कविगण लड़कियों की कविताओं से डरते हैं
कविगण लड़कियों की कविताओं से क्यों डरते हैं?
ऐसा तो कुछ नहीं होता
लड़कियों की कविताओं में
उनकी कविताओं में तो बस
थोड़ी-सी वे ख़ुद होती हैं,
थोड़ी-सी उस सवाल की छाया
जो उनकी हस्ती की पकड़ में नहीं आता,
थोड़ी-सी उनकी चाह होती है,
थोड़ा-सा उनका वहशीपन,
थोड़ी-सी उनकी देह की गंध
थोड़ा-सा उनकी आत्मा का शोक
कभी-कभार चली आती है उनमें
एक स्वप्न या दुस्स्वप्न की छाया
कहीं कविगण उस छाया से तो नहीं डरते?
उस स्वप्न या दुस्स्वप्न में
थकान होती है उस औरत की
जिसका प्रेम नहीं समझा उसके प्रेम ने,
हताशा होती है उस औरत की
जो बराबर नहीं हो पाई अपने प्रेम के—
न प्रेम में, न वहशत में
उस स्वप्न या दुस्स्वप्न में
अकेलापन होता है उस औरत का
जो बैठ गई है हारकर
अपनी ही छाया में,
लेकिन जो लील लिए जाने से पहले
निकल आएगी एक दिन बाहर
अपनी छाया से, अपनी कविता से
कविगण नहीं डरते अकेलेपन से
न हताशा से
कहीं वे इस प्रेम से तो नहीं डरते
जिसके इंतज़ार में उनकी औरतें
थक कर बूढ़ी हो रही हैं?
kawigan laDakiyon ki kawitaon se Darte hain
kawigan laDakiyon ki kawitaon se kyon Darte hain?
aisa to kuch nahin hota
laDakiyon ki kawitaon mein
unki kawitaon mein to bus
thoDi si we khu hoti hain,
thoDi si us sawal ki chhaya
jo unki hasti ki pakaD mein nahin aata,
thoDi si unki chah hoti hai,
thoDa sa unka wahshipan,
thoDi si unki deh ki gandh
thoDa sa unki aatma ka shok
kabhi kabhar chali aati hai unmen
ek swapn ya dusswapn ki chhaya
kahin kawigan us chhaya se to nahin Darte?
us swapn ya dusswapn mein
thakan hoti hai us aurat ki
jiska prem nahin samjha uske prem ne,
hatasha hoti hai us aurat ki
jo barabar nahin ho pai apne prem ke—
na prem mein, na wahshat mein
us swapn ya dusswapn mein
akelapan hota hai us aurat ka
jo baith gai hai harkar
apni hi chhaya mein,
lekin jo leel liye jane se pahle
nikal ayegi ek din bahar
apni chhaya se, apni kawita se
kawigan nahin Darte akelepan se
na hatasha se
kahin we is prem se to nahin Darte
jiske intzar mein unki aurten
thak kar buDhi ho rahi hain?
kawigan laDakiyon ki kawitaon se Darte hain
kawigan laDakiyon ki kawitaon se kyon Darte hain?
aisa to kuch nahin hota
laDakiyon ki kawitaon mein
unki kawitaon mein to bus
thoDi si we khu hoti hain,
thoDi si us sawal ki chhaya
jo unki hasti ki pakaD mein nahin aata,
thoDi si unki chah hoti hai,
thoDa sa unka wahshipan,
thoDi si unki deh ki gandh
thoDa sa unki aatma ka shok
kabhi kabhar chali aati hai unmen
ek swapn ya dusswapn ki chhaya
kahin kawigan us chhaya se to nahin Darte?
us swapn ya dusswapn mein
thakan hoti hai us aurat ki
jiska prem nahin samjha uske prem ne,
hatasha hoti hai us aurat ki
jo barabar nahin ho pai apne prem ke—
na prem mein, na wahshat mein
us swapn ya dusswapn mein
akelapan hota hai us aurat ka
jo baith gai hai harkar
apni hi chhaya mein,
lekin jo leel liye jane se pahle
nikal ayegi ek din bahar
apni chhaya se, apni kawita se
kawigan nahin Darte akelepan se
na hatasha se
kahin we is prem se to nahin Darte
jiske intzar mein unki aurten
thak kar buDhi ho rahi hain?
स्रोत :
पुस्तक : एक दिन लौटेगी लड़की (पृष्ठ 39)
रचनाकार : गगन गिल
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.