deti unhen anDe
mainne baghon se shaury chhina
chhina purusharth
loot li wo nadi
jahan ghat lagate we tirishna par
tab pite the kaleje tak pani
unhen narbhakshai kaha
aur bhusa bhar diya unki khaal mein
we kya kahte honge mujhe apni bagh bhasha mein
dharti se sab chheen mainne tumhein de diya
kabutar ke watsaly se adhik dulraya
bagh ke astitw se adhik sanrakshit kiya
prem ke is betartib jangal ko sinchne ke liye
ek nadi churai, bandh rakhi ankhon mein
phir bhi nahin bacha pai kuch kabhi hamare beech
kya sochti hogi prithwi
aurat ke byarth gaye apradhon ke bare mein
स्रोत :
रचनाकार : अनुराधा सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.