कविता में वहाँ
एक अमेरिका होता है
अमेरिका युद्धरत
कविता में वहाँ
एक हिंदोस्तान होता है
हिंदोस्तान परेशान
कविता में वहाँ
एक हिमालय होता है
हिमालय बरसों से खड़ा
कविता में वहाँ
एक झरना होता है
होती है एक मछली
झरना और मछली के साथ मैं वहाँ
आप आएँ
तो कविता में आएँ
चार या पाँच बजे सुबह जाएँ
और मिलें मुझसे
आप आएँ
चाय पिएँ मेरे साथ
कविता में
कविता से बाहर
कुछ दिक़्क़त है मिलने में
कि आप मिलें और मैं माँग लूँ रुपए पचास
आपसे उधार
और आप शर्मिंदा हों बार-बार
तो आप कविता में आएँ
मिलें और चाय पिएँ मेरे साथ
कविता में
झरना और मछली के साथ मैं वहाँ
kavita me.n vahaa.n
ek amerika hota hai
amerika yuddharat
kavita me.n vahaa.n
ek hi.ndostaan hota hai
hi.ndostaan pareshaan
kavita me.n vahaa.n
ek himaalay hota hai
himaalay barso.n se khaDa
kavita me.n vahaa.n
ek jharna hota hai
hotii hai ek machhlii
jharna aur machhlii ke saath mai.n vahaa.n
aap aa.e.n
to kavita me.n aa.e.n
chaar ya paa.nch baje subah jaa.e.n
aur mile.n mujhse
aap aa.e.n
chaay pi.e.n mere saath
kavita me.n
kavita se baahar
kuchh diqqat hai milne me.n
ki aap mile.n aur mai.n maa.ng luu.n rup.e pachaas
aapase udhaar
aur aap sharmi.nda ho.n baara-baar
to aap kavita me.n aa.e.n
mile.n aur chaay pi.e.n mere saath
kavita me.n
jharna aur machhlii ke saath mai.n vahaa.n
kavita me.n vahaa.n
ek amerika hota hai
amerika yuddharat
kavita me.n vahaa.n
ek hi.ndostaan hota hai
hi.ndostaan pareshaan
kavita me.n vahaa.n
ek himaalay hota hai
himaalay barso.n se khaDa
kavita me.n vahaa.n
ek jharna hota hai
hotii hai ek machhlii
jharna aur machhlii ke saath mai.n vahaa.n
aap aa.e.n
to kavita me.n aa.e.n
chaar ya paa.nch baje subah jaa.e.n
aur mile.n mujhse
aap aa.e.n
chaay pi.e.n mere saath
kavita me.n
kavita se baahar
kuchh diqqat hai milne me.n
ki aap mile.n aur mai.n maa.ng luu.n rup.e pachaas
aapase udhaar
aur aap sharmi.nda ho.n baara-baar
to aap kavita me.n aa.e.n
mile.n aur chaay pi.e.n mere saath
kavita me.n
jharna aur machhlii ke saath mai.n vahaa.n
स्रोत :
पुस्तक : फ़िलहाल यह आसपास (पृष्ठ 66)
रचनाकार : विनय दुबे
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.