इस सृष्टि में कोई खाली जगह नहीं है
जिसे हम खाली समझते हैं
वहाँ अनजान देशों के संघर्षों के
उड़-उड़कर आए असंख्य धूल-कण हैं
एक-दूसरे को आवेशित करती विधुत-तरंगे हैं
वहाँ मूर्छित पड़ा है प्रेम
किसी मौसम में फिर हरा हो जाने के लिए
अपने प्रादुर्भाव के समय से
शाँत-स्थिर पड़े विशाल पत्थर की
अखंड उदासी से
निकल आने की कशमकश है
वहाँ है चींटी के चलने की आवाज़
और दूब के तिनके का हवा में हिलना है
अपनी पहली संतान होने पर
बरगद के पेड़ में धागे बाँधते समय
माँगी गई तुम्हारी मेरी मनौतियाँ हैं
बेहद ऊमस भरी रात में
पस्त पड़े हौसलों को
अपनी बाहों का सहारा देकर उठाती
सुबह के सूरज की किरनें हैं
इसके अलावा वहाँ सच्चे-झूठे क़िस्से हैं
जिनके सहारे जीते आ रहे हैं हम
वहाँ गरज रहे हैं बादल
अपने कंधे पर बैठाए सदियों के आक्रोश
भविष्य में वहाँ अँधेरे और प्रकाश की
बनी पगडंडी पर
चला जा रहा है रूठा मनु
एक श्रद्धा-सी लगने वाली स्त्री
पोटली में रखे बीजों को
छितरा रही है दशों दिशाओं में
इतिहास के अस्पताल के बाहर
एक सनकी शल्य-चिकित्सक ने
सजा रखी है
महान राजाओं और समाज-सुधारकों की
खोपड़ियों के अर्ध-सत्य की प्रदर्शनी
बहुत सी टूटी हुई उम्मीदें हैं
लेकिन उससे भी ज़्यादा हैं बाँसुरी के स्वर
is srishti mein koi khali jagah nahin hai
jise hum khali samajhte hain
vahan anjan deshon ke sangharshon ke
uD uDkar aaye asankhya dhool kan hain
ek dusre ko aveshit karti vidhut tarange hain
vahan murchhit paDa hai prem
kisi mausam mein phir hara ho jane ke liye
apne pradurbhav ke samay se
shaant sthir paDe vishal patthar ki
akhanD udasi se
nikal aane ki kashmakash hai
vahan hai chinti ke chalne ki avaz
aur doob ke tinke ka hava mein hilna hai
apni pahli santan hone par
bargad ke peD mein dhage bandhte samay
mangi gai tumhari meri manautiyan hain
behad uumas bhari raat men
past paDe hauslon ko
apni bahon ka sahara dekar uthati
subah ke suraj ki kirnen hain
iske alava vahan sachche jhuthe qisse hain
jinke sahare jite aa rahe hain hum
vahan garaj rahe hain badal
apne kandhe par baithaye sadiyon ke akrosh
bhavishya mein vahan andhere aur parkash ki
bani pagDanDi par
chala ja raha hai rutha manu
ek shraddha si lagne vali stri
potli mein rakhe bijon ko
chhitra rahi hai dashon dishaon men
itihas ke aspatal ke bahar
ek sanki shalya chikitsak ne
saja rakhi hai
mahan rajaon aur samaj sudharkon ki
khopaDiyon ke ardh satya ki pradarshani
bahut si tuti hui ummide hain
lekin usse bhi jyada hain bansuri ke svar
is srishti mein koi khali jagah nahin hai
jise hum khali samajhte hain
vahan anjan deshon ke sangharshon ke
uD uDkar aaye asankhya dhool kan hain
ek dusre ko aveshit karti vidhut tarange hain
vahan murchhit paDa hai prem
kisi mausam mein phir hara ho jane ke liye
apne pradurbhav ke samay se
shaant sthir paDe vishal patthar ki
akhanD udasi se
nikal aane ki kashmakash hai
vahan hai chinti ke chalne ki avaz
aur doob ke tinke ka hava mein hilna hai
apni pahli santan hone par
bargad ke peD mein dhage bandhte samay
mangi gai tumhari meri manautiyan hain
behad uumas bhari raat men
past paDe hauslon ko
apni bahon ka sahara dekar uthati
subah ke suraj ki kirnen hain
iske alava vahan sachche jhuthe qisse hain
jinke sahare jite aa rahe hain hum
vahan garaj rahe hain badal
apne kandhe par baithaye sadiyon ke akrosh
bhavishya mein vahan andhere aur parkash ki
bani pagDanDi par
chala ja raha hai rutha manu
ek shraddha si lagne vali stri
potli mein rakhe bijon ko
chhitra rahi hai dashon dishaon men
itihas ke aspatal ke bahar
ek sanki shalya chikitsak ne
saja rakhi hai
mahan rajaon aur samaj sudharkon ki
khopaDiyon ke ardh satya ki pradarshani
bahut si tuti hui ummide hain
lekin usse bhi jyada hain bansuri ke svar
स्रोत :
रचनाकार : अनिल मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.