पढ़ते हैं जितनी ही किताबें
उतने ही जीवन एक जीवन में
फैलते-गहराते हुए चले जाते हैं।
घर में जितनी किताबें घर में उतने ही घर
घर में उतने ही संसार वर्तुल बुलाते हैं
जाते हैं हम
फिर निकलते हैं बस्ती में
चलते हैं छोटी-सी गली में मगर
धरती का चक्कर लगाते हैं तेज़ी से और
फिंक जाते हैं दूर-दूर तारों के बीच में
जितना जो शून्य है उसमें
समाए चले जाते हैं तो भी
बच जाते हैं पढ़ने को
फिर नई किताब हम बढ़िया
एकांत में।
paDhte hain jitni hi kitaben
utne hi jiwan ek jiwan mein
phailte gahrate hue chale jate hain
ghar mein jitni kitaben ghar mein utne hi ghar
ghar mein utne hi sansar wartul bulate hain
jate hain hum
phir nikalte hain basti mein
chalte hain chhoti si gali mein magar
dharti ka chakkar lagate hain tezi se aur
phink jate hain door door taron ke beech mein
jitna jo shunya hai usmen
samaye chale jate hain to bhi
bach jate hain paDhne ko
phir nai kitab hum baDhiya
ekant mein
paDhte hain jitni hi kitaben
utne hi jiwan ek jiwan mein
phailte gahrate hue chale jate hain
ghar mein jitni kitaben ghar mein utne hi ghar
ghar mein utne hi sansar wartul bulate hain
jate hain hum
phir nikalte hain basti mein
chalte hain chhoti si gali mein magar
dharti ka chakkar lagate hain tezi se aur
phink jate hain door door taron ke beech mein
jitna jo shunya hai usmen
samaye chale jate hain to bhi
bach jate hain paDhne ko
phir nai kitab hum baDhiya
ekant mein
स्रोत :
पुस्तक : हर घर से ग़ायब (पृष्ठ 78)
रचनाकार : नवीन सागर
प्रकाशन : सूर्य प्रकाशन मंदिर
संस्करण : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.