क़ैद कर लो उन ख़्वाबों को
जो चुपके से हर रात
तुम्हारी नींद में आकर सो जाते हैं
जो लाते हैं तुम्हारे चेहरे पर
मंद-मंद मुस्कान
और मिटाते हैं
तुम्हारी दिन भर की थकान
अपने ख़्वाबों में तुम
अपनी मल्लिका होती हो
तुम्हारा होता है अपना रचना-संसार
सपनों में ही सोते-सोते
तुम कर आती हो अनंत समुद्र की यात्रा
पकड़ के वक़्त की उँगलियों को
पंखों में बसंत को बाँधकर
तुम नाप आती हो पृथ्वी और आकाश की दूरी
ख़्वाबों में ही सही तुम कुछ क्षण
अपने स्वजनों के साथ बैठकर
कुछ अपनी कह लेती हो
और कुछ उनकी सुन भी लेती हो
चल पड़ती हो कभी-कभी
तुम अपने बचपन की डगर पर
और कर लेती हो फिर से
अपने ज़िंदा होने का एहसास
ये ख़्वाब तुम्हारे
तुम्हें भर देते हैं नई ऊर्जा और
नए उत्साह से
सपनों में ही सही
तुम क्षण भर के लिए
विद्रोही हो जाती हो और
निकाल लेती हो शताब्दियों की भड़ास
सोचती हूँ
आँखें मुँदी रहें और चलता रहे
सपनों का यह संसार
qaid kar lo un khvabon ko
jo chupke se har raat
tumhari neend mein aakar so jate hain
jo late hain tumhare chehre par
mand mand muskan
aur mitate hain tumhari din bhar ki thakan
apne khvabon mein tum
apni mallika hoti ho
tumhara hota hai apna rachna sansar
sapnon mein hi sote sote
tum kar aati ho anant samudr ki yatra
pakaD ke vaqt ki ungliyon ko
pankhon mein basant ko bandhakar
tum naap aati ho prithvi aur akash ki duri
khvabon mein hi sahi tum kuch kshan
apne svajnon ke saath baithkar
kuch apni kah leti ho
aur kuch unki sun bhi leti ho
chal paDti ho kabhi kabhi
tum apne bachpan ki Dagar par
aur kar leti ho phir se
apne zinda hone ka ehsaas
ye khvab tumhare
tumhein bhar dete hain nai urja aur
nae utsaah se
sapnon mein hi sahi tum kshan bhar ke liye
vidrohi ho jati ho aur
nikal leti ho shatabdiyon ki bhaDas
sochti hoon
ankhen mundi rahen aur chalta rahe
sapnon ka ye sansar
qaid kar lo un khvabon ko
jo chupke se har raat
tumhari neend mein aakar so jate hain
jo late hain tumhare chehre par
mand mand muskan
aur mitate hain tumhari din bhar ki thakan
apne khvabon mein tum
apni mallika hoti ho
tumhara hota hai apna rachna sansar
sapnon mein hi sote sote
tum kar aati ho anant samudr ki yatra
pakaD ke vaqt ki ungliyon ko
pankhon mein basant ko bandhakar
tum naap aati ho prithvi aur akash ki duri
khvabon mein hi sahi tum kuch kshan
apne svajnon ke saath baithkar
kuch apni kah leti ho
aur kuch unki sun bhi leti ho
chal paDti ho kabhi kabhi
tum apne bachpan ki Dagar par
aur kar leti ho phir se
apne zinda hone ka ehsaas
ye khvab tumhare
tumhein bhar dete hain nai urja aur
nae utsaah se
sapnon mein hi sahi tum kshan bhar ke liye
vidrohi ho jati ho aur
nikal leti ho shatabdiyon ki bhaDas
sochti hoon
ankhen mundi rahen aur chalta rahe
sapnon ka ye sansar
स्रोत :
पुस्तक : बताओ मनु (पृष्ठ 102)
रचनाकार : सुषमा सिंह
प्रकाशन : हिन्द युग्म
संस्करण : 2022
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.